May 2, 2019

What is niche topic | Niche topic pe kam karne ke kya fayede Hota Hai


Niche meaning

Niche topic Dosto aapne bahut bar suna hoga ki aapko Agar online kaam karna hai to aap ko niche topic par video ya fir article likhna chahiye. Aapke dimag me ye question jarur aaya hoga ki niche topic kya hota hai eske uper kam kaise karna chahiye to aaj ki es post me main aapko yahi batane wala hoon what is niche topic, niche topic kya hota hai, niche topic ke kya fayde hote hain or niche topic ke upar kam kaise kare ye 3 sawalo ke jawab aaj ki post main aap ko dekhne ko milne wale hain to post ko pura padhe.



Niche topic kya hota hai? ( what is niche topic? )

 Doston ager aap online kam karke paise kmana chahte hai to apko apni website or YouTube Channel pe kuchh content upload karna padega or jis topic ke upar aap content upload karenge use Niche Topic kehte hai.
e.g. Ager ap mobile phone ke upar videos and articles create karna chahte hai to apko us platform ke upar sirf aur sirf mobile phone se hi related content upload karenge usko kahenge Niche Topic.
Niche Topic ka matlab kisi Ek particular keyword ke upar kaam karne ko niche topic kehte hai.


Niche topic ke kya fayde hote hai?

        Niche topic ke upper kaam karne ke bahoot se fayede milte hai agar aap Kisi Niche topic Ke Upar video ya fir article likhte hai to aap ko uski wajah se apke YouTube channel and Blog pe us topics se related ads dekhne ko milegi.
Iske sath hi kisi particular keyword ke upar kaam karne se apke channel or website ke upper wahi audience aayegi jo apke hi Niche topics se related content dekhna chahti hai jisse ads pe click hone ke chances jaada rehte hai.
Iske sath hi ager ap kisi niche topic pe kam karte hai to jo brands hote hain wo bhi ease hi platform ko dekhte hai jo unke product ko achhe se pramote kar sake. Or agr ap kisi particular keyword ke upar kaam karte hai to apko bahoot ache brand deals mil sakte hai. Or brands ke liye kaam karke ap bahot acha paisa kma sakte hai.


Nice topic pe kaam kaise karte hain?

     Niche topic pe agar aap kaam karna chahte hain to aapko apne platform ka naam bhi apne content se related rakhna chahiye esse seo me aasani rehti hai.  Iske sath hi description bhi apko ease hi likhna chahiye jisme apke niche topic ka naam pehle aaye or baar bar aye.  Uske baad content apko apne topics se related hi dalna chahiye.


To dosto dekha apne kya hota hai niche topic, kya fayede hai niche topics ke, or niche topic pe kam kaise kare. Ager apko post useful lagi to apna comment niche jarur likhe.

0 comments: