Dosto YouTube aaj ek bahoot acha career option ban chuka hai or agar aap bhi apna carreer YouTube main banana chahte ho or aap janna chahte ho YouTuber kaise bane to is post me aapko har tarah ki help milegi. 2024 me ek successful youtuber banne ka rasta yahan es post ke andar main aapko batane wala hun es post ko aap pura jarur padhiye or agar aapko achcha lage to share karen taki dusre logo ko bhi eska benifit mil sake.
YouTuber kyon banna chahte ho hai?
Youtuber Kaise bane - 2024 में एक सफल Youtuber बनने का रास्ता?
Doston YouTuber banane ke liye aapko YouTube per regular kam karna hoga. YouTuber ek YouTube creator hota hai jo YouTube ke upar videos post karke earning karta hai agar aap ek youtuber banna chahte Hain to aapko YouTube ke upar apna channel create karke regular uske upar videos upload karni hongi. Jab aapka channel ek acchi position ke upar pahunch jaega tab aap ek youtuber banoge. YouTuber ke liye kuchh kam aapko karne honge jo yehan niche bataye gaye hai.
1. Apne channel ka topic choose kare.
Doston sabse pahle aapko clear hona chahiye aap kis topic se related apna channel create karna chahte ho. Aapko kisi bhi aise topic ke upar channel create nahi karna hai jiske upar aapka interest nahi hai. Jis topic ke upar aapka interest hai usko aapko choose karna hai. To sabse pahle apne mind me aapko sochana hai aap kis topic ke upar sabse jyada bol sakte ho yaa fir kis topic ke upar aap regular videos post kar sakte ho. Us topic ke upar aapka 100% interest hona chahie tabhi jo hai aap regular videos create kar sakte ho.
2. Channel create karna.
YouTuber banne ki race me ab aapko sabse pehla kam yah karna hai aapko YouTube channel create karna hoga. Apne YouTube channel ke liye naam aapko unique rakhna hai. YouTube channel create kaise kare eske upar jakar aap padh sakte ho kaise aap channel create kar sakte hain.
3.Videos create karna.
YouTuber banne ki race me aapko videos create karne honge. Quality video ki acchi honi chahie, Voice quality acchi honi chahie, video ka content a acha hona chahiye. Videos apko interesting banana padega jisse log video pura dekh sakte.
4. Regular videos post karna.
Dosto ager ap channel ko grow karna chahte hai to apko apne channel ke uper video regular post karni hogi. Achchi or intersting video aapko audience ke kaam ki post karni hogi. Jis tarah ki videos log dekhna chahte hain use tarah ki videos aapko regular upload karte rahana hai.
5. SEO ka use.
Doston agar aap apne YouTube channel ko bahut jaldi grow karna chahte hain to aapko apne channel ke upr SEO karna hoga. SEO ka matlab hota hai aapko apne channel ko search engine ke hisab se optimise karna padega. Matlab jo bhi aap videos dal rahe ho uske title or discription ke andar SEO friendly keywords ka use karna hoga. SEO friendly keywords kaise likhe yeha aap jaan karte ho.
6. Channel monetize karna.
Doston ek youtuber ka Sapna hota hai apne YouTube channel se earning karna. Apne channel ko monetize karke aap YouTube se paise kama sakte ho. YouTuber banna chahte hain to jaise aapke channel ke upar 1000 subscriber or 4000 ghante complete ho jaenge to aap apne channel ko monetize karke apne channel se earning shuru kar sakte hain.
7. Channel grow karna.
Doston channel jab aapka grow hoga tabhi aap YouTube se earning kar sakte ho. To aapko focus karna hoga apne YouTube channel ko grow karne ke uper. Apko apni videos ko regular post karte rehna hai audience jis tarha ki videos dekhna chahti hai us type ki video post kare. Thumbnail aapka acha hona chahiye. Or apni videos ke title description me achhe keywords ka use karna hoga. Tb aapka channel grow hoga.
8. Channel promote karna.
Doston aapko apne YouTube channel ko or logon tak pahunchane ki jarurat hai to aap Facebook ka Sahara le sakte hain aap bahut sare WhatsApp groups ka Sahara le sakte hain telegram channel ka shahar le sakte hai. aap Instagram ke upar Apne YouTube channel ka ek profile create kar sakte hain page create kar sakte hain Facebook ke upar jiske upar aap vahi videos vahan per upload kar sakte ho ya fir unke link vahan per share karke aap apne channel ko social media ke through promote kar sakte hain. Aap Google ads ka bhi use kar sakte hain Apne channel ko promote karne ke liye.
Dosto yeh kuchh ease kaam hai jo aapko karne hoge. Jisse aap ek youtuber ban sakte ho. Mujhe ummid hai aapko achhe se samjh aa gya hoga youtuber Kaise bane 2024 me. En baato ka dhayan rakhe or achhe se follow kare aap ek achhe youtuber jarur banoge.
0 comments: