Oct 23, 2019

Google ads se jada se jada paise kaise kmaye es festival season | Best SEO tips for festival season

   
how to earn more
          Festival season me google ads se dher sara paisa kamane ka moka hai or aaj me apko yehi btane wala hun google ads se jada se jada paise kaise kmaye. Yaha me apko apne experience se btane wala hun kuchh best seo tips for festival season jinko ager ap use karte hai to apko achhi ads to milegi lekin eske sath apko google search me ranking lene me bhi apko bahoot help milegi.To ap es post ko pura jarur pade apkeliye bahoot kam ki ho sakti hai.


                  Festival season me sabhi badi badi companies apne apne products ko bechne me lagi rehti hai jiske liye companies bade bade ad campaigns chalti hai or festival season me ads  rates bhi bad jaate hai. Or sabhi creators ko benefits milte hai acha CTR, CPC OR CPM mil jaata hai jisse earning bahoot achhi ho jati hai. Ab yaha pe ap festival season me jada se jada paise kaise kmaye?

Google ads se jada se jada paise kaise kamaye?

            Festival season me jada se jada paise kmane ke liye apko smart tarike se apne blog website me article post karne padenge. Ager ap ek YouTuber hai to ap bhi en tariko se paise kama sakte hai. Kon kon se tarike apko apnane padenge wo me apko yaha btane wala hun to ap es post ko pura dekhe.



Best SEO tips for this festival season.

1. keyword Research
     Jab bhi ap koi post likh rahe ho to apko dhayan dena hai ki ap us keyword ke baare me ache se research kar le. Jis keyword pe ap articl likh rahe hai uspe apko kitna CTR mil raha hai, kitni us keyword ki demand hai or us keyword pe kitna CPC apko mil raha hai sabhi chije dekhne ke baad hi ap kisi keyword ke upper article likhe or video bnaye.
2. Use keywords on Title  
   Jis bhi keyword pe ap article likh rahe hai us keyword ko title me jarur likhe.  Eske sath hi ager youtube video bna rahe hai to description or tags ke ander bhi jarur likhe.
3. Use keyword on Post
    Jis bhi keyword pe ap article likh rahe hai us keyword ko ap Post ke ander sabse uper likhe eske saath hi ap use keyword ko high light kar de. bar bar us keyword ko post me use kare.

4. Best keywords for festival season
   Kuch ease keywords hote hai jinko ap  festival season me use kar sakte hai Best offer, Best sale, Hotels Best Discounts, Best Product, ese keywords ko use kar sakte hai joa festival season me use hote hai.
5. Sales se related articals likhna
   Ager ap kisi sale ke baarre me btate hai us sale me sabse acha discount kaha mil raha hai kis product pe mil raha hai, kis product ko lena sahi rahega kis product pe acha offer hai. Ager ap yeh sab batate hai to apko acha traffic milega or ache ads apko apne artical me dekhne ko milega.


          To yeh the kuch meri or se apko tips ager ap apni earning ko kuchh bhadana chahte hai to ap en tips ko follow kar sakte hai apko esse benifites mil jaayege. Ager apka ek youtube channel hai to ap tips ko folow kar sakte hai jisse apko benifites mil jaynge. Ager apko yeh post achha laga to ap like jarur kare comments me btaye apko yeh post kaisi lagi or ap kis topic pe or articals dekhna chahte hai.

Mar 3, 2019

Maha shivratri 2019 mandi Himachal Pradesh | Mandi shivratri details 2019

Maha shivratri ri tusa sabhi jo dher sari shubhkamnaye
Invitation for mandi maha shivratri 2019

Mandi Maha shivratri 2019


Mandi mein manai jane wali Mahashivratri international festival ke roop mein manai jati hai. Yahan Par bahut purane time se Maha Shivratri ko Manaya ja raha hai. Mandi Maha Shivratri Mahotsav main bahut Sare Devi devtaon ko Bulaya jata hai bahut sare Devi Devta aate hai aur isme jo sabse mn mohak akakarsha hota hai woh hamari in Devi devtaon se hi hota hai.

Mandi Mahashivratri 2019 full details


Mandi me manaye jane wali Maha Shivaratri festival 7 din tak chalta hai en 7 Dino Mein bahut saare karyakarm hote hai jisme opening ceremony se leke ending ceremony Hoti Hai Jiske baare mein iss post me  aapko Jane ko milega. Shivratri Mahotsav ki starting kb Hone Wali Hai, or ending kab Hone Wali Hai, Shivratri  mein kaun kaun se karyakram kiye Jane Wale hai, night show ke andar kaun kaun se celebrities Aane Wale hai, kitne night show hone wale hai sari details is post me aapko mein btane wala hoon.


Mandi Maha shivratri opening 2019


Mandi Maha Shivratri opening 2019
 Maha Shivaratri Mahotsav opening ceremony 5 March 2019 Ko hone Wali Hai. CM Jai Ram Thakur  dwara opening Ki jaane wali hai.  Shivratri Mahotsav ki opening karne ke liye Raj Mahal se ek shobhayatra niklegi Jiske andar Sabhi neta, Bade Adhikari Sabhi saamil hote hain, aur Sabhi Devi Devta es Shobhayatra me Shamil hote hai.  Rajmahal se nikalne ke baad Sabhi Jaate Hain padal ground Mandi main Jahan Par mela lga hota hai wha per es Maha shivratri ki opening ceremony puri ki jaati hai. wahan pe ap Devi Devtao ke darshan kar sakte hai. Kuchh Devi Devta mandi ke kuchh bade mandero me rehte hai unke darshan ke liye apko mander me jaana hoga.

Next page >>>>>>>

Mandi maha shivratri 2019 | mandi shivratri night show details | mandi maha shivratri ending jaleb

Maha shivratri ri tusajo haardik shubhkamnaye
Mandi maha shivratri 2019

Mandi Maha Shivaratri 2019 ( entertainment )

Mandi shahar Mein manai jane wali Maha shivratri international festival ke roop Mein manai Jati Hai is festival ki shuruvat Maha shiverats  ke rat se ho jati hai, ye festival 7 din tak chalta hai in 7 Dino Ke Andar bahut sari night show organize  Hote Hain jin me  Bollywood ke kalakar Aate Hai , Himachali kalakar Aate Hai, kuch local kalakar hote hain, school ki performance hoti, Aur Bhi bahut Sare talented log aate hai apni performance Dikhane ke liye. Shivratri Mahotsav day or night Har time chalta rehta hai. Jiske andar bahut Sare karyakram Kiye Jate Hain. Shivratri Mahotsav mein 6 night show Hua karti thi lekin is baar Pulwama terrorist attack ke liye 2 Nights cancel kar di gayi hai aur us 2 night ka jo budget tha usko donate kar diya Gaya  hai.

Mandi Mahashivratri 2019 night show details

Mandi maha shivratri night show details

Mandi me manaye jane wali Maha shivratri ke andar is bar 4 night show organised Kiye Ja Rahe Hai.  Maha Shivratri Mahotsav first night show 5 Feb. 2019 ko organised Kiya jayega jis ke andar Bollywood singer Jubin Nautiyal aur Inderjeet Himachali singer Ko Bulaya gaya hai. Dusri night show ke ander Kuch Khaas karyakaram kiye Jayenge JisKe andar Kavi Sammelan Aur Bhi Kuch Khaas karyakram kiye Jayenge 8 Feb. 2019 Ko night show organised Kiya ja raha hai. 9 Feb. 2019 ko Sunanda Sharma Punjabi singer aur Hemant Himachali singer Ko Bulaya gaya ha. last night show ke andar Pavani Pandey Bollywood singer or Narender Thakur Himachali singer Ko Bulaya Gaya Hai. Night show ke saath Saath yaha pe Aur Bhi bahut Sare karyakram Kiye Ja Rahe Jiske andar Kanya Pujan ka ek  karyakram Kiya Ja Raha Hai. Es karyakram me 1008 Kanya ka Pujan Kiya Jayega Ye Karyakram serimunch Pe Kiya Jayega 9 Feb. 2019 ko.

Mandi Maha Shivratri ending

Maha shivratri ending


Mandi Maha shivratri endings Rajpal Acharya Dev Vrat Ji Ke Haathon se honi ha. Mandi Maha Shivratri Mahotsav ending 11 March 2019 ko 3pm  padal ground mein honi hai. Shivratri Mahotsav ki ending ke upar bhi shobhayatra Nikalte hai Jisko mandyali mein kaha jata hai jaleb  es me bhi Sabhi Devi Devta hisa lete Hai, Sabhi Bade Adhikari hissa Lete Hain, Sabhi Neta Yahan Par aate Hain. Maha Shivratri Mela ki ending karne ke liye Raj Mahal se 2pm pe shobhayatra niklegi aur 3pm tak padal ground Mandi Mein pahunch Jayegi aur uske baad Rajyapal Acharya devvrat Ji Ke Haathon se mele ki ending ho jayegi.

Ayen Mandi Maha Shivratri Mahotsav  me Jo chalega 5  February se 11 February 2019 ke beech mein bahut saare Manmohak nazaare aapko yaahn pe dekhne ko Milenge. Es post ko pura padne ke liye aap bahut bahut dhanyavad.

<<<<<Previous page