Mar 24, 2020

Youtube subscribers ko hide kaise kare जानिए हिंदी में | Best YouTube tips

       Doato ager ap apne youtube channel pe kisi ko bhi apne subscriber nhi dikhana chahte ho to YouTube apko allow karta hai hai ki ap apne YouTube channel ke subscribers ko hide kar sake. To aj me apko eske bare me btane wala hun kaise YouTube channel ke subscriber ko hide kare or sath me hi yaha me apko btaunga subscriber hide karne ke kya fayede hote hai or nuksan kya hote hai.
Youtube subscribers ko hide kaise kare

How to hide YouTube subscribers?

      YouTube subscribers ko hide karne ke liye apko kuchh steps follow karne honge......

1. Open Google chrome browser and open YouTube studio in desktop mode.
Hide subscribers step by step

2. Clcik on setting button.
3. Click on channel.

4. Click on Advance setting.
5. Find subscribe count option and remove check in.

6. Click on save button.
In sabhi steps ko follow karne ke baad apke channel pe subscribers hide ho jayenge. Ager ap janna chahate ho YouTube subscribers ko visible kaise kare to uske liye apko same steps follow karne hai or subscriber count pe anne ke baad check in kar dena hai or save kar dena hai uske baad subscribers visible ho jate hai.

Youtube subscribers ko hide karne ke fayede or nuksan?

    Dosto ease to kuchh khas fayede or nuksan nhi hai subscribers hide karne ke lekin ager apka ek new YouTube channel hai to es case me ap subscribers count ko hide kar sakte ho. Kyunki us time me apke channel me jada videos nhi hoti or na hi easi koi video hote hai jispe bahoot achhe views ho subscribers count bhi kam hi rehta hai ease me log samjhte hai new creator hai kuchh pta nhi hoga to wo bhi subscribe nhi karega. To ease me ap subscribers hide kar sakte ho. Or jb apke pas 50+ videos or 100-1000 subscribers ho jaye to ap visible hi rakhe. Kyunki number bahoot matter karta hai.
Dosto apko yeh post kaisa laga comment me jarur btaye. Ap yeh jaankari video me bhi dekh sakte hai.

Mar 22, 2020

Youtube channel ko verify kaise kare | Channel बनाने के बाद ये है सबसे ज्यादा जरूरी

YouTube channel ko verify kaise kare

Dosto YouTube channel ko verify karna bahoot jaruri hai. Jab bhi ap nya youtube channel bnate hai to uske baad apko apne YouTube channel verify karna padta hai jiske baare me complete apko btane wala hun YouTube channel ko verify kaise kare?


How to verify YouTube channel?

   Channel ko verify karna bahoot aasan hai eske liye apke pass ek phone number hona bahoot jaruri hai. Or phone number 2 se jada channel ke sath  link nhi hona chahiye. To chaliye jante hai kaise YouTube channel ko verify kare?

1. Log in your YouTube channel.
2. Click on channel logo.
3. Clcik on setting button.
4. Click on channel status and features.
     Dosto direct es page me jane ke liye yah click kare.
5. Click on verify button.
Step by step channel verification

6. Select country, verification code delivery method.

7. After that add phone number and click on submit.

8. Add verification code and click on submit.

9. Congratulations your channel is now verified.

10. Click on continue button.
Channel verified


Youtube Channel verify karne ke fayede.?

                  Dosto 5 fayede channel verify karne ke me yaha apko btaunga lekin  bahoot saare fayede hote hai channel verify karne ke or channel verify karna bahoot jaruri hota hai apne nhi kiya to jaldi se channel verify kar lo.

1. Custom thumbnail.
      Channel verify karne ke baad ap apni videos pe khud ka custom thumbnail lga sakte hai  jisse apki videos pe clicks jada aayenge.

2. Monetization.
     Dosto ager ap apne YouTube channel ko verify karte ho to ap uske baad apne channel ko youtube pe monetize bhi kar sakte ho or paise earn kar sakte ho.

3. Live streaming.
    Ager ap apne channel pe live streaming karna chahte ho to uske liye bhi apko apna Channel verify karna bahoot jaruri hai.

4. Longer video upload.
    Youtube Channel verify karne ke bad ap apne channel pe badi videos post kar skte hai 15 minute ke upper ki video upload kar sakenge.

5. Appeal Content ID claim.
     Apne channel ko verify karne ke bad content ID claim karne ke  liye appeal kar sakte hai.

To yeh the 5 important features jo apko youtube channel verify karne ke baad enable hote hai. Or bhi features hai jo channel verify hone ke baad enable hote hai to YouTube channel ko verify jaldi se jaldi kar le. Apko yeh article kaisa laga comment me jarur btaye.

Mar 21, 2020

ये काम करो सबसे पहले । YouTube Channel bnane ke baad kya kare । 5 Best tips


Dosto agar ap new YouTube channel bnan rahe hai to es post me apko me btane wala hun nya youtube channel bnane ke baad sabse pehle kya kam karna chahiye? Dosto kuchh ease kaam hote hai jo apko channel bnane ke baad sabse pehle karne chahiye. Matlb koi bhi video upload karne se pehle yah channel ka link kisi or ko bhejne se pehle yeh kaam jarur kar lene chahiye.
New youtube channel

               Dosto sabse pehle ager apko nhi pta ap channel kaise create karenge, Youtube channel kaise bnaye to eske uper click karke ap pad sakte hai channel kaise bnaye yah fir YouTube pe video dekh sakte hai.


New channel bnane ke bad yeh kam sabse pehel kare.


1. Channel verification.

     Dosto ager ap channel bna rahe hai to apko channel verify karna bhi bahoot jaruri hota hai. Channel verification se apke channel per custom thumbnail ki option opne hoti hai live streaming ki option enable hoti hai to esi or bhi chije apko milti hai to channel Verify jarur kare yeh bahoot jaruri hai. Ager apko nhi pta YouTube channel ko verify kaise kare to yaha clcik karke ap jan sakte hai yah YouTube pe video dekh sakte hai.

2. Channel description.

     Dosto channel ko YouTube search me lane ke liye bahoot jaruri hai ki ap apne channel description ko achhe se likhe. Esse channel YouTube search me jata hai or jb koi apke channel about me jata hai to waha apke channel ke description me kya likha hai wo bhi bahoot depend karta hai to channel description achhe se add kare. Ager apko nhi pta channel description ko kaise likhe to ap yaha click karke pad sakte hai yaah fir YouTube pe  video dekh sakte hai.


3. Channel Logo or Channel Art Setup.

    Dosto Youtube channel ka logo or channel art add karna bahoot jaruri hai. Channel logo se apke channel ki pehchan hoti hai or jb koi apke channel per jata hai to usko apke channel ka channel art dikhai deta hai jisse channel professional lagta hai. To sabse pehle channel logo or channel art apne channel pe add kare. Ager apko nhi aata kaise channel logo or channel art add kare to yaha click karke ap pad sakte hai yaah YouTube pe video dekh sakte hai.

4. Social media section.

     Saari chije ad karne ke bad ap apne social media accounts ko bhi apne youtube channel ke sath link kar sakte hai. Description ke niche apko yeh option milti hai. Kaise social media ko channel se link kare to yah click karke jaane.


5. Channel Layout.

     Dosto channel layout yeh apke tab kaam aati hai jb apkoi video apne channel me upload kar lete ho. Uske baad apke channel me apko logo ko kaise videos dikhni hai to uske liye apko channel ki layout bnanni chahiye. Channel layout kaise set kare uske liye YouTube video dekhe.

Dosto pehle 3 kaam apko nya channel bnane ke baad sabse pehle karne hai wo apke liye bahoot jaruri hai koi bhi video upload karne se pehle. Baaki ke 2 apko video upload karne ke baad bhi karsakte hai. To apko yeh jankari kaisi lagi comment me jarur btaye.

Jan 24, 2020

How to get views on old videos | पुरानी videos पे views कैसे लाये Best 5 Tips । Best YouTube tips


Dosto ager apko bahoot time ho chuka hai YouTube pe or aapne bahoot saari videos dal rakhi hai lekin apki purani videos pe views bahoot kam aate hai yaah fir nhi aate videos dead padi hai to aaj me apko btane waala hun ap apni purani videos pe views kaise laye. Yaah me apko 5 best tips btane wala hum jisse ap apne channel pe purani videos pe views laa sakte hai.
5 best tips for getting views on old videos

How to get views on old videos?

             Dosto purani videos pe views kaise laye eske liye apko bahoot saari chijo ka dhyan rakhna padega kuchh tips apko follow karni padegi to yaha me apko btane wala hun 5 best tips for getting views on old videos. Jo bhi tips me apko bta raha hun unko achhe se follow karo  or ap apne purani videos pe achhe views la sakye hai.


1. YouTube Search.

     YouTube search se ap apne channel pe acha traffic la sakte hai or apni purani videos pe ap achhe views la sakte hai. Ager apke channel pe search se traffic nhi aata to apko jarurt hai apne videos ke title ko change karne ki apko jarurt hai videos ke description or tags ke ander achhe keywords ko use karne ki. Aap google keyword planner yah fir youtube search me aane wale keywords ko apne videos ke title me use karo description me use karo or tags me bhi bilkul same keywords ko use karo. Esse apke channel ki ranking badegi videos ki ranking badegi aapke channel ki videos YouTube search me jaagi or apko youtube search se bhi achha traffic milega or ap esse apni purani videos pe ache views la sakte hai.


2. End screen.

    YouTube ka feature hai End Screen esko jarur ap use kare or jo apki popular videos hai jinke upper apko regular achhe views milte hai un videos ke end screen me aapko un videos ko use karna hai jinke uper apko views nhi aate or purani videos hai or us video se related hai. End screen se apki purani videos ke upper achha traffic milega.

3. I cards.

    YouTube ka i cards feature bhi bahoot acha feature hai purani videos pe views lane ke liye. Jo bhi video ap bna rahe hai usse related videos ko apni videos me promote kar dijiye video me related videos ke baare me baat kare or logo ko btaye ki video i card me hai jaaker check kare. Usse bhi apko bahoot achha traffic milega.

4.  Create playlist.

      Dosto ager ap apni purani videos pe regularly achhe views lana chahte hai to apko playlist create karni chahiye. Playlist bahoot kaam aati hai or playlist create karne ke baad playlist ko share bhi karte  rahe. Apni video me logo ko btaye, description me apni playlist ke links share kare. Esse log apki playlist me jaker playlist ki sabhi videos ko dekhenge most probably ek se jaada hi videos dekhenge to apko acha traffic milega.

5. Share your videos.

     Dosto ager apke pass YouTube story tab hai or community tab sabhi ke pass hai to apko waha pe apni videos ko share karna chahiye regular share karte rehna chaiye lekin ek achhe keywords ke saath me. Esa keyword jo catchy ho or logo ki nager me aaye jisse log automatically apke us video ko dekhe. Eske saath apni videos ko ap social media pe bhi share karte rahe social media se bhi apko acha traffic milega.

Dosto yeh thi kuch 5 best tips for getting views on old videos. Jo bhi tips apko maine btai hai unko ap use karo apko response jarur milega eske sath kuchh or chijo pe apko dhyan dena chahiye jaise ki keywords apko ache use karne hai title me, description me or tags section me. Thumbnail bhi apko acha or attractive bnana hai wo ek bahoot important part hai. Purani videos pe views kaise laye maine eske uper ek video bhi bnaya hai ap usko bhi dekh sakte hai.


Jan 1, 2020

How use youtube videos without copyright Strick | बिना copyright strick के videos को use करे



Dosto ager ap YouTube se videos download karke apni videos me use karna chahte ho ager apko apni videos ke liye ek acha music chahiye free me  to YouTube ka ek feature easa hai jisse ap apne channel me YouTube videos ko use kar sakte ho or us feature ka naam hai Creative Commons.
Creative commons

Creative commons kya hai?

         Creative Commons YouTube ka ek easa feature hai jo apko allow karta hai YouTube videos ko reuse karne ke liye. YouTube me ap 2 types ke license me video upload kar sakte hai pehla standard license jisme  video ko koi bhi dusra use nhi kar sakta. Dusra license hai Creative Commons esme koi bhi video ko use kar sakta hai. Es feature me ap kisi bhi video ko reuse kar sakte hai jo video creative commons me upload hoti hai.

How to check Creative commons videos on YouTube?


           1. Jo bhi video apko youtube se download karni hai to us video ke description me check kare sabse  niche kya  uspe likha hai Creative Commons license video. Ager likha hai to ap us video ko reuse kar sakte hai.
Creative common license
           2. Search karo YouTube pe or uske baad filter ke option pe click karo or waha apko option me milga Creative Commons uspe click karo. Uske baad jo bhi video apko YouTube search me dikhegi wo Creative Commons me upload hui hai or ap unko reuse kar sakte hai apni videos me.
Creative common filter


Creative commons ki videos ko use kaise kare.

            Ager ap YouTube pe Creative Commons me upload videos ko apni video me use karna chahte hai to bahoot simple hai Creative Commons ki videos ko ap YouTube  se download karo or unko jaise marji apni video me use kar lo apko koi bhi Copyright Strick or claim nhi milega.


Dosto ager apko yeh jankari achhi lagi to share kare or comments me btaye ap or kya janna chahte hai ke uske uper bhi article jaldi hi post karunga.

Dec 24, 2019

How to get first 1000 subscribers and 4000 hours watch time faster | Best 5 tips for geting subscribers and watch time faster


Dosto ager ap ek new youtuber hai or ap jaldi se chennel pe 1000 subscribers or 4000 hours watch time  pure karna chahte hai to aj me apko kuchh esi best tips btane wala hun jisse ap apne channel pe 1000 subscriber or 4000 hours watch time jaldi se pure kar sakte hai or apne channel ko grow kar sakte hai. Ap jis bhi topics pe videos bnate ho jo bhi content ap create karte ho usko ap YouTube pe rank kra sakte hai or ap apne channel ko monetize kara sate ho YouTube se paise kma sakte ho. Puri jankari ke liye ap es post ko pura pade or achhe se apne channel me implement kare tabhi ap apne channel me 1000 subscribers or 4000 ghante ka watch time jaldi se pura kar sakte ho.
How to get 1000 subscribers and 4000 hour's watch time faster


How to get first 1000 subscriber & 4000 hours watch time faster?


1. Upload Informative videos.

          Ap video kisi bhi topic pe bna rahe ho chahe technology se related ho yaah fir vlogs ho, bikes, cars ho to us topic ke baare me ap puri tarha se apni video me btaye. Ap jis topic pe video bna rahe ho to uske baare me apki audience ko achhe se pata lagna chahiye kisi ko koi bhi confustion  nahi rehena chahiye. Jo ap apni video me bta rahe ho  wo ager ap achhe se sabhi tek pahuncha pa rahe ho or sabhi ko achhe se samjh aa raha hai to apke channel ko log subscribe karenge or apki videos ko pura dekhenge. Jisse ap apne channel ko jaldi se monetize bhi kar payenge.


2. Ask people for Like, Comment & Share.

       Ager ap apni videos ko informative bna rahe ho or logo ko apki videos pasand aa rahi hai to logo ko apko batana padega ki ager unko apki video achhi lage to like kare, share kare or comments bhi kare. Jab log apki video pe like larenge, share karenge or comments karenge to apki video pe audience retention badega or jinta jada audience retention apki video pe badega apki video utni hi jada suggestions me jayegi, search me jayegi or apko achhe view milenge or achhe subscriber milenge. To apko apni video ke last me starting me yaah fir bich me like, share or comments karne ko jarur bolna hai.


3. Focse On Organic Traffic.

         Ager apko apne channel ko jaldi se grow karna hai to apko focse karna padega apni audience pe. Apko jo audience mil rahi hai wo audience kaha se mil rahi hai? Ager apko external sources se traffic aa raha hai to apko organic traffic pe focse karna hai. Organic traffic kya hota hai? Orgnice traffic use bolte hai jo apko youtube se mile. Jo audience apko YouTube ke kisi bhi feature ke through mil rahi hai usko organic traffic kehte hai. Or ager apko apna channel jaldi se grow karna hai to focse on organic traffic. Esme bhi apko YouTube search or browse feature ke uper focse karna hai. Ense hi apko acha traffic milega or ap apne channel ko jaldi se grow kar sakte hai

4. Make videos Regular with good title and tags.

         Channel ko jaldi se grow karna hai 4000 ghante ka watch time or 1000 subscriber pure karne hai to apko regular videos dalni chahiye. Tabhi log apke channel pe videos dekhenge or channel ko subscribe karenge. Eske sath apko intresting content bhi bnana padega log ager apke channel ke content se bor honge to wo sirf apne fayede ki videos dekhenge baki videos ko nhi dekhenge jisse apko achhe views nhi milenge to apko videos intresting bhi bnani padegi. Jo bhi video ap bnaye usko acha sa title de or jitne bhi tgas apko usse related lagte hai wo sare description me likhe or tags me likhe esse apki video search or suggestions me jayegi or apko achhe view or subscriber milenge.

5. Ask people for  Subscribe Channel.
       Apne acha se informative video bnai, regular video upload bhi kar rahe ho, log like, share or comments bhi kar rahe hai or apko acha organic traffic bhi mil raha hai lekin subscriber nhi bad rahe hai to ease me apko apni audience ko bolna padega ki wo apke channel ko subscribe kare. Video ke last me, starting me yaah fir bich me kahi bhi ap bolo lekin logo ko btao ki wo apke channel ko subscribe kare. Esse apke channel pe subscribers jaldi se bad jayenge.


Doato ye thi Best 5 tips for geting subscribers and watch time faster. Ager ap enko follow karte hai to ap apne channel ko jaldi se grow kar sakte hai. Ager ap apne channel ko or jaldi grwo karna chahte hai to apko or jada mehanat karni padegi. Apki videos kaisa perform kar rahi hai kin tags pe apko traffic mil raha hai, kis type ki videos me views mil rahe hai, watch time kaha se kitna aa raha hai apko her chij dekhni padegi, samjhni padegi fir ap or bhi jaldi apne channel ko grow kar payenge. 1000 subscribers or 4000 hours watch time complete kaise pure kare yeh maine apko bta diya apna experience maine apko btaya hai  apko bahoot kaam aayengi yeh tips jarur follow kare.

Yeh post apko kaisi lagi mujhe jarur btaye. Kya esse apko kuchh help mili? Comment karke jarur btaye.

Nov 26, 2019

Low price Best 5 Products for new YouTuber | gears on cheap price

         
Best gears for youtube at low price
      Dosto ager ap new YouTube creator hai apke pass ek achha budget nhi hai YouTube gears kharidne keliye, ap ager Mobile se video shoot kar rahe hai to aaj me apko kuchh ease best gears ke baare me batane wala hun jin YouTube gears ko ap low price  me kharid sakte ho or apne  video quality ko improve kar sakte ho. Sabhi best YouTube gears hai or apko kam se kam price me dekhne ko milenge jin me se kuchh ko me khood use karta  hun.


Note:- Products price kabhi bhi offers pe change ho sakti hai buy karne se pehle research kare.

Best YouTube gears for new YouTuber.

1. Tripod stand.

Tripod stand bahoot kaam ane wala product hai jisse video me stability aayegi, ager ap akele video shoot kar rahe hai to ek achhi si jaga ap tripod ko rakh ke video shoot kar sakte hai. Jo log ek jaga pe video shoot karte hai yaah stability chahte hai apni video me to tripod stand jarur le.

2. Gorilla pod.

  Ager ap vlogger hai chalte firte video shoot karna chahte hai to gorilla pod apke bahoot kaam aane wala product hai. Apko ager kahi pe tripod stand lagane ki jaga nhi milti waha gorilla pod apke kaam aayega. Gorilla pod is very helpful and best gear for vloggers.

3. Selfie stick.

Ager ap travel videos bnate hai, yaah fir ap chalte chalte alg alg angle se Photos & video record karna chahte hain to selfie stick aapke bahut kam aane wala product hai. Selfie stick se ap different types ke shoot le sakte hai.

4. Mic.
    Ager ap chahte hai  videos me achhi voice quality aaye to apko ek achha sa mic  bhi lena chahiye. Mic apki video quality ko bahoot jada improve kar dega.

5. Lights.

    Video quality ko improve karne ke liye light ka hona bahoot jaruri hai. Ager achhi light nhi hogi to jaisa marji camera ho jaisa marji mic ho video quality bahoot kharab aayegi. To light ka hona bahot jaruri hota hai.

Dosto yeh the kuchh best gears for new youtubers. Ager apke pass budget hai or ager ap paise kharch karna chahte hai apne video quality ko improve karne ke liye apne setup ko improve karn ke liye to ap en best gears ko le sakte hai. En gears me main khud selfie stick, tripod stand, or gorilla pod use karta hun. Ap bhi apne budget ke hisab se paisa invest kar sakte hai.
Eske saath ap meri es YouTube video ko bhi dekh sakte hai esme bhi maine en sabhi YouTube gears  ke baare me btaya hai esko dekh ke apko shayad kuchh help mile decide karne me.

Nov 13, 2019

हिंदी में जाने COPPA Kya hai | What is coppa act.

Coppa ky hai

      Children's Online Privacy Protection Act (COPPA) yeh full form hai. Ab COPPA ka matlb kya hai? To 13.11.2019 ko hi eske regarding mail aaya hai youtube ki tarf se or yeh sabhi ko aaya hai ager ap ek creator hai apka YouTube pe channel hai. Jiske ander saaf saaf likha hai COPPA ek act hai law hai or yeh act chhote bacho ke liye hai chhote bacho ko online protect karne ke liye bnaya hai. Or ager ap kids se related content create karte hai to COPPA affect karega apke channel ko or monetization. Kaise to aage ap es post me jaanenge saari chije apko btane wala hun kya apko karna chahiye, kaise pta kare channel me kids content hai, kaise coppa impact karega monetization or content ko.


Coppa kaise monetization or content ko impact karega?

      Ager apke channel me kids related content hai to apke channel me bahoot saare changes apko dekhne ko milenge  january 2020 me.  

  COPPA se kya changes aayenge channel me?

              To subse pehle to apki audience reach kam                      
                  ho jayegi apke channel ki saari videos sirf                        
                  kids ko hi dikhai jayegi.    
            Ads apke channel me bahoot kam aayegi.
           Comments disable kar diye jayenge.
             I cards nhi lga payenge.
             Easi or b bahoot saari chijo ki option apse chhin li jayegi kyunki kids koi shoping nhi karenge, kids koi comment nhi karenge, i cards ko use nhi karte, apki community post or store's bhi nhi dekhenge to apke channel me in features ka koi kaam nhi hoga to apko yeh features nhi milenge. Kyunki en features ko use karke kids ko kuchh or content dikhaya ja sakta hai.


YouTube ko kaise pat chalega channel me kids related content hai?

      

Ager ap kids ke liye Content banate hai or kids ke liye content nhi banate hai to yeh youtube apse puchh raha apko YouTube ko btana padega eske liye apko aaj hi YouTube pe notification flash ho rahi hogi uspe click karke ap set kar sakte hai ki kya apke channel me kids related content hota hai yah nhi. Ager apne notification ko dismiss kar diya hai to settings ko opne kare channel>advance me jaaker ap choose kar sakte hai ki kya kya ap kids ke liye content bnate hai yaah nhi. Or yeh setting all over channel videos ke liye hogi. Ap ek ek video ke upper bhi yeh setting kar sakte hai. Waha pe bhi apko yeh option advance setting me milegi. Yaah apko ek or option milegi jo automatically kam karegi or identify karegi ki kya ap kids related content bnate hai yaah nhi or uske bad apke channel me action liya jayega.


Kaise pata kare humara channel kids related hai yah nhi?

         Ager apke mn me confusion hai ki apka channel kids ke liye hai yah nhi to eske liye YouTube ne bahoot kuchh  nhi btya hai, aane wale time me YouTube eske baare me update karega leki jo btaya hai wo me apko bta deta hun.
Ager ap apni videos ke ander kids ke liye product dikhate hai jaise ki khilone to wo kids ke liye hogya,  ager ap chhote bacho ko leke content create karte hai , agr ap apni video ke ander cartoons dikhate hai, kahaniya btate hai, or main baat ager apki maximum audience 13 saal ke ass pas ki hai to samjh lijiye apka channel kids ke liye hai or apko channel for kid pe set kar dena chahiye.

   Apko youtube me eske regarding ek mail bheja hoga ap usko pura pad sakte hai apko bahoit achhe se samjh aa jayega usko bhi ap pad sakte. Ager apka koi swal hai to comment me jarur btaye.