May 5, 2019

5 best tips to rank youtube video in YouTube search | Youtube video ke description me kya likhe | seo friendly keywords description me kaise likhe

Dosto ager aapka  ek YouTube channel  hai  jiske upar kaam karte huye apko kafi time ho gya hai or apki videos YouTube search me nhi aa rahi to apko jarurt hai apni videos ke description ko design karne ki.
SEO 

    Ager ap apni videos ko  YouTube search engine ke andar top pe lana chahte hai to apko video description design karna padega apko description me SEO karna padega keywords likhne padenge. Aaj ki is post me main batane wala hun video description ko design kaise kar sakte hai. Kaise video ke description me best tags lgaye. Agar aap ek youtuber hai aur chahte hai ki aap apne YouTube channel ko growth dilaye to is post ko pura pade isme ap ko pata lag jayega YouTube search engine me videos top pe kaise laye to post ko pura jarur padhe.


YouTube videos ke description me kya likhe?

       Dosto bahot sare log jo YouTube video bnate hai wo video ke description me kya likhe nhi jaante hai or phir kuch bhi likh dete hai yaah phir kuchh nhi likhte hai. Jisse video seo frindaly nhi bn pati or video YouTube search me top me nhi aati jisse video pe views nhi aate. Agra video ke description ko design karna chahte hai to aapko aisi chijen video ke description ke andar likhne padegi, Aise keyword video ke description ke andar likhne chahiye jisse aap ki video YouTube search ke andar top ke upar aaye. Aapke channel ke upar jada se jada organic traffic YouTube search se aana chahiye. Iske sath hi aapki video Google search ke andar bhi aani chahiye jisse aapko Google search se bhi kuch traffic mil jayeg. Ager aapko apni video SEO friendly banani hai iske liye aapko keyword lagana bahut jyada jaroori hai aur bahut sare keyword aap apne video description ke andar laga sakte hai. YouTube Video ko rank kaise kare.

1. Title related

    Video ke description ko design karne ke liye jo aapne title rakha hai vahi aapko video description ke 2 - 3 lins me likh lena hai. Jitna jaldi title keywords video ke description me ayega utna hi video ki ranking me aapko help milti hai.

2. YouTube policies

     Video ke description ko design karte time aapko bahut jyada dhyan dena padega kahi ap kisi bhi YouTube policy ko na tod de. YouTube policy ke anusar aap koi bhi clickbait tag use nahi kar sakte ho. Jin tags ka use apne video me kiya hai wahi apko use karne chahiye.

3. Long description

    Bahot sare log galti karte hai description ko bahut chhota likh dete hai to description thoda sa bada likhna padega jitne keyword aap add kar sakte hai video ke description ke andar aap ko add karne chaiye.

4. Dusri video ko suggest karna

      Dosto hum easi videos bnate hai jo related hoti hai humari purani videos se to video description ke andar hume un videos ke title likhne chahiye aur unke link add karne chahiy. Videos ko add karne se pahle upar aapko likh lena chahiye suggested videos uske baad  aapko 4 - 5 videos ke title likh lena chahiye aur unke link add kar dene chahiye jisse video SEO friendly ban jati hai.

5. Video me kya hai

     Dosto jo bhi aap apni video ke andr batate hai woh aapko aapne video description ke andar likh lena chahiye. e.g.  'topics clear in this video' uske baad jo topic cover kiya hai video me usko b add kar de. Add karte time numbering jarur kar de ( , ) estemal na kare.



  SEO friendly description kaise likhe ?

           Kisi bhi video ke description ko likhe to in sabhi chijon ko follow karna chahiye. Jo bhi aap ki video me hai wo sare keywords video description me add jarur kare.  Jo bhi tags  keywords ap likhenge wo ek line me yah fir numbering deke likhe. Jitna bada apka description hoga unte hi jaada chance's honge ki apki video YouTube search me aayegi. Video kisi bhi keywords pe rank kar sakti hai jaruri nhi ki title pe hi video rank kare.

Daoto ager apko yeh post helpful lagi to comment me jarur btaye ager ap video ke through jaana 
chahte hai to ap video bhi dekh sakte hai.


3 comments:

  1. Please promote my channel name :- You tube HD creations status
    Link below ๐Ÿ‘‡
    https://www.youtube.com/channel/UC51kZGtBH4XBkADk32Bgr4Q?sub_confirmation=1

    ReplyDelete
  2. The King Casino
    The nba๋งค๋‹ˆ์•„ king https://deccasino.com/review/merit-casino/ casino in Oklahoma offers a wide variety of games. sol.edu.kg The casino offers several slots, poker, blackjack, and communitykhabar live games to choose from. We https://access777.com/ will also

    ReplyDelete