Apr 15, 2020

Video ke description me kya likhe | ऐसे लिखो video description 100% grow hoga | video search me laye


Dosto ager ap chahte ho apke channel ki video YouTube search me rank ho to uske liye apko tags use karne  padenge apne title, description or tags wale section me to aaj me apko btaunga video ka description kaise likhe.?
Video ke description me kya likhe?

Ager apko apni videos ka description likhna nhi aata hai ager ap video ke description me kuchh bhi nhi likhte ho to apki video YouTube search me rank hone ke chance bahoot kam ho jate hai. To apko apni video ke description me kuch na kuch likhna padta hai. Or easa bhi nhi ki kuchh bhi ap likh do video ke description me to apki video YouTube search me rank ho jaye apko tags or keywords ad karne padte hai to aaj me apko btaunga video ke description me tags kaise lagyenge.?

How to add video description?

  Video ka description kaise likhe to bahoot se youtuber ko yeh pta nhi hota or wo galti karte hai ki video description me kuchh nhi likhte hai ager likhte bhi hai to usme tags or keyword nhi hote jisse video youtube search me nhi jati. To me yaha pe kuchh tips and tricks btaunga kuch ease baate apko btaunga jisse apko pta lg jayega video ke description me tags kaise likhe or video description kaise likhe sabhi tips ko jarur use kare. Or ager ap video dekh ke sikhna chahte ho to es video pe ap dekh sakte ho sabhi chije esme bhi btai gai hai.


1. Add video description.

Kuchh log video ke  description me kuchh bhi nhi likhate hai to apko yeh galti kabhi nhi karna hai hamesha video ke description me kuch na kuch likho 2 line hi sahi per jarur likho.

2. Add title in first line in description.

Apki video ka jo bhi title hai wo apki video ke description me pehli line me aa jana chahiye. Jaruri nhi ki some ho lekin title se related ho wo apko video ke description me pehli line me hona chahiye.

Suggested Topic
1. YouTube channel ke description me kya likhe?
2. Video ko youtube search me rank kaise kare?
3. How to verify my channel?
4. Purani videos pe views kaise laye?
5. 1000 subscribers pure kaise kare?

3. Add tags on video description.

Video ke description me tags likhna bahoot jaruri hai. Lekin YouTube ki policy hai ap ( , ) es sing ke sath tags ko nhi likh sakte ho ek bar use kar liye to thik hai lekin ignore kijiye es  sing ke sath description me tags likhna. To video ke description me tags kaise likhe to es keliye ap video ke baare me pura description likhiye video me kya hai kis topic pe baat hui hai or sath me alg alg style se tags ko video description me add kare. Jaise ap mere es video description me dekh sakte hai.
Video ke description me tags kaise likhe?

4. Use # tag on video description.

YouTube video ke description me ap ( # ) tags ko use kar sakte ho. To jis bhi topics pe ap video create kar rahe ho uske upper bahoot se ( # ) tags hote hai unko jarur se apne video ke description me use karo. Esse bhi video youtube search me aati hai. Upper photo me ap dekh sakte ho.

5. Videos suggestions in video description.

Ap kisi topics pe video create kar rahe ho to apne usse related video pehle bhi bnai hogi to ap un videos ko apni es video ke description me suggest kar sakte ho. Un videos ke naam add karo or links share ko yeh bhi help full rehta hai.

Dosto yeh 5 best tips hai jinko use karekr ap video ke description ko likh sakte ho. Video ko youtube search me lane ke liye description likhna bahoot jaruri hai. Eske sath ap apne video ke description me apne Social Media ke links share kare apne channel ki playlist ko bhi share kare videos pe or jada views aayenge. Ager apko yeh post helpful lga to jarur comments me btaye.

2 comments:

  1. आप ने बहुत ही अच्छी जानकारी दी है धन्यबाद - ReadHindiMei

    ReplyDelete
  2. This type of behavioural knowledge is extra accurate than retrospective self-report, though it's restricted in that it doesn't necessarily replicate all of an individual's informal gambling 파라오 카지노 or gambling with different providers. A variety of surveys assessed gambling engagement for each type of gambling obtainable domestically using structured questions. Reports assessing recent gambling have previously been found to have good reliability . A variety of the cross-sectional studies used parallel questions to obtain a description of the person's typical gambling in the time prior (e.g., 6, 12 months) to the pandemic. Three longitudinal studies had self-reports from earlier time intervals using the same evaluation questions and, as such, assessed changes over time.

    ReplyDelete