Doston jab ham apna YouTube channel shuru karte hain tab hamen jyada knowledge nahin hoti hai. To us time per ham apne YouTube channel per kuchh aisi galtiyan kar dete hain jiski vajah se hamare channel ke upar growth nahin ho paati hai. Hamare na views aate hain na hamare subscriber badhate hain or na hi hamara channel grow hota hai. To is post ke andar aapko janne ko milega kon si galtiya YouTube ke upar nhi karni chahie taki hamara channel jaldi se jaldi grow ho sake.
Kon si galtiyan YouTube ke upar nhi karni chahiye - YouTube mistake
Doston har ek new YouTuber jisko YouTube ke bare mein jyada knowledge nahin hoti hai Youtube ke baare me jyada pata nahin hota hai hamen apne YouTube channel ko kis tarah se grow karna hai wo YouTuber apne channel ke upar starting time mein bahut si aisi galtiyan kar dete hain jiski vajah se humra channel acche se grow nahin ho pata hai. Jiske karan hamare YouTube channel ke upar na views aate hain na acche subscriber badhate hain. To humko kon si galtiyan YouTube ke uper nhi karni chahiye uske bare mein janne ke liye aap is post ko acche se complete pade .
1. Mix content upload karna.
Doston mix content apne YouTube channel per upload karna hamari sabse badi galti hoti hai. Jab hamara new YouTube channel hota hai tab ham jyada views lene ke liye jyada subscriber gain karne ke liye kuchh aise content upload kar dete hai jo hamare channel se related nahin hai. For example - hamara channel jo hai YouTube ke bare mein YouTube ki knowledge dena hai lekin views or subscriber ke liye kuchh easi videos dal dete hai jiske uper humko views aane ke chances jada hote hai. Jiske vjha se ham apne channel ke uper bahoot mix content upload kar dete hai or baad me jo subscribe un videos ke through humare channel ke upper aate hai wo humare main content ko nhi dekhte jiske vjha se humara channle kabhi grow nhi hota or humare channel ki growth ruk jaati hai. To aapko yeh galti aapko aapne new YouTube channel ke upar nhi karni hai.
2. Erregular hona - Consistent nhi hona.
Doston regular nahin hona yah bhi hamare YouTube channel ke liye bahut hanikarak hota hai. Jab bhi hum apne YouTube channel ke upar videos dalna shuru karte hai to humko regular apni videos upload karni chahiye hum week mein ek video dal rahe hai yaa week mein do dalte hai ya fir week mein teen videos. Aapko ek regular time set karna hai usi time ke upar usi din jo hai aapki video regular base ke upar jaani chahiye. Apki video aane wali hai log intezar karte hain lekin agar aap upload karoge kisi bhi time kisi bhi din to logon ko samajh nahin aata hai or na hi Youtube ke algorithm ko samjh aata hai ki aapki videos kab aayegi jisse aapke channel per bad impact padta hai. To ye galti aapko apne YouTube channel ke uper nhi karni hai. Regular videos upload karni hai jisse aapko Channel grow karne me help hogi.
3. Viral content ke pichhe bhagna.
Doston viral content ke piche bhagnael new youtuber ki bahoot badi galti hoti hai. Apne channel ke topic ko chhod ke ager aap viral topic ke uper Jada videos bnaoge to aapko ho sakta hai achhe views or subscriber mil jaye lekin long term me aapke channel ke liye bahut hanikarak hoga. To yeh galti aapko apne channel ke upar nhi karni hai.
4. Viewer's ko ignore karna.
Doston bahut sare log yah galti kar dete hain apne viewers ke interest ko nahin pahchante. Aapko ager apne channel ko grow karna hai to aapko aapne channel ke uper aane wali audience ko pehchanna hoga. Aapki audience comment box me kya likh rahe hai, analytics ko check karna hoga kin video ke uper log intrested hai. Kon si videos ke upar jyada views aate hain kon se content ke bare mein hamare channel ke upar search hota hai. Yeh sub apko check karna hoga. Ager aap yeh kam nhi karoge to yeh aapki bahot badi galti hogi. To aapko yah galti bilkul nahin karni hai apne viewers ko ignore nhi karna hai. Aapko apne analytics ke andar check karna hai aapki kis content ke upar jyada views aate hain to usse related topics ke upar aapko video banani hai.
5. Content ki quality improve nahi karna.
Doston jaise jaise hamare channel ke upar views badhate hain jaise hamare channel ke upar subscriber badhana shuru hote hain to hamen apni videos ki quality ko improve karna hota hai hamen apni audio ki quality ko improve karna hota hai aur sabse important hamen apne content ki quality ko bhi improve karna hota hai jo log nahin karte hain jiski vajah se unka channel down mein chalna shuru ho jata hai. To aapko apni video quality ko improve karne ke liye acchi equipments ka use karna hai apni audio quality ko improve karne ke liye acche mike ka use karna hai or content ko improve karne ke liye aapko नए-नए tarike se content ko present karne ki technic sikhani hogi.
Note- Niche main aapko kuchh equipments share kiye hai jinse aap apni video or audio ki quality ko improve kar sakte hai ho.
1. Tripod with mobile holder
2. Gorilla tripod
3. Boya M1 Mike
4. RGB light
5. Ring light
6. Community guideline ko follow nahin karna.
Bahut sare new youtubers jaldi views or subscriber pane ke liye community guidelines ko follow nahin karte hain jiski vajah se unko kai bar copyright strike ya fir copyright claims mil jaate hain jiski vajah se channel kai bar delete ho jaate hai yaha fir video uploading band ho jaati hai, monetize karne mein problem aati hai to aapko ek baat ka acche se dhyan rakhna hai ki aapko community guidelines ko acche se follow karna hai.
7. Controversial content.
Bahut sare log jaldi views pane ke liye jaldi subscriber pane ke liye controversial topics ko follow karne lag jaate hain or controversial topics video banana shuru kar dete hai. Es se aapko kuchh time mein acche view a jaate hain acche subscriber bhi aapke a jaate hain lekin wo kabhi aapki original content ko nhi dekhte hai. To aapko controversial topics ke upar videos dalne ki galti nhi karni hai.
8. Learning ko ignore karna.
Doston jab tak aap sikhoge nahin tab tak aap acche se YouTube per kam nahin kar paoge. Bahut sare log ek hi tarike se videos ko upload kar rahe hain dal rahe hain wo learn nahin karte hain ki aapka channel kahan per set ho raha hai kahan per aapke view jyada aate hain kis time per aapko videos upload karni hai kis tarike se aapko videos ko record karna hai audience kya dekhna chahti hai kis tarah ka content aapko upload karna hai jab tak aap sikhoge nahin tab tak aap grow nahin karoge to aapko regular jo hai YouTube ke upar sikhate rahana hai aapko learning ko ignore nhi karna hai.
Ham en galtiyon ko kar deta hai jab hamara ek naya YouTube channel hota hai ya fir aapke kuchh hajar subscriber hote hai. Jiski vajah se hamara YouTube channel per kabhi bhi acche se views or subscriber growth hamare ko dekhne nahin milati hai. To yah galtiyan aapko ignore kar deni hai aapko mix content nahin upload karna hai, regular aapko rahana hai, apne content ki quality improve karte rahana hai aur aapko hamesha har chij sikhate rahana hai tab jakar jo hai aapka channel acche se grow ho payega.