Oct 23, 2019

Google ads se jada se jada paise kaise kmaye es festival season | Best SEO tips for festival season

   
how to earn more
          Festival season me google ads se dher sara paisa kamane ka moka hai or aaj me apko yehi btane wala hun google ads se jada se jada paise kaise kmaye. Yaha me apko apne experience se btane wala hun kuchh best seo tips for festival season jinko ager ap use karte hai to apko achhi ads to milegi lekin eske sath apko google search me ranking lene me bhi apko bahoot help milegi.To ap es post ko pura jarur pade apkeliye bahoot kam ki ho sakti hai.


                  Festival season me sabhi badi badi companies apne apne products ko bechne me lagi rehti hai jiske liye companies bade bade ad campaigns chalti hai or festival season me ads  rates bhi bad jaate hai. Or sabhi creators ko benefits milte hai acha CTR, CPC OR CPM mil jaata hai jisse earning bahoot achhi ho jati hai. Ab yaha pe ap festival season me jada se jada paise kaise kmaye?

Google ads se jada se jada paise kaise kamaye?

            Festival season me jada se jada paise kmane ke liye apko smart tarike se apne blog website me article post karne padenge. Ager ap ek YouTuber hai to ap bhi en tariko se paise kama sakte hai. Kon kon se tarike apko apnane padenge wo me apko yaha btane wala hun to ap es post ko pura dekhe.



Best SEO tips for this festival season.

1. keyword Research
     Jab bhi ap koi post likh rahe ho to apko dhayan dena hai ki ap us keyword ke baare me ache se research kar le. Jis keyword pe ap articl likh rahe hai uspe apko kitna CTR mil raha hai, kitni us keyword ki demand hai or us keyword pe kitna CPC apko mil raha hai sabhi chije dekhne ke baad hi ap kisi keyword ke upper article likhe or video bnaye.
2. Use keywords on Title  
   Jis bhi keyword pe ap article likh rahe hai us keyword ko title me jarur likhe.  Eske sath hi ager youtube video bna rahe hai to description or tags ke ander bhi jarur likhe.
3. Use keyword on Post
    Jis bhi keyword pe ap article likh rahe hai us keyword ko ap Post ke ander sabse uper likhe eske saath hi ap use keyword ko high light kar de. bar bar us keyword ko post me use kare.

4. Best keywords for festival season
   Kuch ease keywords hote hai jinko ap  festival season me use kar sakte hai Best offer, Best sale, Hotels Best Discounts, Best Product, ese keywords ko use kar sakte hai joa festival season me use hote hai.
5. Sales se related articals likhna
   Ager ap kisi sale ke baarre me btate hai us sale me sabse acha discount kaha mil raha hai kis product pe mil raha hai, kis product ko lena sahi rahega kis product pe acha offer hai. Ager ap yeh sab batate hai to apko acha traffic milega or ache ads apko apne artical me dekhne ko milega.


          To yeh the kuch meri or se apko tips ager ap apni earning ko kuchh bhadana chahte hai to ap en tips ko follow kar sakte hai apko esse benifites mil jaayege. Ager apka ek youtube channel hai to ap tips ko folow kar sakte hai jisse apko benifites mil jaynge. Ager apko yeh post achha laga to ap like jarur kare comments me btaye apko yeh post kaisi lagi or ap kis topic pe or articals dekhna chahte hai.

Jun 29, 2019

आसानी से समझे How to write blog post | blog post kaise likhe

Blogger post kaise likhe
Ager apne ek blog ki surwat kar di hai to usme apko kuch dalna bhi padega or ap blog me jo bhi information daloge usko bolte hai blog post. Blog post likhne ke sabhi ke apne apne tarike hote hai. Apko khud  samjhna padega ap kaise apne blog  ke kiye blog post likh sakte hai. Kis tarike se ap apne blog me informetions doge. Aaj ki es post me main apko btaunga jo option apko blogger me di jaati hai unko ap kaise apne blog post ke liye use kar sakte hai. Jo option bahoot jaruri hai jinko apko use karna hi chahiye. Blog post kaise likhe yaah fir how to write blog post on blogger eske uper yeh pura articale hoga.


Blog post kaise likhe?

     Blog post likhna bahoot hi ashaan hai apne Microsoft word to jarur se use kiya hoga to bas kuchh easi hi options apko yaaha milti hai jisse blog post likhna or bhi jada easy ho jata hai. To me yaaha apko kuchh jaruri option ke baare me hi batauga jo apke liye shayad new ho to how to write blog post on blogger.
   Koi bhi blog post likhane ke liye new post pe click kare.

1. Title

    Sabse pehle apko apni blog post ke liye ek acha sa title likhna padega.
2. Write blog post

     Title likhane ke baad apko apna blog post likhna hoga. Jo bhi article ap likhna chahte hai jo information ap apne blog post me dena chahte hai wo likh de.
3. Add photos

    Blog post ko pura likhne ke baad apko kam se kam ek photo to apne blog post me add karna padega.
4. Add Labels





    Blog post pura likhne ke bad usme labels jarur add kare esse viewers ko apki website pe dusri blog post dhundne me or bhi jada aasani ho jayegi. Or apke views or bhi jada aayenge.
5. Add permalink

   Permalink ek bahot acha feature hai jisse ap apna ek custom link create kar sakte hai to apna custom link jarur add kare.
6. Post your blog post

    Ab apka blog post pura tyar hai or ap esko post kar sakte hai. Publish pe click kare.

Dosto yeh the basics steps  jisse ap apna pehla blog post likh ke publish kar sakte hai. Esme apko or bhi bahoot saari option milti hai jinko use kareke ap apni blog post ko or bhi achhe se design kar sakte hai or publish kar sakte hai.

Jun 5, 2019

Only 5 steps | How to change blogger blog template | free blogger theme change kaise kare जाने हिंदी में


Dostoa ager ap apne blog website ka blogger template change karna chahte hai to ap free blogger templates use kar sakte hai jo apko blogger hi provide karta hai. Sath me hi ap apna koi bhi custom blogger template html coding ki form me add kar sakte hai. Kaise blogger me blog template change kare uske baare me btane wala hun or sath me btane wala hun How to use custom blogger templates.



How to use blogger free templates.?

     Doston  sabhi steps ko follow karo or ap bade hi aaram se kisi bhi blogger free templates ko use kar sakte hai.

1. Opne and log in blogger.com


2. Click on theme


3. Choose your favorite blogger template.

4. Click on blogger template.


5. Skip & Download theme for backup

Ab ap check kar sakte hai apne blog website ko apki favorite blogger template change ho gya hoga.



 Suggested topics

How to add custom blogger templates?

           Dosti agr ap apne blog website me html web page ad karna chahte hai to ap bade hi aaram se kar sakte hai ap koi bhi third party blogger template use kar sakte hai.

1. Opne and login in blogger.com


2. Click on theme.

3. Click on backup/Restore

4. Choose your custom blogger templates file.


5. Click on upload.





Es tarike se ap  custom blogger template use kar sakte hai. Bahoot hi aasan hai lekin jb ap koi bhi blogger template change kar rahe ho to ap apne blog website ka backup download kar le taki ager apko nya  costom blog template acha na lage to ap dubara se change kar sake.

May 19, 2019

Free me blog website kaise bnaye | step by step in hindi | free website on Google


Free blog website create kaise kare

  Dosto ager ap online income karna chahte hai to ap apna khud ka website / blog bna ke paise kma sakte hai.  Or ager ap jaana chahte hai ki free me blog website kaise bnaye to yeh post apko bahoot help  karegi  free website create karne me. Yaha me apko google me free website kaise bnante hai wo btane wala hun. Google ka ek product hai Blogger jiske upper ap free blog websit create kar sakte hai. Blogger pe free website kaise bnaye jaane ke liye post ko pura pade.



Blogger kya hai?

      Blogger google ka ek product hai jo apko free blog website create karne me help karta hai. Yaaha apko bahoot jaada coding karne ki jarurt nhi hoti hai. Blogger me apko free template milte hai. Yaha apko sab kuchh bahoot aasani se samjh aa jayega. Or ap kuchh hi dino me blogger se income karna bhi start kar denge ager ap achhe se blogger pe kaam karte hai. Blogger me apko sub domain milta hai yaaha apko ek paisa bhi invest karne ki jarurt nhi hoti hai. Blogger pe ap free me blog website create karke paise kma sakte hai.


Blogger pe free blog website kaise bnaye?

        Niche diye gaye sabhi steps ko follow karke ap blogger pe free me website create kar sakte hai. Sabhi steps ko achhe se follow kare.

1. Opne blogger.com



2. Sign in with G-mail account.
3. Set your Blogger name.


4. Click on new blog. For create your blog website.



5. Add blog website name and url e.g. gyan099.blogspot.com and select any template for your blog website. Then click on create blog.


6. Your blog website tyar ho gai hai post likhne ke liye.



En sabhi steps ko follow karke ap google me free blog website bna sakte hai or ap blogging se paise kma sakte hai. Aane wale time me apko or bhi easi jaankari apko es blog pe milti rahegi to subscribe kar le.



Blogger pe free blog website bnane ke fayede?


1. Blogger pe apko domain lena jaruri nhi apko sub domain mil jayega. e.g. gyan099.blogspot.com
2. Blogger me apko free web hosting milti hai.
3. Blogger me apko free website templates mil jate hai
4. Blogger me ager ap website create karte hai to google me jaldi se rank ho jata hai.
5. Blogger me kaam karna bahoot aasan hai.

Agr ap blogger ke baare me or jaana chahte hai to comment me jarur btaye me ap sabhi ko uske baare me kisi dusri post me jarur btaye ease hi or b intresting or helpful jaankari ke liye baki ki post ko b jarur pade.