Aug 21, 2024

SEO kya hota hai | 2024 में YouTube videos मे seo kaise kare

दोस्तों अगर आप अपने YouTube channel को grow करना चाहते हैं तो आपको SEO apne channel पे करना होगा और अपनी सभी वीडियो pe bhi आपको SEO करना होगा। अगर आपको नहीं पता है SEO kya hota hai, YouTube pe SEO kaise kare तो यहां आपको में हर एक जरूरी points बताने वाला हूं जिससे आपको YouTube me SEO kaise kare उसके लिए हेल्प मिलेगी।

Seo kaise kare
Seo kaise kare

SEO kya hota hai.

 दोस्तों SEO (Search Engine Optimisation) जब भी आप कुछ भी Google या फिर YouTube पे कुछ search karte हो और जो video आपके सामने आता है तो उन video me SEO किया गया होता है जिसके कारण वो वीडियो search me top rank में आ रहे हैं। अगर आपको अपने channel की वीडियो को search में लाना है तो आपको SEO करना हो। जिसके बारे में नीचे सारी जानकारी मिल जाएगी।

YouTube video ke liye SEO kaise kare.

YouTube वीडियो के लिए SEO करना बहुत जरूरी होता है ताकि आपका वीडियो जादा से ज्यादा लोगों तक पहुंच सके और सर्च रिजल्ट्स में सबसे ऊपर रैंक पर आ सके। नीचे कुछ जरूरी points बताए गए हैं जिनसे आप YouTube वीडियो का SEO कर सकते हैं।

1. Keyword research 

  • सही keyword चुने उन शब्दों और वाक्यांशों की पहचान करें जिन्हें लोग आपके वीडियो से संबंधित जानकारी के लिए सर्च कर सकते हैं। इसके लिए आप YouTube के सर्च बार, Google Trends, या अन्य कीवर्ड रिसर्च टूल्स का उपयोग कर सकते हैं।
  • लंबे कीवर्ड्स कम प्रतिस्पर्धा वाले लंबे कीवर्ड्स (long-tail keywords) को टारगेट करें। जैसे "कैसे एक YouTube चैनल शुरू करें" की बजाय "2024 में YouTube चैनल शुरू करने के आसान तरीके" जैसा कीवर्ड बेहतर हो सकता है।

2. Title optimisation 

  • कीवर्ड शामिल करे वीडियो के शीर्षक में मुख्य कीवर्ड्स को शामिल करें।
  • लुभावना शीर्षक ऐसा शीर्षक बनाएं जो लोगों को क्लिक करने के लिए प्रेरित करे। शीर्षक को 60-70 कैरेक्टर के बीच रखें।

3. Description लिखें

  • पहले 2-3 वाक्यों में कीवर्ड शामिल करें YouTube वीडियो डिस्क्रिप्शन के पहले कुछ शब्दों पर अधिक ध्यान देता है। इसलिए, मुख्य कीवर्ड्स को पहले हिस्से में शामिल करें।
  • विस्तृत जानकारी दें डिस्क्रिप्शन को 200-300 शब्दों का रखें और उसमें वीडियो का सारांश, प्रमुख पॉइंट्स, और संबंधित लिंक शामिल करें।
Video का description लिखने के लिए आप video ka description kaise lekhe इस पोस्ट की हेल्प ले सकते है।

4. Tags का सही उपयोग करें

  • संबंधित कीवर्ड्स शामिल करें अपने वीडियो से संबंधित कीवर्ड्स को टैग्स के रूप में शामिल करें। मुख्य कीवर्ड्स के साथ-साथ कुछ सामान्य कीवर्ड्स और वेरिएशन को भी जोड़ें।
  • ब्रांडेड टैग्स अपने चैनल के नाम या विशिष्ट ब्रांडेड शब्दों को भी टैग्स में शामिल करें।
Video me tags kaise lgaye आप इस पोस्ट का सहारा ले सकते हो अच्छे keyword set करने के लिए।

5. Thumbnail आकर्षक बनाएं

  • कस्टम थंबनेल का उपयोग करें YouTube द्वारा दिए गए थंबनेल की बजाय एक कस्टम थंबनेल बनाएं जो कि स्पष्ट, आकर्षक और आपके वीडियो के विषय से संबंधित हो।
  • टेक्स्ट और इमेज का सही उपयोग थंबनेल में 2-3 शब्दों का बोल्ड टेक्स्ट और ध्यान खींचने वाली इमेज का उपयोग करें।

6. वीडियो के अंदर की रणनीति

  • वीडियो की लंबाई कोशिश करें कि वीडियो न तो बहुत छोटा हो और न ही बहुत लंबा। दर्शकों को अंत तक जोड़े रखने के लिए वीडियो को 7-15 मिनट की लंबाई में रखें, हालांकि यह आपके कंटेंट के प्रकार पर निर्भर करता है।
  • अच्छी शुरुआत करें वीडियो के पहले 15-30 सेकंड्स में दर्शकों को समझाएं कि उन्हें इस वीडियो से क्या मिलेगा, ताकि वे इसे पूरा देखने में रुचि लें।
  • वीडियो में कीवर्ड्स का उल्लेख वीडियो में अपने मुख्य कीवर्ड्स को नैचुरली इस्तेमाल करें। यह YouTube को आपके वीडियो का विषय समझने में मदद करता है।
  • End Screen और Cards का उपयोग करें  अपने वीडियो में End Screen और Cards जोड़ें, जो दर्शकों को आपके अन्य वीडियो देखने के लिए प्रोत्साहित करें।

Suggested Posts.......
1. Youtube video ke description me ky likhe?
2. 5 best tips for rank youtube channel on YouTube search
3. Youtube video ko search me kaise laye?

7. प्लेलिस्ट बनाएं

  • प्लेलिस्ट्स में वीडियो जोड़ें अपने वीडियो को संबंधित प्लेलिस्ट्स में शामिल करें ताकि दर्शक एक के बाद एक वीडियो देखते रहें। प्लेलिस्ट का नाम और डिस्क्रिप्शन भी SEO के अनुसार ऑप्टिमाइज करें।

8. सोशल शेयरिंग और प्रमोशन 

  • वीडियो को प्रमोट करें अपने वीडियो को सोशल मीडिया, ब्लॉग्स, और अन्य प्लेटफार्म्स पर शेयर करें। इससे वीडियो को अधिक व्यूज़ और एंगेजमेंट मिलेगा।
  • संबंधित फोरम्स और ग्रुप्स में शेयर करें यदि आपके वीडियो किसी विशिष्ट विषय से संबंधित हैं, तो उन्हें उन फोरम्स और ग्रुप्स में शेयर करें जहां लोग उस विषय पर चर्चा करते हैं।

9. एंगेजमेंट पर ध्यान दें

  • लाइक, कमेंट्स, और सब्सक्राइब्स को प्रोत्साहित करें अपने वीडियो के अंत में दर्शकों को लाइक, कमेंट और सब्सक्राइब करने के लिए कहें।
  • दर्शकों के साथ इंटरैक्ट करें आपके वीडियो पर आने वाले कमेंट्स का जवाब दें। इससे दर्शकों के साथ आपका जुड़ाव बढ़ेगा और YouTube को पता चलेगा कि आपका कंटेंट एंगेजिंग है।

10. एनालिटिक्स का उपयोग करें

  • YouTube Analytics की जांच करें अपने वीडियो के परफॉर्मेंस की निगरानी करें और देखें कि कौन से वीडियो अच्छा प्रदर्शन कर रहे हैं। इससे आपको यह समझने में मदद मिलेगी कि आपके दर्शक किस प्रकार का कंटेंट पसंद कर रहे हैं।
  • समय के साथ सुधार करें वीडियो प्रदर्शन और दर्शकों के फीडबैक के आधार पर अपनी रणनीति को समय के साथ बदलें और बेहतर करें।

इन सभी तकनीकों का सही तरीके से उपयोग करने से आपके YouTube वीडियो के व्यूज बड़ जायेंगे  और आपके चैनल की ग्रोथ में मदद मिलेगी।

Aug 15, 2024

YouTube ke uper yeh galtiya mat karna | जल्दी views लाने के लिए यह गलतियां मत करना

 Doston jab ham apna YouTube channel shuru karte hain tab hamen jyada knowledge nahin hoti hai. To us time per ham apne YouTube channel per kuchh aisi galtiyan kar dete hain jiski vajah se hamare channel ke upar  growth nahin ho paati hai. Hamare na views aate hain na hamare subscriber badhate hain or na hi hamara channel grow hota hai. To  is post ke andar aapko janne ko milega kon si galtiya YouTube ke upar  nhi karni chahie taki hamara channel jaldi se jaldi grow ho sake.

YouTube mistake


Kon si galtiyan YouTube ke upar nhi karni chahiye - YouTube mistake 

      Doston har ek new YouTuber jisko YouTube ke bare mein jyada knowledge nahin hoti hai  Youtube ke baare me jyada pata nahin hota hai  hamen apne YouTube channel ko kis tarah se grow karna hai wo YouTuber apne channel ke upar starting time mein bahut si aisi galtiyan kar dete hain jiski vajah se humra channel acche se grow nahin ho pata hai. Jiske karan hamare YouTube channel ke upar na views aate hain na acche subscriber badhate hain. To humko  kon si  galtiyan YouTube ke uper nhi karni chahiye uske bare mein janne ke liye aap is post ko acche se complete pade .


1. Mix content upload karna.

     Doston mix content apne YouTube channel per upload karna hamari sabse badi galti hoti hai. Jab hamara new YouTube channel hota hai tab ham jyada views lene ke liye jyada subscriber gain karne ke liye kuchh aise content upload kar dete hai jo hamare channel se related nahin hai. For example - hamara channel jo hai YouTube ke bare mein YouTube ki knowledge dena hai  lekin views or subscriber ke liye kuchh easi videos dal dete hai jiske uper humko views aane ke chances jada hote hai. Jiske vjha se ham apne channel ke uper bahoot mix content upload kar dete hai or baad me jo subscribe un videos ke through humare channel ke upper aate hai wo humare main content ko nhi dekhte jiske vjha se humara channle kabhi grow nhi hota or humare channel ki growth ruk jaati hai. To aapko yeh galti aapko aapne new YouTube channel ke upar nhi karni hai. 

2. Erregular hona - Consistent  nhi hona.

     Doston regular nahin hona yah bhi hamare YouTube channel ke liye bahut hanikarak hota hai. Jab bhi hum apne YouTube channel ke upar videos dalna shuru karte hai to humko regular apni videos upload karni chahiye hum week mein ek video dal rahe hai yaa week mein do dalte hai ya fir week mein teen videos. Aapko ek regular time set karna hai usi time ke upar usi din jo hai aapki video regular base ke upar jaani chahiye. Apki video aane wali hai log intezar karte hain lekin agar aap upload karoge kisi bhi time kisi bhi din to logon ko samajh nahin aata hai or na hi Youtube ke algorithm ko samjh aata hai ki aapki videos kab aayegi jisse aapke channel per bad impact padta hai. To ye galti aapko apne YouTube channel ke uper nhi karni hai. Regular videos upload karni hai jisse aapko Channel grow karne me help hogi.

3. Viral content ke pichhe bhagna.

     Doston viral content ke piche bhagnael new youtuber ki bahoot badi galti hoti hai. Apne channel ke topic ko chhod ke ager aap viral topic ke uper Jada videos bnaoge to aapko ho sakta hai achhe views or subscriber mil jaye lekin long term me aapke channel ke liye bahut hanikarak hoga. To yeh galti aapko apne channel ke upar nhi karni hai. 


4. Viewer's ko ignore karna.

     Doston bahut sare log yah galti kar dete hain apne viewers ke interest ko nahin pahchante. Aapko ager apne channel ko grow karna hai to aapko aapne channel ke uper aane wali audience ko pehchanna hoga. Aapki audience comment box me kya likh rahe hai, analytics ko check karna hoga kin video ke uper log intrested hai. Kon si videos ke upar  jyada views aate hain kon se content ke bare mein hamare channel ke upar search hota hai. Yeh sub apko check karna hoga. Ager aap yeh kam nhi karoge to yeh aapki bahot badi galti hogi. To aapko yah galti bilkul nahin karni hai apne viewers ko ignore nhi karna hai. Aapko apne analytics ke andar check karna hai aapki kis content ke upar jyada views  aate hain to usse related topics ke upar  aapko video banani hai.

5. Content ki quality improve nahi karna.

     Doston jaise jaise hamare channel ke upar views badhate hain jaise hamare channel ke upar subscriber badhana shuru hote hain to hamen apni videos ki quality ko improve karna hota hai hamen apni audio ki quality ko improve karna hota hai aur sabse important hamen apne content ki quality ko bhi improve karna hota hai jo log nahin karte hain jiski vajah se unka channel down mein chalna shuru ho jata hai. To aapko apni video quality ko improve karne ke liye acchi equipments ka use karna hai apni audio quality ko improve karne ke liye acche mike ka use karna hai or content ko improve karne ke liye aapko नए-नए tarike se content ko present karne ki technic sikhani hogi. 

Note- Niche main aapko kuchh equipments share kiye hai jinse aap apni video or audio ki quality ko improve kar sakte hai ho. 

        1. Tripod with mobile holder 

        2. Gorilla tripod

        3. Boya M1 Mike

        4. RGB light 

        5. Ring light 

6. Community guideline ko follow nahin karna.

     Bahut sare new youtubers jaldi views or subscriber pane ke liye community guidelines ko follow nahin karte hain jiski vajah se unko kai bar copyright strike ya fir copyright claims mil jaate hain jiski vajah se channel kai bar delete ho jaate hai yaha fir video uploading band ho jaati hai, monetize karne mein problem aati hai to aapko ek baat ka acche se dhyan rakhna hai ki aapko community guidelines ko acche se follow karna hai.

7. Controversial content.

     Bahut sare log jaldi views pane ke liye jaldi subscriber pane ke liye controversial topics ko follow karne lag jaate hain or controversial topics  video banana shuru kar dete hai. Es se aapko kuchh time mein acche view a jaate hain acche subscriber bhi aapke a jaate hain lekin wo kabhi aapki original content ko nhi dekhte hai. To aapko controversial topics ke upar videos dalne ki galti nhi karni hai.

8. Learning ko ignore karna. 

    Doston jab tak aap sikhoge nahin tab tak aap acche se YouTube per kam nahin kar paoge. Bahut sare log ek hi tarike se videos ko upload kar rahe hain dal rahe hain wo learn nahin karte hain ki aapka channel kahan per set ho raha hai kahan per aapke view jyada aate hain kis time per aapko videos upload karni hai kis tarike se aapko videos ko record karna hai audience kya dekhna chahti hai kis tarah ka content aapko upload karna hai jab tak aap sikhoge nahin tab tak aap grow  nahin karoge to aapko regular jo hai YouTube ke upar sikhate rahana hai aapko learning ko ignore nhi karna hai.

Ham en galtiyon ko kar deta hai jab hamara ek naya YouTube channel hota hai ya fir aapke kuchh hajar subscriber hote hai. Jiski vajah se hamara YouTube channel per kabhi bhi acche se views or subscriber growth hamare ko dekhne  nahin milati hai. To yah galtiyan aapko ignore kar deni hai aapko mix content nahin upload karna hai, regular aapko rahana hai, apne content ki quality improve karte rahana hai aur aapko hamesha har chij sikhate rahana hai tab jakar jo hai aapka channel acche se grow ho payega.

Aug 10, 2024

Youtuber Kaise bane | 2024 में एक सफल Youtuber बनने का रास्ता

Dosto YouTube aaj ek bahoot acha career option ban chuka hai or agar aap bhi apna carreer YouTube main banana chahte ho or aap janna chahte ho YouTuber kaise bane to is post me aapko har tarah ki help milegi. 2024 me ek successful youtuber banne ka rasta yahan es post ke andar main aapko batane wala hun es post ko aap pura jarur padhiye or agar aapko achcha lage to share karen taki dusre logo ko bhi eska benifit mil sake.

YouTuber kaise bane


YouTuber kyon banna chahte ho hai?

          Doston sabse pahle aapko apne aap se yah question karna hai aap YouTube ke upar kyon aana chahte ho? Aapka yah question aapke mind mein clear hai aap YouTube ke upar kyon aana chahte ho to jakar jo hai aap YouTube ke upar ek successful youtuber ban paoge. Or tabhi  aap YouTube ke upar acche se kam karke ek acchi earning YouTube se Kama sakte ho aur ek achcha YouTube channel aap chala sakte ho.

Youtuber banne ke liye niche bahut sare points me aapko batane wala hun jinko follow karte jana hai or aapko puri mehanat karte huye apne channel pe kaam karna hai or aap bahoot jaldi YouTube per successful ho jaoge.

Youtuber Kaise bane - 2024 में एक सफल Youtuber बनने का रास्ता?

         Doston YouTuber banane ke liye aapko YouTube per regular kam karna hoga. YouTuber ek YouTube creator hota hai jo YouTube ke upar videos post karke earning karta hai agar aap ek youtuber banna chahte Hain to aapko YouTube ke upar apna channel create karke regular uske upar videos upload karni hongi. Jab aapka channel ek acchi position ke upar pahunch jaega tab aap ek youtuber banoge. YouTuber ke liye kuchh kam aapko karne honge jo yehan niche bataye gaye hai.


1. Apne channel ka topic choose kare.

    Doston sabse pahle aapko clear hona chahiye aap kis topic se related apna channel create karna chahte ho. Aapko kisi bhi aise topic ke upar channel create nahi karna hai jiske upar aapka interest nahi hai. Jis topic ke upar aapka interest hai usko aapko choose karna hai. To sabse pahle apne mind me aapko sochana hai aap kis topic ke upar sabse jyada bol sakte ho yaa fir kis topic ke upar aap regular videos post kar sakte ho. Us topic ke upar aapka 100% interest hona chahie tabhi jo hai aap regular videos create kar sakte ho.

2. Channel create karna.

     YouTuber banne ki race me ab aapko sabse pehla kam yah karna hai aapko YouTube channel create karna hoga. Apne YouTube channel ke liye naam aapko unique rakhna hai. YouTube channel create kaise kare  eske upar jakar aap padh sakte ho kaise aap channel create kar sakte hain.

3.Videos create karna.

    YouTuber banne ki race me aapko videos create karne honge. Quality video ki acchi honi chahie, Voice quality acchi honi chahie, video ka content a acha hona chahiye. Videos apko interesting banana padega jisse log video pura dekh sakte.

4. Regular videos post karna.

    Dosto ager ap channel ko grow karna chahte hai to apko apne channel ke uper video regular post karni hogi. Achchi or intersting  video aapko audience ke kaam ki post karni hogi. Jis tarah ki videos log dekhna chahte hain use tarah ki videos aapko regular upload karte rahana hai.

5. SEO ka use.

    Doston agar aap apne YouTube channel ko bahut jaldi grow karna chahte hain to aapko apne channel ke upr SEO karna hoga. SEO ka matlab hota hai aapko apne channel ko search engine ke hisab se optimise karna padega. Matlab jo bhi aap videos dal rahe ho uske title or discription ke andar SEO  friendly keywords ka use karna hoga. SEO friendly keywords kaise likhe yeha aap jaan karte ho.

6. Channel monetize karna.

     Doston ek youtuber ka Sapna hota hai apne YouTube channel se earning karna. Apne channel ko monetize karke aap YouTube se paise kama sakte ho. YouTuber banna chahte hain to jaise aapke channel ke upar 1000 subscriber or 4000 ghante complete ho jaenge to aap apne channel ko monetize karke apne channel se earning shuru kar sakte hain.

7. Channel grow karna.

    Doston channel jab aapka grow hoga tabhi aap YouTube se earning kar sakte ho. To aapko focus karna hoga apne YouTube channel ko grow karne ke uper. Apko apni videos ko regular post karte rehna hai audience jis tarha ki videos dekhna chahti hai us type ki video post kare. Thumbnail aapka acha hona chahiye. Or apni videos ke title description me achhe keywords ka use karna hoga. Tb aapka channel grow hoga.

8. Channel promote karna.

      Doston aapko apne YouTube channel ko or logon tak pahunchane ki jarurat hai to aap Facebook ka Sahara le sakte hain aap bahut sare  WhatsApp groups ka Sahara le sakte hain telegram channel ka shahar le sakte hai. aap Instagram ke upar Apne YouTube channel ka ek profile create kar sakte hain page create kar sakte hain Facebook ke upar jiske upar aap vahi videos vahan per upload kar sakte ho ya fir unke link vahan per share karke aap apne channel ko social media ke through promote kar sakte hain. Aap Google ads ka bhi use kar sakte hain Apne channel ko promote karne ke liye.


Dosto yeh kuchh ease kaam hai jo aapko karne hoge. Jisse aap ek youtuber ban sakte ho. Mujhe ummid hai aapko achhe se samjh aa gya hoga youtuber Kaise bane 2024 me. En baato ka dhayan rakhe or achhe se follow kare aap ek achhe youtuber jarur banoge.


YouTube ke upar yah galtiyan kabhi mat karna 

     Doston bahut sari aisi galtiyan hoti hain Jo नए-नए YouTuber apne channel ke upar karte hain jiski vajah se unke channel ke upar kabhi views nahin aate hain kabhi unke channel ke upar subscriber nahin badhate or kabhi wo YouTube se acchi running kar paate hain kaun si wo galtiyan hain jinki vajah se aapke channel  ke upar views nahin aate hain jinki vajah se aapke channel ke upar subscriber nahin aate hain aap apne channel ko grow nahin kar paate hain unke bare mein janne ke liye aap meri is post ko jakar dekh sakte ho YouTube per yeh galtiyan mat karna.

Sep 19, 2023

Channel description kaise likhe | SEO friendly channel description | Best Channel Description 2024

  दोस्तों अगर आपका एक YouTube channel है तो आपको Channel description kaise likhe ये पता होना चाहिए। आपके channel को grow करने के लिए आपको Seo friendly channel description लिखना बहूत जरूरी होता है। और अगर आप अपने youtube channel का description अच्छे से लिखते हो और उसमें अच्छे अच्छे keywords लिखते है तो आपका चैनल बहूत जल्दी grow हो जाएगा।

आज में आपको इस पोस्ट में बताने वाला हूँ Youtube channel ka description kaise likhe?  इसी के साथ दोस्तो  channel description me keywords kaise likhe? जिससे आप अपने channel को grow  कर सकते है और जो भी tips आपको यहां बताने वाला हुँ वो 100% काम आती है और मैंने अपने youtube channel में इसी तरीके से SEO friendly channel descriotion लिखा हुआ है।

इस video की help से भी आप अपने channel के description को अच्छे से लिख सकते हो।

Channel description kaise likhe?

1. सबसे पहले अपने mobile में youtube app को opne कर लीजिए।

2. अपने youtube channel में जायें।

3.  Channel edit वाली option को opne कर लें।


 

4. Channel description पे click करे और अपने channel के description को लिख ले।


 

5. Channel description लिखने के बाद save button  पर click करके channel discription को save कर ले।



दोस्तो इन steps को follow करके आप अपने चैनल का description लिख सकते हो।

Channel description me kya likhna chahiye?

दोस्तो अगर आप new youtube creator हो और आपको नहीं पता channel ke description me kya likhe तो आपको परेसान होने की जरुरत नही है बहूत से ऐसे तरीके है जिससे आप अपने channel के description  को अच्छे से लिख  सकते हो। ओर यहां में आपको एक फॉर्मेट बताने वाला हूँ जिससे आपको एक idea लग जायेगा youtube channel के description में क्या लिखे।

  1. दोस्तो जैसे ही आप अपने channel description को लिखना शुरू कर रहे हो तो सबसे पहले first line में आपको अपने channel का नाम लिखना चाहिए। जैसे कि " Welcome to creator help" मैने अपने channel description में लिखा है।
  2. दोस्तो channel description में आपको अपने चैनल के बारे में लिखना होता है। आप किस तरह की videos upload करेंगें। आपके channel में viewrs को क्या देखने को मिलेगा। आपके चैनल की सब जानकारी आपको अच्छे तरीके से description में लिख लेनी है।
  3. आपको आपने channel के description को कुछ इस तरीके से लिखना है की उसमे आप कुछ ऐसे keywords भी लिख सके जो youtube search में search हो रहे हो और वो आपके channel से related भी हो। ऐसा करने से आपका channel youtube search में ज्यादा आएगा। ओर आपका channel grow होगा।
  4. Last में दोस्तो आपको एक Email ID भी देनी है जिसपे कोई company collebration के लिए contect कर सके। 

 

 Channel description me keywords kaise likhe?

दोस्तों अगर आप अपने Youtube channel को grow करना चाहते हो तो आप को अपने youtube channel को youtube search में लाना होगा। और उसकेलिए आपको channel description में keywords add करने होंगे। आपको seo friendly channel description लिखना होगा।नीचे आप photo में देख सकते हो मैंने किस तरीके से अपने चैनल का description लिखा है आप भी इस तरीके से अपने channel  description को लिख सकते हो। और जो भी red line से mark किये है वो सारे keywords youtube पे search किये जाते है। और आपको भी कुछ इस तरीके से अपने channel के description को लिखना है कि उसमें आप बहूत से searchebale keywords को लिख सके। आप इस तरीके से किसी भी channel से inspretion ले कर अपने channel के description को लिख सकते हो।




 

Apr 18, 2023

YouTube logo or channel art kaise lgaye | Best YouTube Tips

 Dosto ager aap apne new YouTube channel me logo or channel art lgana chahte hai to es post me aap jaanoge. Youtube channel bnane ke baad aapko apne youtube channel me logo or channel art kaise lgaye.




Dosto channel logo or channel art lagana aapke channel ke liye bahoot jaruri hota hai. Lekin aap jb bhi apne channel ke liye koi bhi channel art or logo lgao to usko aapko achhe se edit kar lena hai. Best quality me apko apna channel art or log lgana hai. Channel logo size 98×98 pixels or channel art size 2048×1152 pixles hona chahiye km se km.


Youtube channel ka logo or art kaise lgaye?

1. Opne youtube in google chrome browser. 

2. Opne creator studio.

3. Go to channel customization. 

4. Click on branding. 

5. Click on upload button or change button. 



Dosto es tarike se aap apne youtube channel ka logo or channel art change kar sakte ho. Ager aapko video dekh ke yeh sub sikhana hai to niche es ke liye ek proper video diya gya hai video ko aap pura jarur  dekhe. 



Apr 9, 2023

5 मिनट में नया youtube channel कैसे बनाये | New youtube channel kaise bnaye | How to create YouTube channel in 2023

       Dosto 2023 me ager aap apna khud ka ek youtube channel create karna chahte ho to 5 minutes me aap apna youtube channel bna sakte ho. Bahoot aasani se aap apna channel bna ke youtube pe video upload kar ke paise kma sakte ho.

Dosto ager aap youtube channel bna ke youtube se paise kamana chahte ho to aapko aapna ek youtube channel bnana hoga or aapne channel pe 1000 subscriber or 4000 hours watching time pura karna hoga. Yeh karne ke baad aap youtube channel se paise kam  sakte ho.


How to create YouTube channel?

   Dosto ager aap ek new youtube channel bnana chahte ho or aapko nhi pta new youtube channel kaise bnaye to yeh post ko aap pura jarur padhe. Es post me dosto main apko btane wala hun youtube channel create kaise kare? 


1. Create new gmail account. 

     Dosto new youtube channel bnane ke liye aap ek new gmail account bna lijiye. Taki ap us new gmail account me apna new youtube channel bna sako. Yeh karna bahoot jaruri hota hai aaj ke time me to yeh jaru kare.

New gmail account bnana ke baad ab aap aapna youtube channel bnana suru karoge. 

2. Opne Google Chrome browser. 

3. Opne youtube in desktop mode. 

4. Click on profile icon.

6. Go to settings.

7. Click on  create a youtube channel. 

8. Add your channel name.

9. Click on check box.

10 click on create button. 


Dosto en steps ko follow karne ke baad aapka new youtube channel create ho jayega. Ager aap video ke jariye yeh process dekhna chahte ho to nichhe eska pura video diya gya hai. aap mere youtube channel ko bhi subscribe kar sakte ho or easi hi helpfull videos ke liye.




Jan 29, 2023

1000 subs or 4000 hours ka watch time pura kaise kare | एक महीने में कैसे पूरा करे

 Dosto youtube pe ager aapka channel hai or aap usse paise kamana chahte ho to aapko apne youtube channel ko monetize karna hoga or youtube channel ko monetize karne ke liye apko 1000 subscribers or 4000 ghante ka watching time pura karna hoga. Yeh youtube  partner program policie hai jiske bina aap aapne channel ko monetize nhi kar sakte to aaj hum es post me janenge kaise youtube channel per 1000 subscriber or 4000 hours ka watch time pura kare?


Dosto ager aapne apne youtube channel ko monetize karna chahte ho to apko 365 din me apne channel me 1000 subscribers or 4000 hours ka watching time complete karna hoga. Ager aapka channel ek saal se bhi purana hai to bhi aap aapne channel ko monetize kar sakte hai. Aapko aaj se pichhle 365 din me 1000 subscriber or 4000 ghante ka watch time pura karna hoga.

1000 subscriber 4000 hours ka watch time pura kaise kare?


1. Post regular videos.

   Dosto 1000 subscribers or 4000 ghante ka watching time pura karne ke liye apko regular video ko post karte rehna hai. Week me 2 videos upload karo yah 3 yeah 4 but regular upload karte raho.

2. Make informative content. 

    Dosto jo bhi video aap upload karo wo aapko informative bnani hai. Kisi bhi type ki video ho usme information deni chahiye. Esse subscribers jaldi badte hai.

3. Make funny and enjoyable content. 

     Dosto aapko easa  video bnana hai jo log dekhna chahte hai video interesting type ka content hona chahiye viewers bore nhi hone chhiye.

4. Quality content. 

     Dosto apko apni video ki Quality achhi rakhni hai or aapki voice quality bhi achi honi chahiye. Jisse log aapki video ko pura dekhenge or esse apko bahoot help hogi apne target ko pura karne me.




Dosto yeh video aapko bahoot help karegi 1000 subscribers or 4000 ghante ka watch time pura karne me to esko aap pura jarur dekhe.

Feb 19, 2021

Nye YouTube channel pe views kaise laye | New YouTube channel ko grow kaise kare?

Dosto aapne ek new YouTube channel bnaya hai or aapne videos dalna shooru kar diya lekin apke channel par koi subscribers nhi hai to apki video dekhega kon. Channel ke shurwati dino me videos pe views kaise laye? Esi ka jawab me aj apko dene wala hun aap apne new YouTube channel pe views kaise laye or new YouTube channel ko grow kaise kare? 


Ager apke channel pr kuchh videos dalne ke baad bhi views nhi aa rahe to ap meri es post ko pura jarur pade aapako bahoot help milegi. YouTube tips keliye or blogpost ko bhi check kare.

Nye YouTube channel pe views kaise laye?

      Dosto ager aap apne new YouTube channel pe views lekar aana chahte hai or channel ko grow karna chahte hain to aapko bahoot mehant karni padegi. Aapko continue video dalte rehna padega or apni videos ko quality ko improve karte rehna padega. Nye YouTube channel pe views kaise laye eskeliye apko kuchh or important baato ka bhi dhyan dena padega.

1. Create Content. 

    Dosto apko content continue dalte rehna hai. Aapke channel pe views kam aaye yaah fir nhi aaye. Lekin aapko videos dalte rehna hai. Esse aapke channel pe kam time me jada content hoga or jitna jada content hoga aapke channel pe utne jaada views aayenge logo ko jada content milega apke channel pe.

2. Keep sharing your videos.

    Aapke nye YouTube channel pe bahoot kam subscribers hai aapko jada views bhi nhi aate to ease me apko apni video ko apne Social media pe share karte rehna chahiye. Or unko bolna chahiye ki videos ko pura dekhe. Jisse apke channel pe watch time jada aaye esse aapko jada reach milegi apni videos ki or aapko views bhi milenge video ko share karne se.

3. Create Informative content. 

    Dosto apka new channel hai to aapko apne channel pe Informative content hi dalna chahiye. Kyunki Informative content jada search hota hai or usse apko subscribers bhi jaldi milenge. Ager apka channel funny category ka hai to ease me ap jo video create kar rahe ho wo bhi kuch ease topic pe hona chahiye jo logo ko inspire kare or logo ko kuchh sikhaye kuchh Information bhi share kare. 

4. Use best keyword in title, description and tags.

    Dosto jis bhi topic pe ap video create kar rahe ho uske uper ache se research kar lo kon se keyword kitne search hote, kin keywords pe kitna traffic hai or un hi keywords ko ap apni video ke title, description or tags me use kare jisse aapki  video YouTube search me aaye.

5. Make quality content. 

    Dosto jaise jaise aapke channel pe views or subscribers aate jayenge to apko apne channel pe quality improve karni padegi video ki bhi oe content  ki bhi. Video quality ke liye aapko investment karni padegi. Jitna ap investment  kar sakte hai utna ap jarur kare. Content quality  ke liye aapko achhe se video shoot karni chahiye, editing achhe se karni chahiye.  Jo log dekhna chahte hai uspe focus karna chahiye. 

Dosto ager ap en bato pe dhayan doge to aapko bahoot aasani hogi apne new YouTube channel pe views laane me or channel ko grow karne me. Eske saath me nye YouTube channel ko grow  karne ke liye aapko YouTube ke baare me sikhte bhi rehna hai. YouTube polices ko follow karte rehna hai.



Feb 10, 2021

YouTube channel grow kaise kare? | 5 best tips for grow YouTube channel

       Dosto ager ap apne YouTube channel pe kafi lambe time se kam kar rahe hai or apka youtube channel grow nhi ho raha hai apko channel pe achhe views nhi mil rahe hai to ap kaise YouTube channel ko grow kare eske baare ke me apko puri jaankari dene wala hun. Kuchh khas easi tips apko dunga jo apke bahoot kaam aayengi. Agar ap apne YouTube channel ko jaldi se grow karna chahte to sabhi tips ko achhe se follow jarur kare.

 How to grow YouTube channel? 

1. Focus only one type of topic. 

    Dosto ager ap jaldi se apne youtube channel ko grow karna chahte ho to apko ek hi topic pe videos bnani chahiye. Bahoot baar hum apne YouTube channel pe galti karte hai views ke chaker me apne topic se hat ke videos bnate hai jisse channel pe anne wali audience apke regular videos ko nhi dekhti. To focus on one type of topic or regular ussi topic pe video bnate rahiye.

2. Upload regular videos.

    Videos apko ek format me upload karte rehna chahiye. Ager ap roj ek video upload karte hai to her roj video upload kare. Ager ap week me 3 video upload karna chahte ho to ek din chhod ke video upload kare. Ek format ko hi apko follow karna chahiye. Esse logo ko pta rehta hai ap kab video upload karoge or log us time ka wait karte hai or apki video ko dekhte hai. 

3. Focus on watch time or more viewers.

    Dosto ager ap apne channel pe subscriber badne ko channel grow karna samjhte ho to yeh apka sochna bahoot galt hai. Kyunki aaj ke time me watch time hi sab kuchh hai. Apke channel pe aane wale ek view se apko kitna watch time mil raha hai usse decided hoga apka video kitne log tak pahunchega. Jo apki video ko jaada dekhega usko apki video ka notification bhi jayega. Usko apki video home page me recommend bhi ki jayegi. To focus kariye watch time bhadane me or log kya dekhna chahte hai apke channel pe uspe. Usse apka YouTube channel bahot fast grow ho jayega.

4. Focus on organic traffic.

    Dosto organic traffic YouTube channel ke liye bahoot jaruri hai or jitna jada ho apke new YouTube channel pe utna hi jaldi apka channel grow hoga. Apko notification se views aane chahiye, apko browser feature se or YouTube search se jabse jaada traffic aana chahiye. To apka YouTube channel bahoot hi jaldi grow hoga.

5. Share, suggest, and focus on thumbnail. 

    Dosto video YouTube pe upload karne ke baad apko bahoot saare kam karne padte hai jaise ki video ko share karna apne Social media pe, community tab, YouTube stores pe. Apko video ko apne dusre videos me bhi suggest karte rehna chahiye jaha pe bhi apko suggest karne ki option milti hai. Or thumbnails ko apko dekhte rehna hai kaisa perform kar raha hai logo ko pasand aa raha hai yaah nhi. Achha nhi hai to dubaara usko ap change kariye. Lekin yeh saare kam apko video upload karne ke baad karne chahiye.

Doato ager ap en sabhi Tips ko follow karte hain to apko apne YouTube channel ko grow karne me bahoot help mil jayegi. Or bhi bahoot se factor  hote hai YouTube channel ko grow karne me. Apka luck bhi bahoot bada factor hai kab apki ek video viral hogi.



Apr 15, 2020

Video ke description me kya likhe | ऐसे लिखो video description 100% grow hoga | video search me laye


Dosto ager ap chahte ho apke channel ki video YouTube search me rank ho to uske liye apko tags use karne  padenge apne title, description or tags wale section me to aaj me apko btaunga video ka description kaise likhe.?
Kaise likhe video ka description
Video ke description me kya likhe?

Ager apko apni videos ka description likhna nhi aata hai ager ap video ke description me kuchh bhi nhi likhte ho to apki video YouTube search me rank hone ke chance bahoot kam ho jate hai. To apko apni video ke description me kuch na kuch likhna padta hai. Or easa bhi nhi ki kuchh bhi ap likh do video ke description me to apki video YouTube search me rank ho jaye apko tags or keywords ad karne padte hai to aaj me apko btaunga video ke description me tags kaise lagyenge.?

How to add video description?

  Video ka description kaise likhe to bahoot se youtuber ko yeh pta nhi hota or wo galti karte hai ki video description me kuchh nhi likhte hai ager likhte bhi hai to usme tags or keyword nhi hote jisse video youtube search me nhi jati. To me yaha pe kuchh tips and tricks btaunga kuch ease baate apko btaunga jisse apko pta lg jayega video ke description me tags kaise likhe or video description kaise likhe sabhi tips ko jarur use kare. Or ager ap video dekh ke sikhna chahte ho to es video pe ap dekh sakte ho sabhi chije esme bhi btai gai hai.


1. Add video description.

Kuchh log video ke  description me kuchh bhi nhi likhate hai to apko yeh galti kabhi nhi karna hai hamesha video ke description me kuch na kuch likho 2 line hi sahi per jarur likho.

2. Add title in first line in description.

Apki video ka jo bhi title hai wo apki video ke description me pehli line me aa jana chahiye. Jaruri nhi ki some ho lekin title se related ho wo apko video ke description me pehli line me hona chahiye.

Suggested Topic
1. YouTube channel ke description me kya likhe?
2. Video ko youtube search me rank kaise kare?
3. How to verify my channel?
4. Purani videos pe views kaise laye?
5. 1000 subscribers pure kaise kare?
5. YouTuber kaise bane?

3. Add tags on video description.

Video ke description me tags likhna bahoot jaruri hai. Lekin YouTube ki policy hai ap ( , ) es sing ke sath tags ko nhi likh sakte ho ek bar use kar liye to thik hai lekin ignore kijiye es  sing ke sath description me tags likhna. To video ke description me tags kaise likhe to es keliye ap video ke baare me pura description likhiye video me kya hai kis topic pe baat hui hai or sath me alg alg style se tags ko video description me add kare. Jaise ap mere es video description me dekh sakte hai.
Video ke description me tags kaise likhe?

4. Use # tag on video description.

YouTube video ke description me ap ( # ) tags ko use kar sakte ho. To jis bhi topics pe ap video create kar rahe ho uske upper bahoot se ( # ) tags hote hai unko jarur se apne video ke description me use karo. Esse bhi video youtube search me aati hai. Upper photo me ap dekh sakte ho.

5. Videos suggestions in video description.

Ap kisi topics pe video create kar rahe ho to apne usse related video pehle bhi bnai hogi to ap un videos ko apni es video ke description me suggest kar sakte ho. Un videos ke naam add karo or links share ko yeh bhi help full rehta hai.

Dosto yeh 5 best tips hai jinko use karekr ap video ke description ko likh sakte ho. Video ko youtube search me lane ke liye description likhna bahoot jaruri hai. Eske sath ap apne video ke description me apne Social Media ke links share kare apne channel ki playlist ko bhi share kare videos pe or jada views aayenge. Ager apko yeh post helpful lga to jarur comments me btaye.



Mar 24, 2020

Youtube subscribers ko hide kaise kare जानिए हिंदी में | Best YouTube tips

       Doato ager ap apne youtube channel pe kisi ko bhi apne subscriber nhi dikhana chahte ho to YouTube apko allow karta hai hai ki ap apne YouTube channel ke subscribers ko hide kar sake. To aj me apko eske bare me btane wala hun kaise YouTube channel ke subscriber ko hide kare or sath me hi yaha me apko btaunga subscriber hide karne ke kya fayede hote hai or nuksan kya hote hai.
Youtube subscribers ko hide kaise kare

How to hide YouTube subscribers?

      YouTube subscribers ko hide karne ke liye apko kuchh steps follow karne honge......

1. Open Google chrome browser and open YouTube studio in desktop mode.
Hide subscribers step by step

2. Clcik on setting button.
3. Click on channel.

4. Click on Advance setting.
5. Find subscribe count option and remove check in.

6. Click on save button.
In sabhi steps ko follow karne ke baad apke channel pe subscribers hide ho jayenge. Ager ap janna chahate ho YouTube subscribers ko visible kaise kare to uske liye apko same steps follow karne hai or subscriber count pe anne ke baad check in kar dena hai or save kar dena hai uske baad subscribers visible ho jate hai.

Youtube subscribers ko hide karne ke fayede or nuksan?

    Dosto ease to kuchh khas fayede or nuksan nhi hai subscribers hide karne ke lekin ager apka ek new YouTube channel hai to es case me ap subscribers count ko hide kar sakte ho. Kyunki us time me apke channel me jada videos nhi hoti or na hi easi koi video hote hai jispe bahoot achhe views ho subscribers count bhi kam hi rehta hai ease me log samjhte hai new creator hai kuchh pta nhi hoga to wo bhi subscribe nhi karega. To ease me ap subscribers hide kar sakte ho. Or jb apke pas 50+ videos or 100-1000 subscribers ho jaye to ap visible hi rakhe. Kyunki number bahoot matter karta hai.
Dosto apko yeh post kaisa laga comment me jarur btaye. Ap yeh jaankari video me bhi dekh sakte hai.

Mar 22, 2020

Youtube channel ko verify kaise kare | Channel बनाने के बाद ये है सबसे ज्यादा जरूरी

YouTube channel ko verify kaise kare

Dosto YouTube channel ko verify karna bahoot jaruri hai. Jab bhi ap nya youtube channel bnate hai to uske baad apko apne YouTube channel verify karna padta hai jiske baare me complete apko btane wala hun YouTube channel ko verify kaise kare?


How to verify YouTube channel?

   Channel ko verify karna bahoot aasan hai eske liye apke pass ek phone number hona bahoot jaruri hai. Or phone number 2 se jada channel ke sath  link nhi hona chahiye. To chaliye jante hai kaise YouTube channel ko verify kare?

1. Log in your YouTube channel.
2. Click on channel logo.
3. Clcik on setting button.
4. Click on channel status and features.
     Dosto direct es page me jane ke liye yah click kare.
5. Click on verify button.
Step by step channel verification

6. Select country, verification code delivery method.

7. After that add phone number and click on submit.

8. Add verification code and click on submit.

9. Congratulations your channel is now verified.

10. Click on continue button.
Channel verified


Youtube Channel verify karne ke fayede.?

                  Dosto 5 fayede channel verify karne ke me yaha apko btaunga lekin  bahoot saare fayede hote hai channel verify karne ke or channel verify karna bahoot jaruri hota hai apne nhi kiya to jaldi se channel verify kar lo.

1. Custom thumbnail.
      Channel verify karne ke baad ap apni videos pe khud ka custom thumbnail lga sakte hai  jisse apki videos pe clicks jada aayenge.

2. Monetization.
     Dosto ager ap apne YouTube channel ko verify karte ho to ap uske baad apne channel ko youtube pe monetize bhi kar sakte ho or paise earn kar sakte ho.

3. Live streaming.
    Ager ap apne channel pe live streaming karna chahte ho to uske liye bhi apko apna Channel verify karna bahoot jaruri hai.

4. Longer video upload.
    Youtube Channel verify karne ke bad ap apne channel pe badi videos post kar skte hai 15 minute ke upper ki video upload kar sakenge.

5. Appeal Content ID claim.
     Apne channel ko verify karne ke bad content ID claim karne ke  liye appeal kar sakte hai.

To yeh the 5 important features jo apko youtube channel verify karne ke baad enable hote hai. Or bhi features hai jo channel verify hone ke baad enable hote hai to YouTube channel ko verify jaldi se jaldi kar le. Apko yeh article kaisa laga comment me jarur btaye.