Feb 19, 2021

Nye YouTube channel pe views kaise laye | New YouTube channel ko grow kaise kare?

Dosto aapne ek new YouTube channel bnaya hai or aapne videos dalna shooru kar diya lekin apke channel par koi subscribers nhi hai to apki video dekhega kon. Channel ke shurwati dino me videos pe views kaise laye? Esi ka jawab me aj apko dene wala hun aap apne new YouTube channel pe views kaise laye or new YouTube channel ko grow kaise kare? 


Ager apke channel pr kuchh videos dalne ke baad bhi views nhi aa rahe to ap meri es post ko pura jarur pade aapako bahoot help milegi. YouTube tips keliye or blogpost ko bhi check kare.

Nye YouTube channel pe views kaise laye?

      Dosto ager aap apne new YouTube channel pe views lekar aana chahte hai or channel ko grow karna chahte hain to aapko bahoot mehant karni padegi. Aapko continue video dalte rehna padega or apni videos ko quality ko improve karte rehna padega. Nye YouTube channel pe views kaise laye eskeliye apko kuchh or important baato ka bhi dhyan dena padega.

1. Create Content. 

    Dosto apko content continue dalte rehna hai. Aapke channel pe views kam aaye yaah fir nhi aaye. Lekin aapko videos dalte rehna hai. Esse aapke channel pe kam time me jada content hoga or jitna jada content hoga aapke channel pe utne jaada views aayenge logo ko jada content milega apke channel pe.

2. Keep sharing your videos.

    Aapke nye YouTube channel pe bahoot kam subscribers hai aapko jada views bhi nhi aate to ease me apko apni video ko apne Social media pe share karte rehna chahiye. Or unko bolna chahiye ki videos ko pura dekhe. Jisse apke channel pe watch time jada aaye esse aapko jada reach milegi apni videos ki or aapko views bhi milenge video ko share karne se.

3. Create Informative content. 

    Dosto apka new channel hai to aapko apne channel pe Informative content hi dalna chahiye. Kyunki Informative content jada search hota hai or usse apko subscribers bhi jaldi milenge. Ager apka channel funny category ka hai to ease me ap jo video create kar rahe ho wo bhi kuch ease topic pe hona chahiye jo logo ko inspire kare or logo ko kuchh sikhaye kuchh Information bhi share kare. 

4. Use best keyword in title, description and tags.

    Dosto jis bhi topic pe ap video create kar rahe ho uske uper ache se research kar lo kon se keyword kitne search hote, kin keywords pe kitna traffic hai or un hi keywords ko ap apni video ke title, description or tags me use kare jisse aapki  video YouTube search me aaye.

5. Make quality content. 

    Dosto jaise jaise aapke channel pe views or subscribers aate jayenge to apko apne channel pe quality improve karni padegi video ki bhi oe content  ki bhi. Video quality ke liye aapko investment karni padegi. Jitna ap investment  kar sakte hai utna ap jarur kare. Content quality  ke liye aapko achhe se video shoot karni chahiye, editing achhe se karni chahiye.  Jo log dekhna chahte hai uspe focus karna chahiye. 

Dosto ager ap en bato pe dhayan doge to aapko bahoot aasani hogi apne new YouTube channel pe views laane me or channel ko grow karne me. Eske saath me nye YouTube channel ko grow  karne ke liye aapko YouTube ke baare me sikhte bhi rehna hai. YouTube polices ko follow karte rehna hai.



0 comments: