Dec 24, 2019

How to get first 1000 subscribers and 4000 hours watch time faster | Best 5 tips for geting subscribers and watch time faster


Dosto ager ap ek new youtuber hai or ap jaldi se chennel pe 1000 subscribers or 4000 hours watch time  pure karna chahte hai to aj me apko kuchh esi best tips btane wala hun jisse ap apne channel pe 1000 subscriber or 4000 hours watch time jaldi se pure kar sakte hai or apne channel ko grow kar sakte hai. Ap jis bhi topics pe videos bnate ho jo bhi content ap create karte ho usko ap YouTube pe rank kra sakte hai or ap apne channel ko monetize kara sate ho YouTube se paise kma sakte ho. Puri jankari ke liye ap es post ko pura pade or achhe se apne channel me implement kare tabhi ap apne channel me 1000 subscribers or 4000 ghante ka watch time jaldi se pura kar sakte ho.
How to get 1000 subscribers and 4000 hour's watch time faster


How to get first 1000 subscriber & 4000 hours watch time faster?


1. Upload Informative videos.

          Ap video kisi bhi topic pe bna rahe ho chahe technology se related ho yaah fir vlogs ho, bikes, cars ho to us topic ke baare me ap puri tarha se apni video me btaye. Ap jis topic pe video bna rahe ho to uske baare me apki audience ko achhe se pata lagna chahiye kisi ko koi bhi confustion  nahi rehena chahiye. Jo ap apni video me bta rahe ho  wo ager ap achhe se sabhi tek pahuncha pa rahe ho or sabhi ko achhe se samjh aa raha hai to apke channel ko log subscribe karenge or apki videos ko pura dekhenge. Jisse ap apne channel ko jaldi se monetize bhi kar payenge.


2. Ask people for Like, Comment & Share.

       Ager ap apni videos ko informative bna rahe ho or logo ko apki videos pasand aa rahi hai to logo ko apko batana padega ki ager unko apki video achhi lage to like kare, share kare or comments bhi kare. Jab log apki video pe like larenge, share karenge or comments karenge to apki video pe audience retention badega or jinta jada audience retention apki video pe badega apki video utni hi jada suggestions me jayegi, search me jayegi or apko achhe view milenge or achhe subscriber milenge. To apko apni video ke last me starting me yaah fir bich me like, share or comments karne ko jarur bolna hai.


3. Focse On Organic Traffic.

         Ager apko apne channel ko jaldi se grow karna hai to apko focse karna padega apni audience pe. Apko jo audience mil rahi hai wo audience kaha se mil rahi hai? Ager apko external sources se traffic aa raha hai to apko organic traffic pe focse karna hai. Organic traffic kya hota hai? Orgnice traffic use bolte hai jo apko youtube se mile. Jo audience apko YouTube ke kisi bhi feature ke through mil rahi hai usko organic traffic kehte hai. Or ager apko apna channel jaldi se grow karna hai to focse on organic traffic. Esme bhi apko YouTube search or browse feature ke uper focse karna hai. Ense hi apko acha traffic milega or ap apne channel ko jaldi se grow kar sakte hai

4. Make videos Regular with good title and tags.

         Channel ko jaldi se grow karna hai 4000 ghante ka watch time or 1000 subscriber pure karne hai to apko regular videos dalni chahiye. Tabhi log apke channel pe videos dekhenge or channel ko subscribe karenge. Eske sath apko intresting content bhi bnana padega log ager apke channel ke content se bor honge to wo sirf apne fayede ki videos dekhenge baki videos ko nhi dekhenge jisse apko achhe views nhi milenge to apko videos intresting bhi bnani padegi. Jo bhi video ap bnaye usko acha sa title de or jitne bhi tgas apko usse related lagte hai wo sare description me likhe or tags me likhe esse apki video search or suggestions me jayegi or apko achhe view or subscriber milenge.

5. Ask people for  Subscribe Channel.
       Apne acha se informative video bnai, regular video upload bhi kar rahe ho, log like, share or comments bhi kar rahe hai or apko acha organic traffic bhi mil raha hai lekin subscriber nhi bad rahe hai to ease me apko apni audience ko bolna padega ki wo apke channel ko subscribe kare. Video ke last me, starting me yaah fir bich me kahi bhi ap bolo lekin logo ko btao ki wo apke channel ko subscribe kare. Esse apke channel pe subscribers jaldi se bad jayenge.


Doato ye thi Best 5 tips for geting subscribers and watch time faster. Ager ap enko follow karte hai to ap apne channel ko jaldi se grow kar sakte hai. Ager ap apne channel ko or jaldi grwo karna chahte hai to apko or jada mehanat karni padegi. Apki videos kaisa perform kar rahi hai kin tags pe apko traffic mil raha hai, kis type ki videos me views mil rahe hai, watch time kaha se kitna aa raha hai apko her chij dekhni padegi, samjhni padegi fir ap or bhi jaldi apne channel ko grow kar payenge. 1000 subscribers or 4000 hours watch time complete kaise pure kare yeh maine apko bta diya apna experience maine apko btaya hai  apko bahoot kaam aayengi yeh tips jarur follow kare.

Yeh post apko kaisi lagi mujhe jarur btaye. Kya esse apko kuchh help mili? Comment karke jarur btaye.

Nov 26, 2019

Low price Best 5 Products for new YouTuber | gears on cheap price

         
Best gears for youtube at low price
      Dosto ager ap new YouTube creator hai apke pass ek achha budget nhi hai YouTube gears kharidne keliye, ap ager Mobile se video shoot kar rahe hai to aaj me apko kuchh ease best gears ke baare me batane wala hun jin YouTube gears ko ap low price  me kharid sakte ho or apne  video quality ko improve kar sakte ho. Sabhi best YouTube gears hai or apko kam se kam price me dekhne ko milenge jin me se kuchh ko me khood use karta  hun.


Note:- Products price kabhi bhi offers pe change ho sakti hai buy karne se pehle research kare.

Best YouTube gears for new YouTuber.

1. Tripod stand.

Tripod stand bahoot kaam ane wala product hai jisse video me stability aayegi, ager ap akele video shoot kar rahe hai to ek achhi si jaga ap tripod ko rakh ke video shoot kar sakte hai. Jo log ek jaga pe video shoot karte hai yaah stability chahte hai apni video me to tripod stand jarur le.

2. Gorilla pod.

  Ager ap vlogger hai chalte firte video shoot karna chahte hai to gorilla pod apke bahoot kaam aane wala product hai. Apko ager kahi pe tripod stand lagane ki jaga nhi milti waha gorilla pod apke kaam aayega. Gorilla pod is very helpful and best gear for vloggers.

3. Selfie stick.

Ager ap travel videos bnate hai, yaah fir ap chalte chalte alg alg angle se Photos & video record karna chahte hain to selfie stick aapke bahut kam aane wala product hai. Selfie stick se ap different types ke shoot le sakte hai.

4. Mic.
    Ager ap chahte hai  videos me achhi voice quality aaye to apko ek achha sa mic  bhi lena chahiye. Mic apki video quality ko bahoot jada improve kar dega.

5. Lights.

    Video quality ko improve karne ke liye light ka hona bahoot jaruri hai. Ager achhi light nhi hogi to jaisa marji camera ho jaisa marji mic ho video quality bahoot kharab aayegi. To light ka hona bahot jaruri hota hai.

Dosto yeh the kuchh best gears for new youtubers. Ager apke pass budget hai or ager ap paise kharch karna chahte hai apne video quality ko improve karne ke liye apne setup ko improve karn ke liye to ap en best gears ko le sakte hai. En gears me main khud selfie stick, tripod stand, or gorilla pod use karta hun. Ap bhi apne budget ke hisab se paisa invest kar sakte hai.
Eske saath ap meri es YouTube video ko bhi dekh sakte hai esme bhi maine en sabhi YouTube gears  ke baare me btaya hai esko dekh ke apko shayad kuchh help mile decide karne me.

Nov 13, 2019

हिंदी में जाने COPPA Kya hai | What is coppa act.

Coppa ky hai

      Children's Online Privacy Protection Act (COPPA) yeh full form hai. Ab COPPA ka matlb kya hai? To 13.11.2019 ko hi eske regarding mail aaya hai youtube ki tarf se or yeh sabhi ko aaya hai ager ap ek creator hai apka YouTube pe channel hai. Jiske ander saaf saaf likha hai COPPA ek act hai law hai or yeh act chhote bacho ke liye hai chhote bacho ko online protect karne ke liye bnaya hai. Or ager ap kids se related content create karte hai to COPPA affect karega apke channel ko or monetization. Kaise to aage ap es post me jaanenge saari chije apko btane wala hun kya apko karna chahiye, kaise pta kare channel me kids content hai, kaise coppa impact karega monetization or content ko.


Coppa kaise monetization or content ko impact karega?

      Ager apke channel me kids related content hai to apke channel me bahoot saare changes apko dekhne ko milenge  january 2020 me.  

  COPPA se kya changes aayenge channel me?

              To subse pehle to apki audience reach kam                      
                  ho jayegi apke channel ki saari videos sirf                        
                  kids ko hi dikhai jayegi.    
            Ads apke channel me bahoot kam aayegi.
           Comments disable kar diye jayenge.
             I cards nhi lga payenge.
             Easi or b bahoot saari chijo ki option apse chhin li jayegi kyunki kids koi shoping nhi karenge, kids koi comment nhi karenge, i cards ko use nhi karte, apki community post or store's bhi nhi dekhenge to apke channel me in features ka koi kaam nhi hoga to apko yeh features nhi milenge. Kyunki en features ko use karke kids ko kuchh or content dikhaya ja sakta hai.


YouTube ko kaise pat chalega channel me kids related content hai?

      

Ager ap kids ke liye Content banate hai or kids ke liye content nhi banate hai to yeh youtube apse puchh raha apko YouTube ko btana padega eske liye apko aaj hi YouTube pe notification flash ho rahi hogi uspe click karke ap set kar sakte hai ki kya apke channel me kids related content hota hai yah nhi. Ager apne notification ko dismiss kar diya hai to settings ko opne kare channel>advance me jaaker ap choose kar sakte hai ki kya kya ap kids ke liye content bnate hai yaah nhi. Or yeh setting all over channel videos ke liye hogi. Ap ek ek video ke upper bhi yeh setting kar sakte hai. Waha pe bhi apko yeh option advance setting me milegi. Yaah apko ek or option milegi jo automatically kam karegi or identify karegi ki kya ap kids related content bnate hai yaah nhi or uske bad apke channel me action liya jayega.


Kaise pata kare humara channel kids related hai yah nhi?

         Ager apke mn me confusion hai ki apka channel kids ke liye hai yah nhi to eske liye YouTube ne bahoot kuchh  nhi btya hai, aane wale time me YouTube eske baare me update karega leki jo btaya hai wo me apko bta deta hun.
Ager ap apni videos ke ander kids ke liye product dikhate hai jaise ki khilone to wo kids ke liye hogya,  ager ap chhote bacho ko leke content create karte hai , agr ap apni video ke ander cartoons dikhate hai, kahaniya btate hai, or main baat ager apki maximum audience 13 saal ke ass pas ki hai to samjh lijiye apka channel kids ke liye hai or apko channel for kid pe set kar dena chahiye.

   Apko youtube me eske regarding ek mail bheja hoga ap usko pura pad sakte hai apko bahoit achhe se samjh aa jayega usko bhi ap pad sakte. Ager apka koi swal hai to comment me jarur btaye.

Oct 23, 2019

Google ads se jada se jada paise kaise kmaye es festival season | Best SEO tips for festival season

   
how to earn more
          Festival season me google ads se dher sara paisa kamane ka moka hai or aaj me apko yehi btane wala hun google ads se jada se jada paise kaise kmaye. Yaha me apko apne experience se btane wala hun kuchh best seo tips for festival season jinko ager ap use karte hai to apko achhi ads to milegi lekin eske sath apko google search me ranking lene me bhi apko bahoot help milegi.To ap es post ko pura jarur pade apkeliye bahoot kam ki ho sakti hai.


                  Festival season me sabhi badi badi companies apne apne products ko bechne me lagi rehti hai jiske liye companies bade bade ad campaigns chalti hai or festival season me ads  rates bhi bad jaate hai. Or sabhi creators ko benefits milte hai acha CTR, CPC OR CPM mil jaata hai jisse earning bahoot achhi ho jati hai. Ab yaha pe ap festival season me jada se jada paise kaise kmaye?

Google ads se jada se jada paise kaise kamaye?

            Festival season me jada se jada paise kmane ke liye apko smart tarike se apne blog website me article post karne padenge. Ager ap ek YouTuber hai to ap bhi en tariko se paise kama sakte hai. Kon kon se tarike apko apnane padenge wo me apko yaha btane wala hun to ap es post ko pura dekhe.



Best SEO tips for this festival season.

1. keyword Research
     Jab bhi ap koi post likh rahe ho to apko dhayan dena hai ki ap us keyword ke baare me ache se research kar le. Jis keyword pe ap articl likh rahe hai uspe apko kitna CTR mil raha hai, kitni us keyword ki demand hai or us keyword pe kitna CPC apko mil raha hai sabhi chije dekhne ke baad hi ap kisi keyword ke upper article likhe or video bnaye.
2. Use keywords on Title  
   Jis bhi keyword pe ap article likh rahe hai us keyword ko title me jarur likhe.  Eske sath hi ager youtube video bna rahe hai to description or tags ke ander bhi jarur likhe.
3. Use keyword on Post
    Jis bhi keyword pe ap article likh rahe hai us keyword ko ap Post ke ander sabse uper likhe eske saath hi ap use keyword ko high light kar de. bar bar us keyword ko post me use kare.

4. Best keywords for festival season
   Kuch ease keywords hote hai jinko ap  festival season me use kar sakte hai Best offer, Best sale, Hotels Best Discounts, Best Product, ese keywords ko use kar sakte hai joa festival season me use hote hai.
5. Sales se related articals likhna
   Ager ap kisi sale ke baarre me btate hai us sale me sabse acha discount kaha mil raha hai kis product pe mil raha hai, kis product ko lena sahi rahega kis product pe acha offer hai. Ager ap yeh sab batate hai to apko acha traffic milega or ache ads apko apne artical me dekhne ko milega.


          To yeh the kuch meri or se apko tips ager ap apni earning ko kuchh bhadana chahte hai to ap en tips ko follow kar sakte hai apko esse benifites mil jaayege. Ager apka ek youtube channel hai to ap tips ko folow kar sakte hai jisse apko benifites mil jaynge. Ager apko yeh post achha laga to ap like jarur kare comments me btaye apko yeh post kaisi lagi or ap kis topic pe or articals dekhna chahte hai.

Oct 9, 2019

अब देने पड़ेंगे jio से कॉल करने के पैसे | jio new voice calling plans | kyu le raha jio calling ke paise?


     Dosto aaj 9 oct. 2019 ko sabse bada update jio ka aa gya hai latest update jio ka yeh ki ab apko paise dene paenge call karne ke liye. Ager ap jio ka number use karte hai to apko calls ke paise dene pandenge 10 oct. 2019 se. Jio new plan's suru ho jayenge 10 oct.  se.  Kyun dene padne calling ke paise. Kyun jio legi calling ke paise. Kyun jio se call nhi jaa rahi. Ese bahoot se swal honge apke jinke jawab ap soch rahe honge to unka sahi jawab apko yaha milega. Kya hai jio ke new voice callings plan? Sare jawab apko esi post me dekhne ko mil jayenge ap es post ko achhe se pade.

Jio latest update voice calling

Kyun jio le rahi calling ke paise?

          Jio sim jb se market me aai hai tb se hi voice calling free hai or easa bola bhi tha ki calling hamesa free hogi lekin ab kyun jio calling ke paise le rahi hai uske pichhe ek bahoot bada reason hai or wo reason hai IUC (Inter Connection Usage Charge).

IUC kya hai?

    IUC ek esa charge hota hai jisko operators share karte hai jb ek operator se dusre operator pe call jata hai. Aasan bhasha me samjhiye ki ager ap jio se call karte hai Vodafone pe to jio ko 6 paise dene padte hai vodafone ko per minute ke hisab se. Or yeh sarkari government of India ke rules hai sarkari rate hai Rs. 0.6 paise/minute. Jisko her operators ko follow karna padta hai ager unke network se kisi dursre network pe call jaati to yeh Price dema hota hai.
To es chaker me jio ko bahoot saare paise alg alg operators ko dene padte hai. Abhi tek yeh paisa jio khud deta tha. Jo recharge hum karwate the usse kat kar deta tha. Lekin Ab Jio yeh paisa users se hi legi 6 paise per minute ke hisab se jiske liye jio new plans bhi nikal chuki hai.

Jio new voice calling plans?
   

Jio new voice plans

    Jio new voice calling plans me apko sirf wahi paise dena hai jo IUC ke charge hai matlb 6p/m ke hisab se apko paisa dena hai. Wo bhi tb jb ap dusre network pe call karoge. Matlb ager ap jio to jio call karoge to wo bilkul free hogi jio to jio koi paisa nhi lagega. Others operators ke liye paise dene padenge. Jio new plans me apko free data bhi milega matlb  ap esko apne fayede ke liye bhi use kar sakte hai. Or esme se koi bhi pack ki validity apke existing pack ke baraber hogi esme koi bhi validity nhi di gai hai. 10 oct. 2019 se my jio app me apko yeh sare plans mil jayenge.

Note:- 10 oct. 2019 se ager koi jio ka recharge karwate hai to apko extra voice calling recharge karwana padega.

Dosto umeed hai apko yeh post padne me mja aayaa hoga or apko apke saare swalo ke jawab mil gaye honge. Jio new voice plan me apko extra data bhi milta hai jo bahoot jaada hai. Ager apko apke swal ka jawab nhi mila to comment kare.


Sep 20, 2019

How to clear cache data? | Phone storage free kaise kare?


Cache data clear kaise kare

         Dosto aaj me apko batane waala hun how ot clear cache data? Cache data ko clear kaise kare jaanne keliye ap es post ko pura pade step by step me apko batane waala hun phone storage free kaise kare cache data ko clear karke.



How to clear cache data?


          1. Open phone setting

       
 2. Click on Storage

                                
        
           3. Click on Internal storage
                  4. Click on Cache Data 


         5. Click On OK 


In steps ko follow karne ke baad apke phone se cache data Clear ho jaayega. Or apke phone me storage bhi kuchh khali ho jayegi. Jitni Apke phone ki storage  hogi utni hi jaada apke phone me cache data banega to time to time apko cache data clear karte rehna chahiye. Jisse phone pe bi load kam hota hai or phone achhe se chalta hai.




Jada jankari ke liye ap mere channel me jaa sakte waha apko or bhi videos milegi or waha se apko Android tips & Tricks ki or bhi videos dekhne ko milegi.


Sep 8, 2019

Creator studio ko open kaise kare | How to open creator studio classic



                 Ager ap apne channel pe creator studio classic ko miss kar rahe hai to khus hone ka time aa gya hai ap apne channel pe creator studio ko open kar sakte hai per ek baat ka dhayan de ki ap kuch time tak hi use kar payenge matlb ki  jab tek YouTube chahta hai ki ap usko open kare tab tak hi ap open kar payenge ager youtube ne creator studio ko permanently discontinue kar deiya to uske baad kabhi bhi open nhi kar sakenge. To aiye jante hai kaise creator studio ko open kare?
Creator studio open kaise kare





How to open Creator studio?

              Yaha me ap ko koi trick nhi batane wala hun balki youtube ne hi yeh option de ke rakhi hai jisse jin logo ko youtube studio beta use karne  me problem ho rahi ho wo creator studio ko use kar sake or apne kam ko bade hi aaram se creator studio me kar sake. To kaise creator studio ko open kare jaanne ke keliye post ko achhe se pade.

  1. Opne youtube studio beta.
  2. Click on creator studio classic (left side  the menu baar in the last position) 
  3. Give your feedback why you want  creator studio classic just click and type.
  4. Skip everything if you couldn't give feed back and opne Creator studio classic.

Es tarike se ap apne channel pe creator studio classic ko enjoy kar sakte hai hai per dhyan de ki sirf tab tak jab tak apko youtube Creator studio opne karne ki permission de raha hai.

Sep 4, 2019

Creator Studio Classic (Youtube New update 2019) how to open creator studio classic

                       Agr ap ek youtuber hai to apko bta de ki ab apko YouTube creator studio nahi dekhane ko  milega. Kyoun nhi dekhne ko milega to uske baare me jaanne ke liye apko es post ko pura padna padega to pura  pade, or es post ko share kare taki sabhi ko  eske baare me pta chal sake. Sath me main apko btaunga kaise ap apne youtube channel pe YouTube creator studio classic ko opne kaise kare?
Youtube latest updates

New youtube updates2019.

                       YouTube bahoot sare update leker aata rehta hai jisse Youtube ko jaada improve kar sake to pichhle saal hi youtube ne YouTube studio beta ko introduces  kiya tha or bahoot saare update esme leker aaya jisse youtubers ko bahoot help mil rahi hai or ab YouTube ne ek latest update me bataya hai ki es sall ke end tek Creator studio classic band ho jayega. Ab apko Youtube Studio beta ko use karna padeyga. Ager apko abhi bhi option milti hai creator studio classic ko use karne ki  to bahoot hi jaldi apki yeh option hat jayegi bahoot saare logo ki yeh option hat chuki hai or unko youtube studio use karna pad raha hai to aane wale time me apko b karna padega.
               Ager apko YouTube studio use karna nhi aa raha to mere youtube channel me apko eske regarding puri  play list milegi jisse ap wahan se sikh sakte hai YouTube studio beta ko use kaise kare?

How to open creator studio classic?

               Ager ap creator studio classic  ko opne karna chahte hai to ap kisi link ke through open kar sakte hai ager apko option milti hai. To yaha me apko ek link de deta hun jisse ap  Creator studio classic ko open kar sakte hai.

Watch my all videos on YouTube regarding YouTube studio beta. Un videos ko dekh ke apko kuchh help mil jayegi or ap sikh sakte hai YouTube studio ko use karna.

Sep 1, 2019

How to identify fake mails | सबसे आसान तरीका online स्कैम से बचने का


Fake mails

Bahoot bar hame bahoot sare mails aate hai jo fake hote hai or ager ap koi online kaam karte hai to ho sakta hai apko uske regarding fake mails aaye ho yaah fir apko online fraud se regarding bhi fake mails aa sakte hai jisme apko bahoot sare paise dene ki baat ki jaati hai apka password, OTP, Cards Detail mangi jaati hai to aaj apko eske baare me hi batane waala hun. Ap es post ko pura pade or sath me es post ko apne sabhi dosto ke  sath me share kare.

How to identify fake mails?

        Bahoot aasan hai kisi bhi fake mails ko pehchana yaha me apko kuchh best tips btane wala hun jisse ap bahoot aasni se kissi bhi fake mail ko pehachan sakte hai to achhe se pura post padhe.......


1. Asking About Passwords, Card details, OTP etc.
          Ager kisi bhi email ke ander apse koi bhi password manga jata hai yaha fir credit card ki detail mangi jaye  to samjhiye ki wo mail fake hai or uske uper apko koi bhi reply karne ki jarurt nahi hai or ho sake to ease mail ID's ko block kar de or sath me report bhi kar de jisse google ko bhi pata chal sake ki koi easa bhi e-mail address hai jo fake mails bhej raha hai.

2. Identification of Fake mails.
            Jis e-mail ID se apko mail aaya hai  ager wo ID sub domain ke sath hai matlb ki @gamil.com laga hai to samjhiye ki wo mail address fake hai or uske ander koi bhi reply karne ki jarurt nahi hai.
3.   Identify No-reply Mails
             Jab bhi koi company apko mails bhejti hai to wo no-reply mail ID se hi mail karegi Ager apko koi mail aata hai jispe ap mail kar sakte hai to samjh jaye ki wo mail ID fake hai Yaah ager mail ID support team se nhi hai mail ID ke aage support  team nahi likha hai to samjh lijye wo fake mail  hai.

To dosto ye the kuch tarike jinse ap fake mail ko identify kar sakte hai or ap kisi bade online scam se bach sakte hai to ap jada se jada share kare taki sabhi ko eska pata chal sake.

Aug 9, 2019

Screen Overlay Deducted | 5 Best Solutions | screen overlay deducted error को ठीक कैसे करे

Screen overlay detected Dosto bahoot bar jab ap apne phone ke ander koi new android app install karte honge or jab application apse koi permission mangiti hogi or ap allow ke button pe click karte honge to apke samne yeh error aa jata hoga Screen Overlay Deducted.
Screen overlay detected

Screen Overlay Deducted error aane ke baad ap us android app ko wo permission nhi de pate jo us application ko chahiye jisse bahoot baar pareshani bhi ho jati hai.  To aaj ki es post me main apko btane wala hun 5 Best Solution for Screen Overlay Deducted error. En solution ke sath ap apne application me screen overlay deducted error ko thik kar sakte hai or apne application ko use kar sakte hai.

How to fix Screen Overlay Deducted Error in Android Phone?

              Dosto bahot baar jb humare phone ke uper screen overlay deducted error aata hai to wo bina matlb ke b aa sakta hai. Matlab sabkuch thik hoga tb bhi screen overlay deducted humko dekhne ko mil sakta hai to 5 best solution for screen overlay deducted error apko btane wala hun jinko ek ek karke try kare.

1. Force stop your app.
       Jab bhi apke phone me koi application pe screen overlay deducted error aata hai to ek bar application ko force stop kar de (Ager apko force stop karna nhii aata to yaha click kare How to force stop any android app). Esse apke phone me screen overlay deducted error nhi aayega.

2. Disable & uninstall your application.
         Ager apke phone me force stop karne ke baad bhi screen overlay deducted error aa raha hai to ap apne application ko disable yaah fir uninstall kar de ( Ager apko application ko disable karna nhi aata ho yaha click kare How to disable any android app). Eske baad apki application ache se chal padegi or apko screen overlay deducted error nhi aayega.

3. Switch off your phone.
       Ager fir bhi apke phone me screen overlay deducted error aata hai to uske baad apne phone ko switch off kar de or on karke apne application ko fir se check kar le. Application kaam karne lag jayegi.

4. Check your settings.
       Ager 3 tips ko follow karne ke baad bhi apke phone me apko screen overlay deducted error aa raha hai to ho sakta hai apko setting change karne ki jarurt ho to kaise karenge:--
     A. Opne Setting.
     B. Click on Apps.
     C. Click on right side on top setting button.
     D. Clcik on Drow over other apps.
     E. Clcik on Enable button.
     F. Click on Apps with permission.
    G. Click on app and Disable unwanted apps permit drawing over other apps permission.

Eske baad apke phone me koi bhi screen overlay deducted error nhi aayega.

5. Do not doing anything.
         Ager tab bhi apke phone me screen overlay deducted error aata hai to apko kuchh bhi karne ki jarurt nhi hai usko waise hi rehne dijiye kuchh time me automatically screen overlay dedicated error thik ho jayega.

Ap apne phone ko kuchh time switch off karke check karte rahe jisse ho sakta hai apke phone me screen overlay deducted error thik ho jaye or apki application jaldi thik ho jaye.

Jul 19, 2019

Face App : क्या faceapp को use करना चाहिए | Faceapp Oldage feature

Face App Kuchh time pehle social Media pe ek trend chala tha #10yearchallenge jisme log apni 10 saal puri or abhi ki photo upload kar rahe the. Waise hi Apne social media ke upar aajkl ek nya trend dekha hoga jisme  bahut saare log apni oldage picture post kar rahe hai.  Yeh kamal hai faceapp ka ek esa app jo apki age photo me jaada kar deta hai matlb  apko buda dikha deta hai. Yeh app aajkl trending me hai her jaga.

FaceApp 

Face app kb launch hua? 

              Faceapp launch 2017 me hua tha lekin tb esme bahot se or features the. Face app ki khasiyat us time me chehre ko sunder bnna tha yeh app apke chehera ka color white kar deti thi jisse face app ke upper report file hui thi. Waisi hi or bahot saari khasiyato ke sath  faceapp 2019 me  viral ho raha hai. Jiski khasiyat hai yeh face app old age filter.


How to use face App?
       Face App ko use karna bahoot aasaan hai. Yeh ek photo editing app hai jisme ap apne photos ko edit kar sakte hai. Faceapp me apko bahoot sare features diye gaye hai jisme se sbse jaada viral hai faceapp oldage feature. Esko use karne ke liye apko internet ki jarurt hogi or ap koi bhi photo eske upper upload karke edit kar sakte hai.  Saare feature apko vahi pe mil jayenge.


Face App are safe to use?

            Face app ko use karna safe hai yaah nhi yeh ap khud dekh sakte hai jb ap download karenge face application. Eski privacy policy me ap pad sakte hai jisse apko pta lg jayega faceapp safe hai yaah nhi. 

Face app privacy policy  me yeh kuch khas line hai ap pura jaur pade.
Faceapp viral hone ke baad kaafi swal eske uper uthe to usme face app ki or se safai aai jisme unone btaya humare pas jo bhi data users ka aata hai hum usko kisi bhi company ko bechte nhi hai yaah fir share nhi karte. Lekin hum es data ko humare partners ke sath share kar sakte hai or es company ke partners kon hai eske baare me kahi bhi nhi btya gya.


Face app ko use karne wale use kar rahe hai or apni oldage  picture social media pe post kar rahe hai. To ager ap bhi faceapp oldage feature ko use karna chate hai to kar sakte hai or logo ko dikha sakte hai ap bude hone k baad kaise dikhai denge.

Jul 8, 2019

Youtube channel ko jaldi se monetize kaise kare | best tips for complete 1k subscribers and 4000 watch time fastly

youtube channel ko subscribe kaise kare
      Dosto ager apka ek new  YouTube channel hai to apke mn mein ye sawal jarur aata hoga 1k subscriber 4000 ghante ka watch time jaldi se jaldi pura kaise kare. Kaise apne YouTube channel ko monetize kare agar aap apne YouTube channel ko monetize karna chahte hai to aapko mehnat karni padegi apko videos dalni padegi lekin iske sath hi aapko thoda sa smart work karne ki jaroorat hai. Tabhi aap apne YouTube channel ke upar 1k subscriber or 4000 ghante ka watch time jaldi se jaldi pura kar sakte hai to es post ke andr main aapko batane wala hun best tips for monetize youtube channel fastly.
     


YouTube channel ko monetize kaise kare?

            YouTube channel ko monetize karne ke liye aapko Google AdSense account ki jarurat padti hai. To apna google adsense ka account bna le. Ager apke 1k subscriber or 4000 ghante ka watch time pura ho gya hai to link kar le apne YouTube channel ke sath. Ager apke YouTube pe abhi 1k subscriber or 4000 ghante ka watch time pura nhi hua hai to bhi ap apne Google Adsense ko youtube channel ke sath link kar sakte ho or jb apke 1k subscrber or 4000 ka watch time pura ho jayega to apka channel review me chala jayega automatically, review ho jaane ke bad apka channel monetize ho jaega.

1k subscriber and 4000 watch time kyun jaruri hai?

                  Agar aap apne YouTube channel ko monetize karna chahte hai, YouTube se paise kamana chahate hai,  to aapko apne channel pe 4000 ghante ka watch time or 1k subscriber ka criteria complete karna padega. Yeh YouTube ki policy hai Channel ko monetize karne ke liye.



1k subscriber or 4000 ghante ka watch time complete kaise kare?

      Yahan par main aapko 5 best tips dene wala hun jis se aap apne YouTube channel ke upar 1000 subscriber or 4000 ghante ka watch time jaldi se jaldi pura kar sakte hai. To sabhi tips ko achhe se follow kare or apne channel pe 1k subscriber or 4000 ghante Ka watch time jaldi se jaldi complete kare or apne channel ko monetize kar lijiye.

How to get 1K subscriber fastly?


1. Make regular videos
           Agar aap chahte hai aapke channel ke upar jaldi se jaldi 1000 subscriber complete ho jaye to aap ko apne  Channel ke upar regular videos post karte rehna chahiye.
2. Make relatable videos
          Apke channel pe sab se achha response jis video pe aa raha hai jis video ko log sab se jaada dekh rahe hai jis keyword pe apke channel pe traffic aa raha hai usse related jada se jada videos bnaye.
3. Make videos on niche topic
           Ager ap apne channel ke uper ek hi topics ki video bnaoge to apko targeted audience milegi or apke subscribe jaldi se jaldi badenge.
4. Make Interactive and Interesting  videos
           Jitni jada apki videos intrasesting hogi jitna jada apki videos ke sath log interact karenge log apki videos pe comment karenge apki videos ko like karenge share karenge utni jaada apki videos recommendation me jayegi or apko achhe subscriber milenge.
5. Connect with your audience
         Jitne bhi apko comments aate hai unke reply jitne jaldi ap kar sakte hai utne jalti apko kar dene chahye. Ager kisi ka koi swal hai to uska bhi apko jaldi se jaldi  jawab de dena chahiye.


Yeh hai 1k subscribers jaldi se pure karne ke liye 5 best tips jinse ap jaldi 1k subscriber pure kar sakte hai.

Suggested video
1. How to rank youtube channel on youtube search?
2. Youtube video ke description me kya likhe?
3. YouTube se paise kaise kmaye?

4000 ghante ka watch time jaldi se pura kaise kare?

            Ager ap apne channel pe acha content dalte hai to ap jaldi se apne channel me 4000 ghante ka watch time  pura kar sakte hai. Jo tips maine apko 1k subscribers pura karne ke liye btai wo hi saari tips ap eske liye bhi follow kar sakte hai. Ager ap apne channel me acha or interesting content daalte ho to apke pas acha watch time aa jayega time ke sath. Apko bas apna kam akrte rahena hai videos dalte rehna kuch hi time me apke 1k subscriber or 4000 ghante ka watch time pura ho jayega or fir apka channel chala jayega review ke liye or fir monetize ho jayega.

Jada jankari ke liye ap meri video ko bhi dekh sakte hai. Video apko niche milega or sath me ap mere channel ko (yaha clcik karke) subscribe kar sakte hai jisse apko achhi or help full videos regular milti rahegi YouTube se related. 



Jun 29, 2019

आसानी से समझे How to write blog post | blog post kaise likhe

Blogger post kaise likhe
Ager apne ek blog ki surwat kar di hai to usme apko kuch dalna bhi padega or ap blog me jo bhi information daloge usko bolte hai blog post. Blog post likhne ke sabhi ke apne apne tarike hote hai. Apko khud  samjhna padega ap kaise apne blog  ke kiye blog post likh sakte hai. Kis tarike se ap apne blog me informetions doge. Aaj ki es post me main apko btaunga jo option apko blogger me di jaati hai unko ap kaise apne blog post ke liye use kar sakte hai. Jo option bahoot jaruri hai jinko apko use karna hi chahiye. Blog post kaise likhe yaah fir how to write blog post on blogger eske uper yeh pura articale hoga.


Blog post kaise likhe?

     Blog post likhna bahoot hi ashaan hai apne Microsoft word to jarur se use kiya hoga to bas kuchh easi hi options apko yaaha milti hai jisse blog post likhna or bhi jada easy ho jata hai. To me yaaha apko kuchh jaruri option ke baare me hi batauga jo apke liye shayad new ho to how to write blog post on blogger.
   Koi bhi blog post likhane ke liye new post pe click kare.

1. Title

    Sabse pehle apko apni blog post ke liye ek acha sa title likhna padega.
2. Write blog post

     Title likhane ke baad apko apna blog post likhna hoga. Jo bhi article ap likhna chahte hai jo information ap apne blog post me dena chahte hai wo likh de.
3. Add photos

    Blog post ko pura likhne ke baad apko kam se kam ek photo to apne blog post me add karna padega.
4. Add Labels





    Blog post pura likhne ke bad usme labels jarur add kare esse viewers ko apki website pe dusri blog post dhundne me or bhi jada aasani ho jayegi. Or apke views or bhi jada aayenge.
5. Add permalink

   Permalink ek bahot acha feature hai jisse ap apna ek custom link create kar sakte hai to apna custom link jarur add kare.
6. Post your blog post

    Ab apka blog post pura tyar hai or ap esko post kar sakte hai. Publish pe click kare.

Dosto yeh the basics steps  jisse ap apna pehla blog post likh ke publish kar sakte hai. Esme apko or bhi bahoot saari option milti hai jinko use kareke ap apni blog post ko or bhi achhe se design kar sakte hai or publish kar sakte hai.

Jun 9, 2019

How to delete YouTube channel permanently | youtube channel ko delete kaise kare

How to delete YouTube channel permanently hindi
 Ap ager apne YouTube channel ko delete karna chahte ho to aj ki es post me apko jaanne ko milega how to delete YouTube channel permanently? Bahoot se log starting me bahot saare channel create kar lete hai or baad me unko delete karne ki jarurt pad jaati hai to ap sefly apne kisi bhi YouTube channel ko delete kaise kare.



How to delete YouTube channel permanently?

       Dosto kisi bhi YouTube channel ko delete karte time ap youtube channel ko permanently delete kar sakte hai yah fir ap temporary delete kar sakte hai. To yaaha me apko btane wala hun YouTube channel ko permanently delete kaise kare.

1. Log in on YouTube with your google account.

2. Click on right side channel profile picture.

3. Click on setting option.

4. Click on advance setting on left side.

5. Click on delete channel.

6. Enter your password.

Suggested topics
1. How to create youtube channel.
2. Channel description me ky likhe.
3. Youtube brand account ky hota hai.
4. Rank your channel on top.
5. Rank your videos on YouTube search.


7. Click on ' I want to permanently delete my content' .

8. Tik on following option and click on delete my content.

9. Add your channel name and click on delete my content.


10. Your channel will be deleted.

En steps ko follow karne ke baad ap apne youtube channel  ko delete kar sakte hai. Ager ap temporary delete karna chahte hai to wo wali b option apko mil jayegi usko ap age follow kar sakte hai yaah fir ap eske upper b ager article dekhna chahte hai to comment me jarur btaye. Umeed hai apko achhe se samjh aa gya hoga youtube channel ko delete kaise kare.