Sep 19, 2023

ऐसे लिखे channel description 2023 me 100% grow होगा | Channel description kaise likhe | Best Trick for channel description

  दोस्तों अगर आपका एक YouTube channel है तो आपको पता होगा Channel description क्या होता है? लेकिन क्या आपको पता है आपके channel को grow करने के लिए आपको channel description लिखना बहूत जरूरी होता है। और अगर आप अपने youtube channel का description अच्छे से लिखते हो और उसमें अच्छे अच्छे keywords लिखते है तो आपका चैनल बहूत जल्दी grow हो जाएगा।

आज में आपको इस पोस्ट में बताने वाला हूँ Youtube channel ka description kaise likhe?  इसी के साथ दोस्तो  channel description me keywords kaise likhe? जिससे आप अपने channel को grow  कर सकते है और जो भी tips आपको यहां बताने वाला हुँ वो 100% काम आती है और मैंने अपने youtube channel में इसी तरीके से channel descriotion लिखा हुआ है।

इस video की help से भी आप अपने channel के description को अच्छे से लिख सकते हो।

Channel description kaise likhe?

1. सबसे पहले अपने mobile में youtube app को opne कर लीजिए।

2. अपने youtube channel में जायें।

3.  Channel edit वाली option को opne कर लें।


 

4. Channel description पे click करे और अपने channel के description को लिख ले।


 

5. Channel description लिखने के बाद save button  पर click करके channel discription को save कर ले।



दोस्तो इन steps को follow करके आप अपने चैनल का description लिख सकते हो।

Channel description me kya likhe?

दोस्तो अगर आप new youtube creator हो और आपको नहीं पता channel ke description me kya likhe तो आपको परेसान होने की जरुरत नही है बहूत से ऐसे तरीके है जिससे आप अपने channel के description  को अच्छे से लिख  सकते हो। ओर यहां में आपको एक फॉर्मेट बताने वाला हूँ जिससे आपको एक idea लग जायेगा youtube channel के description में क्या लिखे।

  1. दोस्तो जैसे ही आप अपने channel description को लिखना शुरू कर रहे हो तो सबसे पहले first line में आपको अपने channel का नाम लिखना चाहिए। जैसे कि " Welcome to creator help" मैने अपने channel description में लिखा है।
  2. दोस्तो channel description में आपको अपने चैनल के बारे में लिखना होता है। आप किस तरह की videos upload करेंगें। आपके channel में viewrs को क्या देखने को मिलेगा। आपके चैनल की सब जानकारी आपको अच्छे तरीके से description में लिख लेनी है।
  3. आपको आपने channel के description को कुछ इस तरीके से लिखना है की उसमे आप कुछ ऐसे keywords भी लिख सके जो youtube search में search हो रहे हो और वो आपके channel से related भी हो। ऐसा करने से आपका channel youtube search में ज्यादा आएगा। ओर आपका channel grow होगा।
  4. Last में दोस्तो आपको एक Email ID भी देनी है जिसपे कोई company collebration के लिए contect कर सके। 

 

 Channel description me keywords kaise likhe?

दोस्तों अगर आप अपने Youtube channel को grow करना चाहते हो तो आप को अपने youtube channel को youtube search में लाना होगा। और उसकेलिए आपको channel description में keywords add करने होंगे। नीचे आप photo में देख सकते हो मैंने किस तरीके से अपने चैनल का description लिखा है आप भी इस तरीके से अपने channel के description को लिख सकते हो। और जो भी red line से mark किये है वो सारे keywords youtube पे search किये जाते है। और आपको भी कुछ इस तरीके से अपने channel के description को लिखना है कि उसमें आप बहूत से searchebale keywords को लिख सके। आप इस तरीके से किसी भी channel से inspretion ले कर अपने channel के description को लिख सकते हो।




 

Apr 15, 2020

Video ke description me kya likhe | ऐसे लिखो video description 100% grow hoga | video search me laye


Dosto ager ap chahte ho apke channel ki video YouTube search me rank ho to uske liye apko tags use karne  padenge apne title, description or tags wale section me to aaj me apko btaunga video ka description kaise likhe.?
Video ke description me kya likhe?

Ager apko apni videos ka description likhna nhi aata hai ager ap video ke description me kuchh bhi nhi likhte ho to apki video YouTube search me rank hone ke chance bahoot kam ho jate hai. To apko apni video ke description me kuch na kuch likhna padta hai. Or easa bhi nhi ki kuchh bhi ap likh do video ke description me to apki video YouTube search me rank ho jaye apko tags or keywords ad karne padte hai to aaj me apko btaunga video ke description me tags kaise lagyenge.?

How to add video description?

  Video ka description kaise likhe to bahoot se youtuber ko yeh pta nhi hota or wo galti karte hai ki video description me kuchh nhi likhte hai ager likhte bhi hai to usme tags or keyword nhi hote jisse video youtube search me nhi jati. To me yaha pe kuchh tips and tricks btaunga kuch ease baate apko btaunga jisse apko pta lg jayega video ke description me tags kaise likhe or video description kaise likhe sabhi tips ko jarur use kare. Or ager ap video dekh ke sikhna chahte ho to es video pe ap dekh sakte ho sabhi chije esme bhi btai gai hai.


1. Add video description.

Kuchh log video ke  description me kuchh bhi nhi likhate hai to apko yeh galti kabhi nhi karna hai hamesha video ke description me kuch na kuch likho 2 line hi sahi per jarur likho.

2. Add title in first line in description.

Apki video ka jo bhi title hai wo apki video ke description me pehli line me aa jana chahiye. Jaruri nhi ki some ho lekin title se related ho wo apko video ke description me pehli line me hona chahiye.

Suggested Topic
1. YouTube channel ke description me kya likhe?
2. Video ko youtube search me rank kaise kare?
3. How to verify my channel?
4. Purani videos pe views kaise laye?
5. 1000 subscribers pure kaise kare?

3. Add tags on video description.

Video ke description me tags likhna bahoot jaruri hai. Lekin YouTube ki policy hai ap ( , ) es sing ke sath tags ko nhi likh sakte ho ek bar use kar liye to thik hai lekin ignore kijiye es  sing ke sath description me tags likhna. To video ke description me tags kaise likhe to es keliye ap video ke baare me pura description likhiye video me kya hai kis topic pe baat hui hai or sath me alg alg style se tags ko video description me add kare. Jaise ap mere es video description me dekh sakte hai.
Video ke description me tags kaise likhe?

4. Use # tag on video description.

YouTube video ke description me ap ( # ) tags ko use kar sakte ho. To jis bhi topics pe ap video create kar rahe ho uske upper bahoot se ( # ) tags hote hai unko jarur se apne video ke description me use karo. Esse bhi video youtube search me aati hai. Upper photo me ap dekh sakte ho.

5. Videos suggestions in video description.

Ap kisi topics pe video create kar rahe ho to apne usse related video pehle bhi bnai hogi to ap un videos ko apni es video ke description me suggest kar sakte ho. Un videos ke naam add karo or links share ko yeh bhi help full rehta hai.

Dosto yeh 5 best tips hai jinko use karekr ap video ke description ko likh sakte ho. Video ko youtube search me lane ke liye description likhna bahoot jaruri hai. Eske sath ap apne video ke description me apne Social Media ke links share kare apne channel ki playlist ko bhi share kare videos pe or jada views aayenge. Ager apko yeh post helpful lga to jarur comments me btaye.

Dec 24, 2019

How to get first 1000 subscribers and 4000 hours watch time faster | Best 5 tips for geting subscribers and watch time faster


Dosto ager ap ek new youtuber hai or ap jaldi se chennel pe 1000 subscribers or 4000 hours watch time  pure karna chahte hai to aj me apko kuchh esi best tips btane wala hun jisse ap apne channel pe 1000 subscriber or 4000 hours watch time jaldi se pure kar sakte hai or apne channel ko grow kar sakte hai. Ap jis bhi topics pe videos bnate ho jo bhi content ap create karte ho usko ap YouTube pe rank kra sakte hai or ap apne channel ko monetize kara sate ho YouTube se paise kma sakte ho. Puri jankari ke liye ap es post ko pura pade or achhe se apne channel me implement kare tabhi ap apne channel me 1000 subscribers or 4000 ghante ka watch time jaldi se pura kar sakte ho.
How to get 1000 subscribers and 4000 hour's watch time faster


How to get first 1000 subscriber & 4000 hours watch time faster?


1. Upload Informative videos.

          Ap video kisi bhi topic pe bna rahe ho chahe technology se related ho yaah fir vlogs ho, bikes, cars ho to us topic ke baare me ap puri tarha se apni video me btaye. Ap jis topic pe video bna rahe ho to uske baare me apki audience ko achhe se pata lagna chahiye kisi ko koi bhi confustion  nahi rehena chahiye. Jo ap apni video me bta rahe ho  wo ager ap achhe se sabhi tek pahuncha pa rahe ho or sabhi ko achhe se samjh aa raha hai to apke channel ko log subscribe karenge or apki videos ko pura dekhenge. Jisse ap apne channel ko jaldi se monetize bhi kar payenge.


2. Ask people for Like, Comment & Share.

       Ager ap apni videos ko informative bna rahe ho or logo ko apki videos pasand aa rahi hai to logo ko apko batana padega ki ager unko apki video achhi lage to like kare, share kare or comments bhi kare. Jab log apki video pe like larenge, share karenge or comments karenge to apki video pe audience retention badega or jinta jada audience retention apki video pe badega apki video utni hi jada suggestions me jayegi, search me jayegi or apko achhe view milenge or achhe subscriber milenge. To apko apni video ke last me starting me yaah fir bich me like, share or comments karne ko jarur bolna hai.


3. Focse On Organic Traffic.

         Ager apko apne channel ko jaldi se grow karna hai to apko focse karna padega apni audience pe. Apko jo audience mil rahi hai wo audience kaha se mil rahi hai? Ager apko external sources se traffic aa raha hai to apko organic traffic pe focse karna hai. Organic traffic kya hota hai? Orgnice traffic use bolte hai jo apko youtube se mile. Jo audience apko YouTube ke kisi bhi feature ke through mil rahi hai usko organic traffic kehte hai. Or ager apko apna channel jaldi se grow karna hai to focse on organic traffic. Esme bhi apko YouTube search or browse feature ke uper focse karna hai. Ense hi apko acha traffic milega or ap apne channel ko jaldi se grow kar sakte hai

4. Make videos Regular with good title and tags.

         Channel ko jaldi se grow karna hai 4000 ghante ka watch time or 1000 subscriber pure karne hai to apko regular videos dalni chahiye. Tabhi log apke channel pe videos dekhenge or channel ko subscribe karenge. Eske sath apko intresting content bhi bnana padega log ager apke channel ke content se bor honge to wo sirf apne fayede ki videos dekhenge baki videos ko nhi dekhenge jisse apko achhe views nhi milenge to apko videos intresting bhi bnani padegi. Jo bhi video ap bnaye usko acha sa title de or jitne bhi tgas apko usse related lagte hai wo sare description me likhe or tags me likhe esse apki video search or suggestions me jayegi or apko achhe view or subscriber milenge.

5. Ask people for  Subscribe Channel.
       Apne acha se informative video bnai, regular video upload bhi kar rahe ho, log like, share or comments bhi kar rahe hai or apko acha organic traffic bhi mil raha hai lekin subscriber nhi bad rahe hai to ease me apko apni audience ko bolna padega ki wo apke channel ko subscribe kare. Video ke last me, starting me yaah fir bich me kahi bhi ap bolo lekin logo ko btao ki wo apke channel ko subscribe kare. Esse apke channel pe subscribers jaldi se bad jayenge.


Doato ye thi Best 5 tips for geting subscribers and watch time faster. Ager ap enko follow karte hai to ap apne channel ko jaldi se grow kar sakte hai. Ager ap apne channel ko or jaldi grwo karna chahte hai to apko or jada mehanat karni padegi. Apki videos kaisa perform kar rahi hai kin tags pe apko traffic mil raha hai, kis type ki videos me views mil rahe hai, watch time kaha se kitna aa raha hai apko her chij dekhni padegi, samjhni padegi fir ap or bhi jaldi apne channel ko grow kar payenge. 1000 subscribers or 4000 hours watch time complete kaise pure kare yeh maine apko bta diya apna experience maine apko btaya hai  apko bahoot kaam aayengi yeh tips jarur follow kare.

Yeh post apko kaisi lagi mujhe jarur btaye. Kya esse apko kuchh help mili? Comment karke jarur btaye.

Sep 8, 2019

Creator studio ko open kaise kare | How to open creator studio classic



                 Ager ap apne channel pe creator studio classic ko miss kar rahe hai to khus hone ka time aa gya hai ap apne channel pe creator studio ko open kar sakte hai per ek baat ka dhayan de ki ap kuch time tak hi use kar payenge matlb ki  jab tek YouTube chahta hai ki ap usko open kare tab tak hi ap open kar payenge ager youtube ne creator studio ko permanently discontinue kar deiya to uske baad kabhi bhi open nhi kar sakenge. To aiye jante hai kaise creator studio ko open kare?
Creator studio open kaise kare





How to open Creator studio?

              Yaha me ap ko koi trick nhi batane wala hun balki youtube ne hi yeh option de ke rakhi hai jisse jin logo ko youtube studio beta use karne  me problem ho rahi ho wo creator studio ko use kar sake or apne kam ko bade hi aaram se creator studio me kar sake. To kaise creator studio ko open kare jaanne ke keliye post ko achhe se pade.

  1. Opne youtube studio beta.
  2. Click on creator studio classic (left side  the menu baar in the last position) 
  3. Give your feedback why you want  creator studio classic just click and type.
  4. Skip everything if you couldn't give feed back and opne Creator studio classic.

Es tarike se ap apne channel pe creator studio classic ko enjoy kar sakte hai hai per dhyan de ki sirf tab tak jab tak apko youtube Creator studio opne karne ki permission de raha hai.

Sep 1, 2019

How to identify fake mails | सबसे आसान तरीका online स्कैम से बचने का


Fake mails

Bahoot bar hame bahoot sare mails aate hai jo fake hote hai or ager ap koi online kaam karte hai to ho sakta hai apko uske regarding fake mails aaye ho yaah fir apko online fraud se regarding bhi fake mails aa sakte hai jisme apko bahoot sare paise dene ki baat ki jaati hai apka password, OTP, Cards Detail mangi jaati hai to aaj apko eske baare me hi batane waala hun. Ap es post ko pura pade or sath me es post ko apne sabhi dosto ke  sath me share kare.

How to identify fake mails?

        Bahoot aasan hai kisi bhi fake mails ko pehchana yaha me apko kuchh best tips btane wala hun jisse ap bahoot aasni se kissi bhi fake mail ko pehachan sakte hai to achhe se pura post padhe.......


1. Asking About Passwords, Card details, OTP etc.
          Ager kisi bhi email ke ander apse koi bhi password manga jata hai yaha fir credit card ki detail mangi jaye  to samjhiye ki wo mail fake hai or uske uper apko koi bhi reply karne ki jarurt nahi hai or ho sake to ease mail ID's ko block kar de or sath me report bhi kar de jisse google ko bhi pata chal sake ki koi easa bhi e-mail address hai jo fake mails bhej raha hai.

2. Identification of Fake mails.
            Jis e-mail ID se apko mail aaya hai  ager wo ID sub domain ke sath hai matlb ki @gamil.com laga hai to samjhiye ki wo mail address fake hai or uske ander koi bhi reply karne ki jarurt nahi hai.
3.   Identify No-reply Mails
             Jab bhi koi company apko mails bhejti hai to wo no-reply mail ID se hi mail karegi Ager apko koi mail aata hai jispe ap mail kar sakte hai to samjh jaye ki wo mail ID fake hai Yaah ager mail ID support team se nhi hai mail ID ke aage support  team nahi likha hai to samjh lijye wo fake mail  hai.

To dosto ye the kuch tarike jinse ap fake mail ko identify kar sakte hai or ap kisi bade online scam se bach sakte hai to ap jada se jada share kare taki sabhi ko eska pata chal sake.

Jul 19, 2019

Face App : क्या faceapp को use करना चाहिए | Faceapp Oldage feature

Face App Kuchh time pehle social Media pe ek trend chala tha #10yearchallenge jisme log apni 10 saal puri or abhi ki photo upload kar rahe the. Waise hi Apne social media ke upar aajkl ek nya trend dekha hoga jisme  bahut saare log apni oldage picture post kar rahe hai.  Yeh kamal hai faceapp ka ek esa app jo apki age photo me jaada kar deta hai matlb  apko buda dikha deta hai. Yeh app aajkl trending me hai her jaga.

FaceApp 

Face app kb launch hua? 

              Faceapp launch 2017 me hua tha lekin tb esme bahot se or features the. Face app ki khasiyat us time me chehre ko sunder bnna tha yeh app apke chehera ka color white kar deti thi jisse face app ke upper report file hui thi. Waisi hi or bahot saari khasiyato ke sath  faceapp 2019 me  viral ho raha hai. Jiski khasiyat hai yeh face app old age filter.


How to use face App?
       Face App ko use karna bahoot aasaan hai. Yeh ek photo editing app hai jisme ap apne photos ko edit kar sakte hai. Faceapp me apko bahoot sare features diye gaye hai jisme se sbse jaada viral hai faceapp oldage feature. Esko use karne ke liye apko internet ki jarurt hogi or ap koi bhi photo eske upper upload karke edit kar sakte hai.  Saare feature apko vahi pe mil jayenge.


Face App are safe to use?

            Face app ko use karna safe hai yaah nhi yeh ap khud dekh sakte hai jb ap download karenge face application. Eski privacy policy me ap pad sakte hai jisse apko pta lg jayega faceapp safe hai yaah nhi. 

Face app privacy policy  me yeh kuch khas line hai ap pura jaur pade.
Faceapp viral hone ke baad kaafi swal eske uper uthe to usme face app ki or se safai aai jisme unone btaya humare pas jo bhi data users ka aata hai hum usko kisi bhi company ko bechte nhi hai yaah fir share nhi karte. Lekin hum es data ko humare partners ke sath share kar sakte hai or es company ke partners kon hai eske baare me kahi bhi nhi btya gya.


Face app ko use karne wale use kar rahe hai or apni oldage  picture social media pe post kar rahe hai. To ager ap bhi faceapp oldage feature ko use karna chate hai to kar sakte hai or logo ko dikha sakte hai ap bude hone k baad kaise dikhai denge.

Jun 29, 2019

आसानी से समझे How to write blog post | blog post kaise likhe

Blogger post kaise likhe
Ager apne ek blog ki surwat kar di hai to usme apko kuch dalna bhi padega or ap blog me jo bhi information daloge usko bolte hai blog post. Blog post likhne ke sabhi ke apne apne tarike hote hai. Apko khud  samjhna padega ap kaise apne blog  ke kiye blog post likh sakte hai. Kis tarike se ap apne blog me informetions doge. Aaj ki es post me main apko btaunga jo option apko blogger me di jaati hai unko ap kaise apne blog post ke liye use kar sakte hai. Jo option bahoot jaruri hai jinko apko use karna hi chahiye. Blog post kaise likhe yaah fir how to write blog post on blogger eske uper yeh pura articale hoga.


Blog post kaise likhe?

     Blog post likhna bahoot hi ashaan hai apne Microsoft word to jarur se use kiya hoga to bas kuchh easi hi options apko yaaha milti hai jisse blog post likhna or bhi jada easy ho jata hai. To me yaaha apko kuchh jaruri option ke baare me hi batauga jo apke liye shayad new ho to how to write blog post on blogger.
   Koi bhi blog post likhane ke liye new post pe click kare.

1. Title

    Sabse pehle apko apni blog post ke liye ek acha sa title likhna padega.
2. Write blog post

     Title likhane ke baad apko apna blog post likhna hoga. Jo bhi article ap likhna chahte hai jo information ap apne blog post me dena chahte hai wo likh de.
3. Add photos

    Blog post ko pura likhne ke baad apko kam se kam ek photo to apne blog post me add karna padega.
4. Add Labels





    Blog post pura likhne ke bad usme labels jarur add kare esse viewers ko apki website pe dusri blog post dhundne me or bhi jada aasani ho jayegi. Or apke views or bhi jada aayenge.
5. Add permalink

   Permalink ek bahot acha feature hai jisse ap apna ek custom link create kar sakte hai to apna custom link jarur add kare.
6. Post your blog post

    Ab apka blog post pura tyar hai or ap esko post kar sakte hai. Publish pe click kare.

Dosto yeh the basics steps  jisse ap apna pehla blog post likh ke publish kar sakte hai. Esme apko or bhi bahoot saari option milti hai jinko use kareke ap apni blog post ko or bhi achhe se design kar sakte hai or publish kar sakte hai.

Mar 3, 2019

Maha shivratri 2019 mandi Himachal Pradesh | Mandi shivratri details 2019

Maha shivratri ri tusa sabhi jo dher sari shubhkamnaye
Invitation for mandi maha shivratri 2019

Mandi Maha shivratri 2019


Mandi mein manai jane wali Mahashivratri international festival ke roop mein manai jati hai. Yahan Par bahut purane time se Maha Shivratri ko Manaya ja raha hai. Mandi Maha Shivratri Mahotsav main bahut Sare Devi devtaon ko Bulaya jata hai bahut sare Devi Devta aate hai aur isme jo sabse mn mohak akakarsha hota hai woh hamari in Devi devtaon se hi hota hai.

Mandi Mahashivratri 2019 full details


Mandi me manaye jane wali Maha Shivaratri festival 7 din tak chalta hai en 7 Dino Mein bahut saare karyakarm hote hai jisme opening ceremony se leke ending ceremony Hoti Hai Jiske baare mein iss post me  aapko Jane ko milega. Shivratri Mahotsav ki starting kb Hone Wali Hai, or ending kab Hone Wali Hai, Shivratri  mein kaun kaun se karyakram kiye Jane Wale hai, night show ke andar kaun kaun se celebrities Aane Wale hai, kitne night show hone wale hai sari details is post me aapko mein btane wala hoon.


Mandi Maha shivratri opening 2019


Mandi Maha Shivratri opening 2019
 Maha Shivaratri Mahotsav opening ceremony 5 March 2019 Ko hone Wali Hai. CM Jai Ram Thakur  dwara opening Ki jaane wali hai.  Shivratri Mahotsav ki opening karne ke liye Raj Mahal se ek shobhayatra niklegi Jiske andar Sabhi neta, Bade Adhikari Sabhi saamil hote hain, aur Sabhi Devi Devta es Shobhayatra me Shamil hote hai.  Rajmahal se nikalne ke baad Sabhi Jaate Hain padal ground Mandi main Jahan Par mela lga hota hai wha per es Maha shivratri ki opening ceremony puri ki jaati hai. wahan pe ap Devi Devtao ke darshan kar sakte hai. Kuchh Devi Devta mandi ke kuchh bade mandero me rehte hai unke darshan ke liye apko mander me jaana hoga.

Next page >>>>>>>

Mandi maha shivratri 2019 | mandi shivratri night show details | mandi maha shivratri ending jaleb

Maha shivratri ri tusajo haardik shubhkamnaye
Mandi maha shivratri 2019

Mandi Maha Shivaratri 2019 ( entertainment )

Mandi shahar Mein manai jane wali Maha shivratri international festival ke roop Mein manai Jati Hai is festival ki shuruvat Maha shiverats  ke rat se ho jati hai, ye festival 7 din tak chalta hai in 7 Dino Ke Andar bahut sari night show organize  Hote Hain jin me  Bollywood ke kalakar Aate Hai , Himachali kalakar Aate Hai, kuch local kalakar hote hain, school ki performance hoti, Aur Bhi bahut Sare talented log aate hai apni performance Dikhane ke liye. Shivratri Mahotsav day or night Har time chalta rehta hai. Jiske andar bahut Sare karyakram Kiye Jate Hain. Shivratri Mahotsav mein 6 night show Hua karti thi lekin is baar Pulwama terrorist attack ke liye 2 Nights cancel kar di gayi hai aur us 2 night ka jo budget tha usko donate kar diya Gaya  hai.

Mandi Mahashivratri 2019 night show details

Mandi maha shivratri night show details

Mandi me manaye jane wali Maha shivratri ke andar is bar 4 night show organised Kiye Ja Rahe Hai.  Maha Shivratri Mahotsav first night show 5 Feb. 2019 ko organised Kiya jayega jis ke andar Bollywood singer Jubin Nautiyal aur Inderjeet Himachali singer Ko Bulaya gaya hai. Dusri night show ke ander Kuch Khaas karyakaram kiye Jayenge JisKe andar Kavi Sammelan Aur Bhi Kuch Khaas karyakram kiye Jayenge 8 Feb. 2019 Ko night show organised Kiya ja raha hai. 9 Feb. 2019 ko Sunanda Sharma Punjabi singer aur Hemant Himachali singer Ko Bulaya gaya ha. last night show ke andar Pavani Pandey Bollywood singer or Narender Thakur Himachali singer Ko Bulaya Gaya Hai. Night show ke saath Saath yaha pe Aur Bhi bahut Sare karyakram Kiye Ja Rahe Jiske andar Kanya Pujan ka ek  karyakram Kiya Ja Raha Hai. Es karyakram me 1008 Kanya ka Pujan Kiya Jayega Ye Karyakram serimunch Pe Kiya Jayega 9 Feb. 2019 ko.

Mandi Maha Shivratri ending

Maha shivratri ending


Mandi Maha shivratri endings Rajpal Acharya Dev Vrat Ji Ke Haathon se honi ha. Mandi Maha Shivratri Mahotsav ending 11 March 2019 ko 3pm  padal ground mein honi hai. Shivratri Mahotsav ki ending ke upar bhi shobhayatra Nikalte hai Jisko mandyali mein kaha jata hai jaleb  es me bhi Sabhi Devi Devta hisa lete Hai, Sabhi Bade Adhikari hissa Lete Hain, Sabhi Neta Yahan Par aate Hain. Maha Shivratri Mela ki ending karne ke liye Raj Mahal se 2pm pe shobhayatra niklegi aur 3pm tak padal ground Mandi Mein pahunch Jayegi aur uske baad Rajyapal Acharya devvrat Ji Ke Haathon se mele ki ending ho jayegi.

Ayen Mandi Maha Shivratri Mahotsav  me Jo chalega 5  February se 11 February 2019 ke beech mein bahut saare Manmohak nazaare aapko yaahn pe dekhne ko Milenge. Es post ko pura padne ke liye aap bahut bahut dhanyavad.

<<<<<Previous page