Nov 26, 2019

Low price Best 5 Products for new YouTuber | gears on cheap price

         
Best gears for youtube at low price
      Dosto ager ap new YouTube creator hai apke pass ek achha budget nhi hai YouTube gears kharidne keliye, ap ager Mobile se video shoot kar rahe hai to aaj me apko kuchh ease best gears ke baare me batane wala hun jin YouTube gears ko ap low price  me kharid sakte ho or apne  video quality ko improve kar sakte ho. Sabhi best YouTube gears hai or apko kam se kam price me dekhne ko milenge jin me se kuchh ko me khood use karta  hun.


Note:- Products price kabhi bhi offers pe change ho sakti hai buy karne se pehle research kare.

Best YouTube gears for new YouTuber.

1. Tripod stand.

Tripod stand bahoot kaam ane wala product hai jisse video me stability aayegi, ager ap akele video shoot kar rahe hai to ek achhi si jaga ap tripod ko rakh ke video shoot kar sakte hai. Jo log ek jaga pe video shoot karte hai yaah stability chahte hai apni video me to tripod stand jarur le.

2. Gorilla pod.

  Ager ap vlogger hai chalte firte video shoot karna chahte hai to gorilla pod apke bahoot kaam aane wala product hai. Apko ager kahi pe tripod stand lagane ki jaga nhi milti waha gorilla pod apke kaam aayega. Gorilla pod is very helpful and best gear for vloggers.

3. Selfie stick.

Ager ap travel videos bnate hai, yaah fir ap chalte chalte alg alg angle se Photos & video record karna chahte hain to selfie stick aapke bahut kam aane wala product hai. Selfie stick se ap different types ke shoot le sakte hai.

4. Mic.
    Ager ap chahte hai  videos me achhi voice quality aaye to apko ek achha sa mic  bhi lena chahiye. Mic apki video quality ko bahoot jada improve kar dega.

5. Lights.

    Video quality ko improve karne ke liye light ka hona bahoot jaruri hai. Ager achhi light nhi hogi to jaisa marji camera ho jaisa marji mic ho video quality bahoot kharab aayegi. To light ka hona bahot jaruri hota hai.

Dosto yeh the kuchh best gears for new youtubers. Ager apke pass budget hai or ager ap paise kharch karna chahte hai apne video quality ko improve karne ke liye apne setup ko improve karn ke liye to ap en best gears ko le sakte hai. En gears me main khud selfie stick, tripod stand, or gorilla pod use karta hun. Ap bhi apne budget ke hisab se paisa invest kar sakte hai.
Eske saath ap meri es YouTube video ko bhi dekh sakte hai esme bhi maine en sabhi YouTube gears  ke baare me btaya hai esko dekh ke apko shayad kuchh help mile decide karne me.