Feb 10, 2021

YouTube channel grow kaise kare? | 5 best tips for grow YouTube channel

       Dosto ager ap apne YouTube channel pe kafi lambe time se kam kar rahe hai or apka youtube channel grow nhi ho raha hai apko channel pe achhe views nhi mil rahe hai to ap kaise YouTube channel ko grow kare eske baare ke me apko puri jaankari dene wala hun. Kuchh khas easi tips apko dunga jo apke bahoot kaam aayengi. Agar ap apne YouTube channel ko jaldi se grow karna chahte to sabhi tips ko achhe se follow jarur kare.

 How to grow YouTube channel? 

1. Focus only one type of topic. 

    Dosto ager ap jaldi se apne youtube channel ko grow karna chahte ho to apko ek hi topic pe videos bnani chahiye. Bahoot baar hum apne YouTube channel pe galti karte hai views ke chaker me apne topic se hat ke videos bnate hai jisse channel pe anne wali audience apke regular videos ko nhi dekhti. To focus on one type of topic or regular ussi topic pe video bnate rahiye.

2. Upload regular videos.

    Videos apko ek format me upload karte rehna chahiye. Ager ap roj ek video upload karte hai to her roj video upload kare. Ager ap week me 3 video upload karna chahte ho to ek din chhod ke video upload kare. Ek format ko hi apko follow karna chahiye. Esse logo ko pta rehta hai ap kab video upload karoge or log us time ka wait karte hai or apki video ko dekhte hai. 

3. Focus on watch time or more viewers.

    Dosto ager ap apne channel pe subscriber badne ko channel grow karna samjhte ho to yeh apka sochna bahoot galt hai. Kyunki aaj ke time me watch time hi sab kuchh hai. Apke channel pe aane wale ek view se apko kitna watch time mil raha hai usse decided hoga apka video kitne log tak pahunchega. Jo apki video ko jaada dekhega usko apki video ka notification bhi jayega. Usko apki video home page me recommend bhi ki jayegi. To focus kariye watch time bhadane me or log kya dekhna chahte hai apke channel pe uspe. Usse apka YouTube channel bahot fast grow ho jayega.

4. Focus on organic traffic.

    Dosto organic traffic YouTube channel ke liye bahoot jaruri hai or jitna jada ho apke new YouTube channel pe utna hi jaldi apka channel grow hoga. Apko notification se views aane chahiye, apko browser feature se or YouTube search se jabse jaada traffic aana chahiye. To apka YouTube channel bahoot hi jaldi grow hoga.

5. Share, suggest, and focus on thumbnail. 

    Dosto video YouTube pe upload karne ke baad apko bahoot saare kam karne padte hai jaise ki video ko share karna apne Social media pe, community tab, YouTube stores pe. Apko video ko apne dusre videos me bhi suggest karte rehna chahiye jaha pe bhi apko suggest karne ki option milti hai. Or thumbnails ko apko dekhte rehna hai kaisa perform kar raha hai logo ko pasand aa raha hai yaah nhi. Achha nhi hai to dubaara usko ap change kariye. Lekin yeh saare kam apko video upload karne ke baad karne chahiye.

Doato ager ap en sabhi Tips ko follow karte hain to apko apne YouTube channel ko grow karne me bahoot help mil jayegi. Or bhi bahoot se factor  hote hai YouTube channel ko grow karne me. Apka luck bhi bahoot bada factor hai kab apki ek video viral hogi.



0 comments: