Jan 1, 2020

How use youtube videos without copyright Strick | बिना copyright strick के videos को use करे



Dosto ager ap YouTube se videos download karke apni videos me use karna chahte ho ager apko apni videos ke liye ek acha music chahiye free me  to YouTube ka ek feature easa hai jisse ap apne channel me YouTube videos ko use kar sakte ho or us feature ka naam hai Creative Commons.
Creative commons

Creative commons kya hai?

         Creative Commons YouTube ka ek easa feature hai jo apko allow karta hai YouTube videos ko reuse karne ke liye. YouTube me ap 2 types ke license me video upload kar sakte hai pehla standard license jisme  video ko koi bhi dusra use nhi kar sakta. Dusra license hai Creative Commons esme koi bhi video ko use kar sakta hai. Es feature me ap kisi bhi video ko reuse kar sakte hai jo video creative commons me upload hoti hai.

How to check Creative commons videos on YouTube?


           1. Jo bhi video apko youtube se download karni hai to us video ke description me check kare sabse  niche kya  uspe likha hai Creative Commons license video. Ager likha hai to ap us video ko reuse kar sakte hai.
Creative common license
           2. Search karo YouTube pe or uske baad filter ke option pe click karo or waha apko option me milga Creative Commons uspe click karo. Uske baad jo bhi video apko YouTube search me dikhegi wo Creative Commons me upload hui hai or ap unko reuse kar sakte hai apni videos me.
Creative common filter


Creative commons ki videos ko use kaise kare.

            Ager ap YouTube pe Creative Commons me upload videos ko apni video me use karna chahte hai to bahoot simple hai Creative Commons ki videos ko ap YouTube  se download karo or unko jaise marji apni video me use kar lo apko koi bhi Copyright Strick or claim nhi milega.


Dosto ager apko yeh jankari achhi lagi to share kare or comments me btaye ap or kya janna chahte hai ke uske uper bhi article jaldi hi post karunga.

0 comments: