Jan 24, 2020

How to get views on old videos | पुरानी videos पे views कैसे लाये Best 5 Tips । Best YouTube tips


Dosto ager apko bahoot time ho chuka hai YouTube pe or aapne bahoot saari videos dal rakhi hai lekin apki purani videos pe views bahoot kam aate hai yaah fir nhi aate videos dead padi hai to aaj me apko btane waala hun ap apni purani videos pe views kaise laye. Yaah me apko 5 best tips btane wala hum jisse ap apne channel pe purani videos pe views laa sakte hai.
5 best tips for getting views on old videos

How to get views on old videos?

             Dosto purani videos pe views kaise laye eske liye apko bahoot saari chijo ka dhyan rakhna padega kuchh tips apko follow karni padegi to yaha me apko btane wala hun 5 best tips for getting views on old videos. Jo bhi tips me apko bta raha hun unko achhe se follow karo  or ap apne purani videos pe achhe views la sakye hai.


1. YouTube Search.

     YouTube search se ap apne channel pe acha traffic la sakte hai or apni purani videos pe ap achhe views la sakte hai. Ager apke channel pe search se traffic nhi aata to apko jarurt hai apne videos ke title ko change karne ki apko jarurt hai videos ke description or tags ke ander achhe keywords ko use karne ki. Aap google keyword planner yah fir youtube search me aane wale keywords ko apne videos ke title me use karo description me use karo or tags me bhi bilkul same keywords ko use karo. Esse apke channel ki ranking badegi videos ki ranking badegi aapke channel ki videos YouTube search me jaagi or apko youtube search se bhi achha traffic milega or ap esse apni purani videos pe ache views la sakte hai.


2. End screen.

    YouTube ka feature hai End Screen esko jarur ap use kare or jo apki popular videos hai jinke upper apko regular achhe views milte hai un videos ke end screen me aapko un videos ko use karna hai jinke uper apko views nhi aate or purani videos hai or us video se related hai. End screen se apki purani videos ke upper achha traffic milega.

3. I cards.

    YouTube ka i cards feature bhi bahoot acha feature hai purani videos pe views lane ke liye. Jo bhi video ap bna rahe hai usse related videos ko apni videos me promote kar dijiye video me related videos ke baare me baat kare or logo ko btaye ki video i card me hai jaaker check kare. Usse bhi apko bahoot achha traffic milega.

4.  Create playlist.

      Dosto ager ap apni purani videos pe regularly achhe views lana chahte hai to apko playlist create karni chahiye. Playlist bahoot kaam aati hai or playlist create karne ke baad playlist ko share bhi karte  rahe. Apni video me logo ko btaye, description me apni playlist ke links share kare. Esse log apki playlist me jaker playlist ki sabhi videos ko dekhenge most probably ek se jaada hi videos dekhenge to apko acha traffic milega.

5. Share your videos.

     Dosto ager apke pass YouTube story tab hai or community tab sabhi ke pass hai to apko waha pe apni videos ko share karna chahiye regular share karte rehna chaiye lekin ek achhe keywords ke saath me. Esa keyword jo catchy ho or logo ki nager me aaye jisse log automatically apke us video ko dekhe. Eske saath apni videos ko ap social media pe bhi share karte rahe social media se bhi apko acha traffic milega.

Dosto yeh thi kuch 5 best tips for getting views on old videos. Jo bhi tips apko maine btai hai unko ap use karo apko response jarur milega eske sath kuchh or chijo pe apko dhyan dena chahiye jaise ki keywords apko ache use karne hai title me, description me or tags section me. Thumbnail bhi apko acha or attractive bnana hai wo ek bahoot important part hai. Purani videos pe views kaise laye maine eske uper ek video bhi bnaya hai ap usko bhi dekh sakte hai.


0 comments: