Jul 19, 2019

Face App : क्या faceapp को use करना चाहिए | Faceapp Oldage feature

Face App Kuchh time pehle social Media pe ek trend chala tha #10yearchallenge jisme log apni 10 saal puri or abhi ki photo upload kar rahe the. Waise hi Apne social media ke upar aajkl ek nya trend dekha hoga jisme  bahut saare log apni oldage picture post kar rahe hai.  Yeh kamal hai faceapp ka ek esa app jo apki age photo me jaada kar deta hai matlb  apko buda dikha deta hai. Yeh app aajkl trending me hai her jaga.

FaceApp 

Face app kb launch hua? 

              Faceapp launch 2017 me hua tha lekin tb esme bahot se or features the. Face app ki khasiyat us time me chehre ko sunder bnna tha yeh app apke chehera ka color white kar deti thi jisse face app ke upper report file hui thi. Waisi hi or bahot saari khasiyato ke sath  faceapp 2019 me  viral ho raha hai. Jiski khasiyat hai yeh face app old age filter.


How to use face App?
       Face App ko use karna bahoot aasaan hai. Yeh ek photo editing app hai jisme ap apne photos ko edit kar sakte hai. Faceapp me apko bahoot sare features diye gaye hai jisme se sbse jaada viral hai faceapp oldage feature. Esko use karne ke liye apko internet ki jarurt hogi or ap koi bhi photo eske upper upload karke edit kar sakte hai.  Saare feature apko vahi pe mil jayenge.


Face App are safe to use?

            Face app ko use karna safe hai yaah nhi yeh ap khud dekh sakte hai jb ap download karenge face application. Eski privacy policy me ap pad sakte hai jisse apko pta lg jayega faceapp safe hai yaah nhi. 

Face app privacy policy  me yeh kuch khas line hai ap pura jaur pade.
Faceapp viral hone ke baad kaafi swal eske uper uthe to usme face app ki or se safai aai jisme unone btaya humare pas jo bhi data users ka aata hai hum usko kisi bhi company ko bechte nhi hai yaah fir share nhi karte. Lekin hum es data ko humare partners ke sath share kar sakte hai or es company ke partners kon hai eske baare me kahi bhi nhi btya gya.


Face app ko use karne wale use kar rahe hai or apni oldage  picture social media pe post kar rahe hai. To ager ap bhi faceapp oldage feature ko use karna chate hai to kar sakte hai or logo ko dikha sakte hai ap bude hone k baad kaise dikhai denge.

0 comments: