Apr 15, 2020

Video ke description me kya likhe | ऐसे लिखो video description 100% grow hoga | video search me laye


Dosto ager ap chahte ho apke channel ki video YouTube search me rank ho to uske liye apko tags use karne  padenge apne title, description or tags wale section me to aaj me apko btaunga video ka description kaise likhe.?
Video ke description me kya likhe?

Ager apko apni videos ka description likhna nhi aata hai ager ap video ke description me kuchh bhi nhi likhte ho to apki video YouTube search me rank hone ke chance bahoot kam ho jate hai. To apko apni video ke description me kuch na kuch likhna padta hai. Or easa bhi nhi ki kuchh bhi ap likh do video ke description me to apki video YouTube search me rank ho jaye apko tags or keywords ad karne padte hai to aaj me apko btaunga video ke description me tags kaise lagyenge.?

How to add video description?

  Video ka description kaise likhe to bahoot se youtuber ko yeh pta nhi hota or wo galti karte hai ki video description me kuchh nhi likhte hai ager likhte bhi hai to usme tags or keyword nhi hote jisse video youtube search me nhi jati. To me yaha pe kuchh tips and tricks btaunga kuch ease baate apko btaunga jisse apko pta lg jayega video ke description me tags kaise likhe or video description kaise likhe sabhi tips ko jarur use kare. Or ager ap video dekh ke sikhna chahte ho to es video pe ap dekh sakte ho sabhi chije esme bhi btai gai hai.


1. Add video description.

Kuchh log video ke  description me kuchh bhi nhi likhate hai to apko yeh galti kabhi nhi karna hai hamesha video ke description me kuch na kuch likho 2 line hi sahi per jarur likho.

2. Add title in first line in description.

Apki video ka jo bhi title hai wo apki video ke description me pehli line me aa jana chahiye. Jaruri nhi ki some ho lekin title se related ho wo apko video ke description me pehli line me hona chahiye.

Suggested Topic
1. YouTube channel ke description me kya likhe?
2. Video ko youtube search me rank kaise kare?
3. How to verify my channel?
4. Purani videos pe views kaise laye?
5. 1000 subscribers pure kaise kare?

3. Add tags on video description.

Video ke description me tags likhna bahoot jaruri hai. Lekin YouTube ki policy hai ap ( , ) es sing ke sath tags ko nhi likh sakte ho ek bar use kar liye to thik hai lekin ignore kijiye es  sing ke sath description me tags likhna. To video ke description me tags kaise likhe to es keliye ap video ke baare me pura description likhiye video me kya hai kis topic pe baat hui hai or sath me alg alg style se tags ko video description me add kare. Jaise ap mere es video description me dekh sakte hai.
Video ke description me tags kaise likhe?

4. Use # tag on video description.

YouTube video ke description me ap ( # ) tags ko use kar sakte ho. To jis bhi topics pe ap video create kar rahe ho uske upper bahoot se ( # ) tags hote hai unko jarur se apne video ke description me use karo. Esse bhi video youtube search me aati hai. Upper photo me ap dekh sakte ho.

5. Videos suggestions in video description.

Ap kisi topics pe video create kar rahe ho to apne usse related video pehle bhi bnai hogi to ap un videos ko apni es video ke description me suggest kar sakte ho. Un videos ke naam add karo or links share ko yeh bhi help full rehta hai.

Dosto yeh 5 best tips hai jinko use karekr ap video ke description ko likh sakte ho. Video ko youtube search me lane ke liye description likhna bahoot jaruri hai. Eske sath ap apne video ke description me apne Social Media ke links share kare apne channel ki playlist ko bhi share kare videos pe or jada views aayenge. Ager apko yeh post helpful lga to jarur comments me btaye.

Jan 1, 2020

How use youtube videos without copyright Strick | बिना copyright strick के videos को use करे



Dosto ager ap YouTube se videos download karke apni videos me use karna chahte ho ager apko apni videos ke liye ek acha music chahiye free me  to YouTube ka ek feature easa hai jisse ap apne channel me YouTube videos ko use kar sakte ho or us feature ka naam hai Creative Commons.
Creative commons

Creative commons kya hai?

         Creative Commons YouTube ka ek easa feature hai jo apko allow karta hai YouTube videos ko reuse karne ke liye. YouTube me ap 2 types ke license me video upload kar sakte hai pehla standard license jisme  video ko koi bhi dusra use nhi kar sakta. Dusra license hai Creative Commons esme koi bhi video ko use kar sakta hai. Es feature me ap kisi bhi video ko reuse kar sakte hai jo video creative commons me upload hoti hai.

How to check Creative commons videos on YouTube?


           1. Jo bhi video apko youtube se download karni hai to us video ke description me check kare sabse  niche kya  uspe likha hai Creative Commons license video. Ager likha hai to ap us video ko reuse kar sakte hai.
Creative common license
           2. Search karo YouTube pe or uske baad filter ke option pe click karo or waha apko option me milga Creative Commons uspe click karo. Uske baad jo bhi video apko YouTube search me dikhegi wo Creative Commons me upload hui hai or ap unko reuse kar sakte hai apni videos me.
Creative common filter


Creative commons ki videos ko use kaise kare.

            Ager ap YouTube pe Creative Commons me upload videos ko apni video me use karna chahte hai to bahoot simple hai Creative Commons ki videos ko ap YouTube  se download karo or unko jaise marji apni video me use kar lo apko koi bhi Copyright Strick or claim nhi milega.


Dosto ager apko yeh jankari achhi lagi to share kare or comments me btaye ap or kya janna chahte hai ke uske uper bhi article jaldi hi post karunga.

Sep 4, 2019

Creator Studio Classic (Youtube New update 2019) how to open creator studio classic

                       Agr ap ek youtuber hai to apko bta de ki ab apko YouTube creator studio nahi dekhane ko  milega. Kyoun nhi dekhne ko milega to uske baare me jaanne ke liye apko es post ko pura padna padega to pura  pade, or es post ko share kare taki sabhi ko  eske baare me pta chal sake. Sath me main apko btaunga kaise ap apne youtube channel pe YouTube creator studio classic ko opne kaise kare?
Youtube latest updates

New youtube updates2019.

                       YouTube bahoot sare update leker aata rehta hai jisse Youtube ko jaada improve kar sake to pichhle saal hi youtube ne YouTube studio beta ko introduces  kiya tha or bahoot saare update esme leker aaya jisse youtubers ko bahoot help mil rahi hai or ab YouTube ne ek latest update me bataya hai ki es sall ke end tek Creator studio classic band ho jayega. Ab apko Youtube Studio beta ko use karna padeyga. Ager apko abhi bhi option milti hai creator studio classic ko use karne ki  to bahoot hi jaldi apki yeh option hat jayegi bahoot saare logo ki yeh option hat chuki hai or unko youtube studio use karna pad raha hai to aane wale time me apko b karna padega.
               Ager apko YouTube studio use karna nhi aa raha to mere youtube channel me apko eske regarding puri  play list milegi jisse ap wahan se sikh sakte hai YouTube studio beta ko use kaise kare?

How to open creator studio classic?

               Ager ap creator studio classic  ko opne karna chahte hai to ap kisi link ke through open kar sakte hai ager apko option milti hai. To yaha me apko ek link de deta hun jisse ap  Creator studio classic ko open kar sakte hai.

Watch my all videos on YouTube regarding YouTube studio beta. Un videos ko dekh ke apko kuchh help mil jayegi or ap sikh sakte hai YouTube studio ko use karna.

Jul 8, 2019

Youtube channel ko jaldi se monetize kaise kare | best tips for complete 1k subscribers and 4000 watch time fastly

youtube channel ko subscribe kaise kare
      Dosto ager apka ek new  YouTube channel hai to apke mn mein ye sawal jarur aata hoga 1k subscriber 4000 ghante ka watch time jaldi se jaldi pura kaise kare. Kaise apne YouTube channel ko monetize kare agar aap apne YouTube channel ko monetize karna chahte hai to aapko mehnat karni padegi apko videos dalni padegi lekin iske sath hi aapko thoda sa smart work karne ki jaroorat hai. Tabhi aap apne YouTube channel ke upar 1k subscriber or 4000 ghante ka watch time jaldi se jaldi pura kar sakte hai to es post ke andr main aapko batane wala hun best tips for monetize youtube channel fastly.
     


YouTube channel ko monetize kaise kare?

            YouTube channel ko monetize karne ke liye aapko Google AdSense account ki jarurat padti hai. To apna google adsense ka account bna le. Ager apke 1k subscriber or 4000 ghante ka watch time pura ho gya hai to link kar le apne YouTube channel ke sath. Ager apke YouTube pe abhi 1k subscriber or 4000 ghante ka watch time pura nhi hua hai to bhi ap apne Google Adsense ko youtube channel ke sath link kar sakte ho or jb apke 1k subscrber or 4000 ka watch time pura ho jayega to apka channel review me chala jayega automatically, review ho jaane ke bad apka channel monetize ho jaega.

1k subscriber and 4000 watch time kyun jaruri hai?

                  Agar aap apne YouTube channel ko monetize karna chahte hai, YouTube se paise kamana chahate hai,  to aapko apne channel pe 4000 ghante ka watch time or 1k subscriber ka criteria complete karna padega. Yeh YouTube ki policy hai Channel ko monetize karne ke liye.



1k subscriber or 4000 ghante ka watch time complete kaise kare?

      Yahan par main aapko 5 best tips dene wala hun jis se aap apne YouTube channel ke upar 1000 subscriber or 4000 ghante ka watch time jaldi se jaldi pura kar sakte hai. To sabhi tips ko achhe se follow kare or apne channel pe 1k subscriber or 4000 ghante Ka watch time jaldi se jaldi complete kare or apne channel ko monetize kar lijiye.

How to get 1K subscriber fastly?


1. Make regular videos
           Agar aap chahte hai aapke channel ke upar jaldi se jaldi 1000 subscriber complete ho jaye to aap ko apne  Channel ke upar regular videos post karte rehna chahiye.
2. Make relatable videos
          Apke channel pe sab se achha response jis video pe aa raha hai jis video ko log sab se jaada dekh rahe hai jis keyword pe apke channel pe traffic aa raha hai usse related jada se jada videos bnaye.
3. Make videos on niche topic
           Ager ap apne channel ke uper ek hi topics ki video bnaoge to apko targeted audience milegi or apke subscribe jaldi se jaldi badenge.
4. Make Interactive and Interesting  videos
           Jitni jada apki videos intrasesting hogi jitna jada apki videos ke sath log interact karenge log apki videos pe comment karenge apki videos ko like karenge share karenge utni jaada apki videos recommendation me jayegi or apko achhe subscriber milenge.
5. Connect with your audience
         Jitne bhi apko comments aate hai unke reply jitne jaldi ap kar sakte hai utne jalti apko kar dene chahye. Ager kisi ka koi swal hai to uska bhi apko jaldi se jaldi  jawab de dena chahiye.


Yeh hai 1k subscribers jaldi se pure karne ke liye 5 best tips jinse ap jaldi 1k subscriber pure kar sakte hai.

Suggested video
1. How to rank youtube channel on youtube search?
2. Youtube video ke description me kya likhe?
3. YouTube se paise kaise kmaye?

4000 ghante ka watch time jaldi se pura kaise kare?

            Ager ap apne channel pe acha content dalte hai to ap jaldi se apne channel me 4000 ghante ka watch time  pura kar sakte hai. Jo tips maine apko 1k subscribers pura karne ke liye btai wo hi saari tips ap eske liye bhi follow kar sakte hai. Ager ap apne channel me acha or interesting content daalte ho to apke pas acha watch time aa jayega time ke sath. Apko bas apna kam akrte rahena hai videos dalte rehna kuch hi time me apke 1k subscriber or 4000 ghante ka watch time pura ho jayega or fir apka channel chala jayega review ke liye or fir monetize ho jayega.

Jada jankari ke liye ap meri video ko bhi dekh sakte hai. Video apko niche milega or sath me ap mere channel ko (yaha clcik karke) subscribe kar sakte hai jisse apko achhi or help full videos regular milti rahegi YouTube se related. 



Jun 5, 2019

Only 5 steps | How to change blogger blog template | free blogger theme change kaise kare जाने हिंदी में


Dostoa ager ap apne blog website ka blogger template change karna chahte hai to ap free blogger templates use kar sakte hai jo apko blogger hi provide karta hai. Sath me hi ap apna koi bhi custom blogger template html coding ki form me add kar sakte hai. Kaise blogger me blog template change kare uske baare me btane wala hun or sath me btane wala hun How to use custom blogger templates.



How to use blogger free templates.?

     Doston  sabhi steps ko follow karo or ap bade hi aaram se kisi bhi blogger free templates ko use kar sakte hai.

1. Opne and log in blogger.com


2. Click on theme


3. Choose your favorite blogger template.

4. Click on blogger template.


5. Skip & Download theme for backup

Ab ap check kar sakte hai apne blog website ko apki favorite blogger template change ho gya hoga.



 Suggested topics

How to add custom blogger templates?

           Dosti agr ap apne blog website me html web page ad karna chahte hai to ap bade hi aaram se kar sakte hai ap koi bhi third party blogger template use kar sakte hai.

1. Opne and login in blogger.com


2. Click on theme.

3. Click on backup/Restore

4. Choose your custom blogger templates file.


5. Click on upload.





Es tarike se ap  custom blogger template use kar sakte hai. Bahoot hi aasan hai lekin jb ap koi bhi blogger template change kar rahe ho to ap apne blog website ka backup download kar le taki ager apko nya  costom blog template acha na lage to ap dubara se change kar sake.

May 18, 2019

5 best seo tips for youtube | Youtube channel ko search me sabse upper kaise laye | best tips to rank youtube channelon top in search | seo tips for youtube channel

Dosto aapka bhi ek YouTube channel hoga or aap jarur chahte honge ki aap ka YouTube channel YouTube search engine me sabse upar aaye lekin aap ke dimag me yeh sawal jarur aata hoga ki YouTube channel ko search me sabse upar kaise laye. Yahan Par aapko me batane wala hun 5 best seo tips for YouTube channel jisse aapka YouTube channel YouTube search me sabse upar aayega.
How to rank youtube channel on search

YouTube channel ko search me sabse upper kaise laye?

Dosto yaah me apko 5 best seo tips dene wala hun jisse apka channel youtube search me top rank me aaskta hai. Sabhi tips ko achhe se follow kar len.


1. Channel Name
       Jab hun Channel ka naam rakhte hai to bahut sare log bina soche samjhe channel ka naam rakh dete hai. Jiski wajah se channel ki ranking me farak padta hai YouTube channel ko search me lane me problem hoti hai. Yahan Par jab ap apne YouTube Channel ka naam rakhe to aisa naam rakhe jo bilkul unique ho bilkul alg ho jaise hi koi naam dekhe usko yaad reh jana chahiye. Jin channel ke naam unique or bilkul alg hote hote hai wo SEO friendly hote hai or YouTube search me jaldi se aa jaata hai.

2. Channel keywords
        Dosto jaise video ko searching me lane ke liye hum tags lgate hai waise hi channel ko searching me lane ke liye seo friendly bnane ke liye channel ke ander bhi SEO friendly tags lgane chahiye. SEO friendly channel keywords likhne chahiye.

3. Channel description
       Video ka description hum likhte hai taki logo ko samjh aa sake ki hum video me kya btana chahte hai vaise hi channel me hum kis trah ki videos dalenge kab videos dalenge or channel kis baare me hai yeh sab likhna padta hai jissi channel seo friendly bn jaye. Description bahoot ache se design karna chahiye kyunki description se hi YouTube channel search me top rank karta hai.

Recommended topics
Youtube Channel ka description kaise likhe?
Youtube brand account ky hota hai? 
5 best tips for rank YouTube videos on YouTube search.

4. Channel username
        Dosto ap sabhi FacebookTwitter to use karte hi honge or usme apko ek username lena padta hai jisse log apko pehchan sake apki profile usse hi chalti hai vaise hi YouTube channel ka bhi ek username hota hai jo apko 100 subscriber ke uper milta hai. Usko bhi ap channel name jaisa hi rakhe esse bhi apko YouTube channel ko search me lane me help milegi.

5. Channel hashtags
        YouTube me ab ap hashtag use kar sakte hai agar aap apne Channel description ke andar hashtags use karenge apne channel ka naam ( #gyan ) hashtag me likh ke to apka channel searching me anne ke chance bad jayenge.

To dosto yeh thi YouTube channel ko youtube search me top pe lane ki 5 best seo tips. Agr ap or bhi tips jaana chahte hai yaah fir YouTube se related videos dekhna chahte hai to mere YouTube channel ko Subscribe kar le. Or ager ap kuchh or jaana chahte hai ki YouTube channel ko search me top pe kaise laye  to niche ki video ko jarur dekhe.