Ager ap ek new youtube channel bnane ke baare me soch rahe hai or apke pass ek achha camera nhi hai to ap apne phone ke camera ko use karke achhi video ko record kar sakte hai or youtube pe upload kar sakte hai. Lekin ager ap sochte ho kaise phone se best quality videos record kare to me aj apko es blog post me yeh hi btane wala hun to ap es post ko pura pade or follow kare. Or apke paas koi bhi phone ho usse ap achhi video record kar sakte ho.
How to record best quality video in mobile phone?
1. Stability.
Dosto kisi bhi achhi video me stability ka hona bahoot jaruri hai. Jitna stable apka video hoga utni hi achhi video quality apko milegi. Video ko stable bnane ke liye ap tripod ko use kar sakte ho. Ap kuchh investment ager kar sakte ho to mobile gimbal ka bhi use kar sakte ho. usse apko bahoot achhi stability milegi or apki video quality bahoot improve hogi. To video bnate time stability pe focus jarur kare.
2. Sound.
Kisi bhi video ki jaan video ka sound hota hai. Ager video me kharab sound hoga to log us video ko dekhna pasand nhi karte. To sound ke upper ap jarur focus kare. Achhe sound ke liye ap ek achhe mic ka use kare.
3. Light.
Video me perfect light ka hona bhi bahot jaruri hai. Video me apko bahoot jaada light nhi dikhani chahiye or bahoot kam bhi nhi rakhni chahiye kyunki usse pixel fatne lg jate hai. To ager ap Indore shoot karte hai to light ke upper jarur kuchh investment kare. Outdoor ke liye bhi ap lights or reflectors ka use kar sakte hai.
4. Don't use some camera features.
Humare phone ke camera me dosto bahoot saare feature hote hai jinko hume video bnate time pe use nhi karna chahiye. Jaise auto focus, beauty fixation mode, filters or bhi ese camera features jo kuchh alg dhang se video apki record karke dikhaye. Apko video jada se jada simple record karna hai or uske baad ap editing me video ko jaise marji edit kar sakte hai.
5. Use some camera features.
Phone me apko bahoot saare ese bhi feature milte hai jinko ap video ki achhi quality ke liye use kar sakte ho. Jaise ki stability mode, 60fps, 120fps pe video record, slow motion mode, fast motion mode, timelapse, hyperloop jaise bahoot se features ho sakta hai apke phone me ho or unko ap video record karne ke liye use kar sakte ho.
Dosto ager ap en baton ka dhyan rakhoge to apko best video quality phone se mil jayegi. Jaise jaise apka channel grow hoga ap ek achhe camera pe shift kar sakte ho. Likin jb tak apke pass camera nhi hai ap apne phone ke camera se bahoot achhi videos ko record kar sakte hai. Aj ke time me mobile camera bahoot achhe bn gaye hai jisse ap best quality videos record kar sakte hai.
Dosto jaada jankari ke liye ap es video ko bhi dekh sakte ho es video me maine saari jankari di hai phone se kaise best quality videos record kare.