May 18, 2019

5 best seo tips for youtube | Youtube channel ko search me sabse upper kaise laye | best tips to rank youtube channelon top in search | seo tips for youtube channel

Dosto aapka bhi ek YouTube channel hoga or aap jarur chahte honge ki aap ka YouTube channel YouTube search engine me sabse upar aaye lekin aap ke dimag me yeh sawal jarur aata hoga ki YouTube channel ko search me sabse upar kaise laye. Yahan Par aapko me batane wala hun 5 best seo tips for YouTube channel jisse aapka YouTube channel YouTube search me sabse upar aayega.
How to rank youtube channel on search

YouTube channel ko search me sabse upper kaise laye?

Dosto yaah me apko 5 best seo tips dene wala hun jisse apka channel youtube search me top rank me aaskta hai. Sabhi tips ko achhe se follow kar len.


1. Channel Name
       Jab hun Channel ka naam rakhte hai to bahut sare log bina soche samjhe channel ka naam rakh dete hai. Jiski wajah se channel ki ranking me farak padta hai YouTube channel ko search me lane me problem hoti hai. Yahan Par jab ap apne YouTube Channel ka naam rakhe to aisa naam rakhe jo bilkul unique ho bilkul alg ho jaise hi koi naam dekhe usko yaad reh jana chahiye. Jin channel ke naam unique or bilkul alg hote hote hai wo SEO friendly hote hai or YouTube search me jaldi se aa jaata hai.

2. Channel keywords
        Dosto jaise video ko searching me lane ke liye hum tags lgate hai waise hi channel ko searching me lane ke liye seo friendly bnane ke liye channel ke ander bhi SEO friendly tags lgane chahiye. SEO friendly channel keywords likhne chahiye.

3. Channel description
       Video ka description hum likhte hai taki logo ko samjh aa sake ki hum video me kya btana chahte hai vaise hi channel me hum kis trah ki videos dalenge kab videos dalenge or channel kis baare me hai yeh sab likhna padta hai jissi channel seo friendly bn jaye. Description bahoot ache se design karna chahiye kyunki description se hi YouTube channel search me top rank karta hai.

Recommended topics
Youtube Channel ka description kaise likhe?
Youtube brand account ky hota hai? 
5 best tips for rank YouTube videos on YouTube search.

4. Channel username
        Dosto ap sabhi FacebookTwitter to use karte hi honge or usme apko ek username lena padta hai jisse log apko pehchan sake apki profile usse hi chalti hai vaise hi YouTube channel ka bhi ek username hota hai jo apko 100 subscriber ke uper milta hai. Usko bhi ap channel name jaisa hi rakhe esse bhi apko YouTube channel ko search me lane me help milegi.

5. Channel hashtags
        YouTube me ab ap hashtag use kar sakte hai agar aap apne Channel description ke andar hashtags use karenge apne channel ka naam ( #gyan ) hashtag me likh ke to apka channel searching me anne ke chance bad jayenge.

To dosto yeh thi YouTube channel ko youtube search me top pe lane ki 5 best seo tips. Agr ap or bhi tips jaana chahte hai yaah fir YouTube se related videos dekhna chahte hai to mere YouTube channel ko Subscribe kar le. Or ager ap kuchh or jaana chahte hai ki YouTube channel ko search me top pe kaise laye  to niche ki video ko jarur dekhe.


1 comment: