Dosto ager ap kinemaster me video editing karte ho to ap ko aaj btaunga kinemaster me color filter use kaise kare sath me hi ager apko color adjustment karna hai colors ko or bright karna hai to video me colors adjustment kaise kare wo bhi yaaha me apko btaunga to pura pade es article ko.
How to use color filters in kinemaster?
Es video me maine bahoot hi achhe se btaya hai kaise colors filters ko use kare. Ager ap apni videos ke liye or bhi achhe achhe color filters ko use karna chahte ho. Videos ke colores unte achhe nhi dikh rahe dark se colors aa rahe hai to video me color adjustment kaise kare to bhi btaya hai video ko ap pura jarur dekhe.
Dosto ager ap chahte ho apke channel ki video YouTube search me rank ho to uske liye apko tags use karne padenge apne title, description or tags wale section me to aaj me apko btaunga video ka description kaise likhe.?
Video ke description me kya likhe?
Ager apko apni videos ka description likhna nhi aata hai ager ap video ke description me kuchh bhi nhi likhte ho to apki video YouTube search me rank hone ke chance bahoot kam ho jate hai. To apko apni video ke description me kuch na kuch likhna padta hai. Or easa bhi nhi ki kuchh bhi ap likh do video ke description me to apki video YouTube search me rank ho jaye apko tags or keywords ad karne padte hai to aaj me apko btaunga video ke description me tags kaise lagyenge.?
How to add video description?
Video ka description kaise likhe to bahoot se youtuber ko yeh pta nhi hota or wo galti karte hai ki video description me kuchh nhi likhte hai ager likhte bhi hai to usme tags or keyword nhi hote jisse video youtube search me nhi jati. To me yaha pe kuchh tips and tricks btaunga kuch ease baate apko btaunga jisse apko pta lg jayega video ke description me tags kaise likhe or video description kaise likhe sabhi tips ko jarur use kare. Or ager ap video dekh ke sikhna chahte ho to es video pe ap dekh sakte ho sabhi chije esme bhi btai gai hai.
1. Add video description.
Kuchh log video ke description me kuchh bhi nhi likhate hai to apko yeh galti kabhi nhi karna hai hamesha video ke description me kuch na kuch likho 2 line hi sahi per jarur likho.
2. Add title in first line in description.
Apki video ka jo bhi title hai wo apki video ke description me pehli line me aa jana chahiye. Jaruri nhi ki some ho lekin title se related ho wo apko video ke description me pehli line me hona chahiye.
Video ke description me tags likhna bahoot jaruri hai. Lekin YouTube ki policy hai ap ( , ) es sing ke sath tags ko nhi likh sakte ho ek bar use kar liye to thik hai lekin ignore kijiye es sing ke sath description me tags likhna. To video ke description me tags kaise likhe to es keliye ap video ke baare me pura description likhiye video me kya hai kis topic pe baat hui hai or sath me alg alg style se tags ko video description me add kare. Jaise ap mere es video description me dekh sakte hai.
Video ke description me tags kaise likhe?
4. Use # tag on video description.
YouTube video ke description me ap ( # ) tags ko use kar sakte ho. To jis bhi topics pe ap video create kar rahe ho uske upper bahoot se ( # ) tags hote hai unko jarur se apne video ke description me use karo. Esse bhi video youtube search me aati hai. Upper photo me ap dekh sakte ho.
5. Videos suggestions in video description.
Ap kisi topics pe video create kar rahe ho to apne usse related video pehle bhi bnai hogi to ap un videos ko apni es video ke description me suggest kar sakte ho. Un videos ke naam add karo or links share ko yeh bhi help full rehta hai.
Dosto yeh 5 best tips hai jinko use karekr ap video ke description ko likh sakte ho.Video ko youtube search me lane ke liye description likhna bahoot jaruri hai. Eske sath ap apne video ke description me apne Social Media ke links share kare apne channel ki playlist ko bhi share kare videos pe or jada views aayenge. Ager apko yeh post helpful lga to jarur comments me btaye.
Doato ager ap apni videos kuchh khas special effects use karna chahte ho ager ap video me blur effect use karna chahte ho or ap kinemaster effect option ko uae kaise kare janna chahte ho to yeh article apke liye hai pura dekhe.
Video ko acha dikhane ke liye ap video effects use kar sakte hai kinemaster apko bahoot saare effect deta hai jisse ap apni video ko acha bna sakte ho sunder bna sakte ho. Video me effect use kaise kare ?
How to add effects on video?
Dosto video me maine btaya hai kinemaster me video effect ko use kaise kare. Jo bhi options apko kinemaster me milti hai wo saari maine es video me btai hai. Video effect ko kaise use kare wo bhi esme maine btaya hai. To video ko ap pura dekhe.
Dosto ager ap apne kisi bhi video se audio ko alag karna chahte ho to aj me apko btaunga video ko audio me kaise badle? Maan lijiye ager apko koi music pasand aata hai kisi video me lekin apko wo music kisi bhi website me nhi milta hai to ap us video se hi music ko nikal sakte ho. Power directo me video ko audio me convert kaise kare eske baare me batane wala hu. To ap es article ko pura jarur pade.
Power Director me Video ko audio me kaise banaye?
Dosto es video me maine btaya hai ap kaise kisi bhi video ko audio me convert kare. Video ke ander jo tarika maine btaya hai power director me video se audio kaise banaye wo bahoot hi aasan hai or usse ap apni video editing ke liye kahi se bhi kisi bhi video se music nikal sakte ho. Or apni video ke audio ko alg kar sakte ho.
Dosto kinemaster me video editing karte hai to ap apni video ko trim karte honge or ager ap apni videos ko or achha bnana chahate ho attractive dikhana chahate ho to aj ki es me main apko batunga ap apni videos me transition effect kaise lagaye.
Transition effect kya hote hai?
Dosto ja ap kisi bhi video ko split karte ho yah 2 clips ke bich me jo timing hoti hai usko transition bolte hai. Ager ap koi bhi transition use nhi karte to wo normally ek jarak ke sath video play hota hai lekin ap transition effect use karte ho to video softly pass ho jayega or dekhne me bhi achha lagega.
How to add transition effect in kinemaster?
Dosto es video me maine btaya hai kaise ap apni video me transition effect kaise lagaye. Sath me hi apko kon kon si or options milti hai jab ap transition effect ko use karte ho. To video ko pura dekhe apko samjh aa jayega kinemaster me transition kaise use kar.
Dosto ager ap video ko edit kar rahe ho kinemaster app me to apko apni video me se non important parts ko hatana padta hai or yeh bahoot jaruri hota video ko or achha bnane ke liye to aj hum bat karne wale hai kinemaster me video ko trim kaise kare? Ager ap video me kahi pe bhi cuts lgana chahate ho yah ap kuchh bhi add karna chahate ho to apko kinemaster me video ko split kaise kare yeh bhi aana jaruri hai. To ajj ap es post ko pura pade apko me jaari chije btane wala hun.
How to trim and split video in kinemaster?
Dosto es video me maine apko saari chije btai hai kaise video ko trim kare kaise video split kare to ap es video ko pura dekhe apko achhe se samjh aa jayega kinemaster me video trim kaise kare.
Dosto ager ap phone me ek best video editing app dhundh rahe hai to apko kinemaster app jarur use karni chahiye apke bahoot kaam aane wali app hai or Android phone me best video editing app hai. Es app me diye gaye sabhi features apko ek achhe software jitne hi achhe or important features milte hai. Kinemaster app ko use kaise kare yeh es post me main apko btane wala hun kuchh khas features ki baat aaj hum karenge.
How to use kinemaster app?
Dosto ap es video ko pura dekhe apko esse achhe se samjh aa jayega kaise ap apni videos ko edit kar sakte hai kinemaster app me. Apko kinemaster ke basic features kon kon se hai kaise ap kinemaster ke basic features ko use karenge. Sab kuchh es video me hai to pura jarur dekhe.
Dosto ager ap power director me video ko edit karte ho or apko video store karne me problem ho rahi hai yah file ka size jada hone ki vajaha se upload karne me dikat ho rahi hai to ajj me apko btaunga power director me kam size me video save kaise kare.
Ager ap janna chahte ho power director me video ka size kam kaise kare kam mb me video ko save kaise kare to aj me es post me apko eske baare me puri jaankari dene wala hun post ko pura jarur pade.
How to save video in smaller size on power director?
Video ko kam MB me kaise banaye es video me eske baare me achhe se btaya hai. Ager apko video ke bade file size se problem hoti hai to es setting ko use karke ap chhote size me video save kar sakte hai.
Dosto ager ap power director me video editing karte ho or apko audio editing karni hai to yaaha me apko esi ke baare me btane wala hun power director me sound ko edit kaise kare. Jaane ke liye ap es post ko pura pade.
How to edit sound in power director?
Dosto es video me maine achhe se btaya hai power director me audio edit kaise kare. Dosto ease to apko kuchh khas option to nhi milti hai audio editing ke liye power director me likin apko jo option milti hai uske baare me video me maine btya hai ap video ko pura jarur dekhe.
Dosto aj me apko btaunga power director me hindi me kaise likhe? Ager ap power director me video edit kar karhe hai to video me text add bhi karne padenge or ager apko video me Hindi text add karne hai to uski option apko power director me nhi milti to kaise hindi text likhe power director me to uske baare me yaha apko btane wala hun.
Power director me hindi text add kaise kare?
Dosto es video me maine btaya hai kaise hindi text likhe to ap es video ko pura jarur dekhe apko achhe se samjh aa jayega power director me hindi text kaise likhe.
Doston aj me apko btane wala hun kharab video or audio ko thik kaise kare. Jb hum kisi video ko record karte hai to kai bar esa hota hai video ka sound corrupte ho jata hai to ap usko thik kar sakte hai kaise corrupted video or audio ko thik kare jaanne ke liye post ko pura pade.
How to recover corrupted video or audio?
Dosto es video me maine power director me corrupted video ko thik kaise kare eske baare me btaya hai to es video ko pura dekhe bahoot kaam ki video hai apke liye.
Dosto aaj me apko btane wla hun power director ke kuchh shortcuts jinse ap apni videos ko or bhi jaldi edit kar sakte hai achhe se edite kar sakte ho. Video ko trim kaise kare audio ko extract kaise kare jaise hi bahoot saare features ko use kaise kare yeh sb es video me hai.
Power director shortcuts?
Dosto es video me maine btaya hai power director shortcut ke baare me kaise power director ke shortcut ko use kare to yeh puri video jarur dekhe. Apke bahoot kaam aane wali hai video ko edit karte time.
Dosto aaj me apko btane wala hun photos ko mix karke video kaise bnaye. Yah pe me apko photos ke sath video kaise banaye ye me power director application me btane wala hun lakin ap kisi bhi video editing application me photos ko mix karke video bna sakte hai. Dosto ager ap bhi photos ko mix kar ke video create karna chahte ho to article ko pura dekhe.
How to create video with photos?
Dosto es video me maine btaya hai kaise photos ko mix karke video bnaye to es video ko pura dekhe apko achhe se samjh aa jayega. Jo bhi tips and trick for photo mix video ke liye chahiye wo video me hai. Maine power director ko use kiha hai likin yeh ap kisi bhi video editing apps me kar sakte hai.
Dosto aaj ki es video me main btane wala hun how to edit video in slow motion and fast motion in power director. Ager ap video editing karte hai power director me to ap kisi bhi video ko slow motion me edit kaise kare or kisi bhi video ko fast motion me edit kaise kare uske baare me btaya hai to video ko pura jarur dekhe puri jaankari esme apko milegi.
How to edite video with slow motion and fast motion effect?
Dosto video ko fast or slow motion me edit kaise kare yeh es video me maine completely btaya hai jo bhi features power director apko deta hai uske baare me btya hai puri jaankari ke liye video ko pura dekhe apko achhe se samjh aa jayega kaise video ko slow or fast motion me edit kare.
Doston aap apni videos ke andar GIF Sticker ko use karna chahte ho ya fir stickers ko use karna chahte ho apni videos me to aaj hum baat karenge esi topic ke upar Kaise power director me stickers ko use Kare. GIF stickers ko kaise use kare to post ko aap pura jarur pade aapko main yahan per complete bataunga how to use stickers in powder director?
Power director me stickers use kaise kare?
Dosto es video me maine btaya hai power director me stickers kaise use kare. Ager ap apni videos me GIF sticker use karna chahte ho to apko free GIF sticker milte hai ap unko use kar sakte hai to eske baare me bhi video me btaya hai how to use GIF stickers in power director. Video ko pura dekhe or apko samjh aa jayega video me stickers ko use kaise kare.
Dosto ap ager apni videos ke ander text use karna chahte hai ap apni video ke ander animated text use karna chahte hai to aaj me apko esi ke baare me btane wala hun power director me text add kaise kare?
How to add text in video by power director?
Video me maine btaya hai power director me text add kaise kare to es video ko ap pura dekho apko achhe se samjh aa jayega kaise text add kare kon se feature yaha apko milte hai.
Doato ager ap apni kisi bhi video ka background remove karna chahte ho to aj me apko btaunga power director me video ka background remove kaise kare?
Video ka background remove kaise kare?
Dosto ager ap kisi video ka background remove karna chahte ho to apko apni video ke background me green screen ka use karna padega yaah fir blue screen. Ager ap apni videos ke background me green screen use karte ho to ap kisi bhi achhe video editing app se video background remove kar sakte ho. Jiskeliye apko ek feature milta hai chroma key.
How to use chroma key in power director?
Doato ager ap apni video background remove karna chahte ho to apko power director me ek feature milta hai jiska naam hai chroma key yeh feature apko kisi bhi achhe video editing apps me mil jayega or es chroma key ko use kar ke video background remove kar sakte ho to video me maine eske baare me btaya hai video ko ap pura dekhe apko samjh aa jayega chroma key use kaise kare?
Dosto ager ap power director me music or sound effect use karna chahte hai to aaj hum esi ke baare me baat karne wale hai. Kaise power director me music add kare or sath me hi free sound effects kaise use kare wo bhi yaah batane wala hun.
How to add music and sound effect in video by power director?
Yaha maine es video me btaya hai video me music kaise add kare or sound effects kaise use kare to ap es video pura dekhe bahoot saari jaankari esse apko mil jayegi. Sath me hi kuchh khas best tips bhi video me hai to video pura dekhna.
Dosto aaj hum janenge kaise power director me video effect kaise lagaye jate hai. Ager ap power director me videos edite karte ho to yeh post apke liye bahoot jaruri hai.
Dosto power director video editing me apko text me to nhi dikha sakta kaise ap karenge to ap es video ko pura dekho esme maine btaya hai ap apni videos me effect kaise lagaye in power director.
Doato ager ap apne youtube channel pe kisi ko bhi apne subscriber nhi dikhana chahte ho to YouTube apko allow karta hai hai ki ap apne YouTube channel ke subscribers ko hide kar sake. To aj me apko eske bare me btane wala hun kaise YouTube channel ke subscriber ko hide kare or sath me hi yaha me apko btaunga subscriber hide karne ke kya fayede hote hai or nuksan kya hote hai.
Youtube subscribers ko hide kaise kare
How to hide YouTube subscribers?
YouTube subscribers ko hide karne ke liye apko kuchh steps follow karne honge......
1. Open Google chrome browser and open YouTube studio in desktop mode.
Hide subscribers step by step
2. Clcik on setting button.
3. Click on channel.
4. Click on Advance setting.
5. Find subscribe count option and remove check in.
6. Click on save button.
In sabhi steps ko follow karne ke baad apke channel pe subscribers hide ho jayenge. Ager ap janna chahate ho YouTube subscribers ko visible kaise kare to uske liye apko same steps follow karne hai or subscriber count pe anne ke baad check in kar dena hai or save kar dena hai uske baad subscribers visible ho jate hai.
Youtube subscribers ko hide karne ke fayede or nuksan?
Dosto ease to kuchh khas fayede or nuksan nhi hai subscribers hide karne ke lekin ager apka ek new YouTube channel hai to es case me ap subscribers count ko hide kar sakte ho. Kyunki us time me apke channel me jada videos nhi hoti or na hi easi koi video hote hai jispe bahoot achhe views ho subscribers count bhi kam hi rehta hai ease me log samjhte hai new creator hai kuchh pta nhi hoga to wo bhi subscribe nhi karega. To ease me ap subscribers hide kar sakte ho. Or jb apke pas 50+ videos or 100-1000 subscribers ho jaye to ap visible hi rakhe. Kyunki number bahoot matter karta hai.
Dosto apko yeh post kaisa laga comment me jarur btaye. Ap yeh jaankari video me bhi dekh sakte hai.
Dosto ager ap android phone use karte ho to aaj me apko btane wala hun developer option ke baare me. Kaise developer option ko enable kare ? Or ager ap kuchh time ke baad ap developer option ko band karna chaho to developer option disable kaise kare wo bhi yaaha me apko pura btaunga to chaliye sabse pehle jante hai developer option ko enable kaise kare?
How to disable or enable developer option in android
How to enable developer option in Android phone?
Dosto developer option ko enable karne ke liye apko kuchh aasan se steps follow karne padenge........... 1. Open phone settings.
2. Find about phone option & click on.
3. Find Build number & click 5-8 times on button continue. Developer option Enable.
4. Go back and check developer option.
Benefits of developer option?
Developer option ke bahoot saare features hai jinko ap use kar sakte ho. Dosto ager apko nhi pta developer option ke kya fayede hote hai? Developer option phone me kyun hota hai . To Developer option ka sidha sa matlb hi hota hai ki ap apne phone ke sath jo chahye wo kar skate hai. Ap apne phone ko root karna chahte ho to apko developer option ki jarurt padegi. Ager ap apne phone ki screen ko desktop desktop pe play karna chahte ho to apko developer option ki jarurt padegi ease hi bahoot saari option apko mil jati hai jo bahoot kaam ki hoti hai ager me apko ek ek kar btane lga to pura post yahi bhar jayega to ap khud jake check kar sakte hai.
How to disable developer option in android?
Dosto developer option ko disable karne ke liye apko phone settings ka data clear karna padega. Kaise application ka data clear kare? Ager apko app data clear karna nhi aata to espe click kare.
App data clear karne ke baad developer option disable ho jayega. Apko yeh jankari kaisi lagi comment me jarur btahe.
Dosto YouTube channel ko verify karna bahoot jaruri hai. Jab bhi ap nya youtube channel bnate hai to uske baad apko apne YouTube channel verify karna padta hai jiske baare me complete apko btane wala hun YouTube channel ko verify kaise kare?
How to verify YouTube channel?
Channel ko verify karna bahoot aasan hai eske liye apke pass ek phone number hona bahoot jaruri hai. Or phone number 2 se jada channel ke sath link nhi hona chahiye. To chaliye jante hai kaise YouTube channel ko verify kare? 1. Log in your YouTube channel. 2. Click on channel logo. 3. Clcik on setting button. 4. Click on channel status and features. Dosto direct es page me jane ke liye yah click kare. 5. Click on verify button.
7. After that add phone number and click on submit.
8. Add verification code and click on submit.
9. Congratulations your channel is now verified.
10. Click on continue button.
Channel verified
Youtube Channel verify karne ke fayede.?
Dosto 5 fayede channel verify karne ke me yaha apko btaunga lekin bahoot saare fayede hote hai channel verify karne ke or channel verify karna bahoot jaruri hota hai apne nhi kiya to jaldi se channel verify kar lo. 1. Custom thumbnail. Channel verify karne ke baad ap apni videos pe khud ka customthumbnail lga sakte hai jisse apki videos pe clicks jada aayenge.
2. Monetization.
Dosto ager ap apne YouTube channel ko verify karte ho to ap uske baad apne channel ko youtube pe monetize bhi kar sakte ho or paise earn kar sakte ho.
3. Live streaming.
Ager ap apne channel pe live streaming karna chahte ho to uske liye bhi apko apna Channel verify karna bahoot jaruri hai.
4. Longer video upload. Youtube Channel verify karne ke bad ap apne channel pe badi videos post kar skte hai 15 minute ke upper ki video upload kar sakenge.
5. Appeal Content ID claim.
Apne channel ko verify karne ke bad content ID claim karne ke liye appeal kar sakte hai.
To yeh the 5 important features jo apko youtube channel verify karne ke baad enable hote hai. Or bhi features hai jo channel verify hone ke baad enable hote hai to YouTube channel ko verify jaldi se jaldi kar le. Apko yeh article kaisa laga comment me jarur btaye.
Dosto agar ap new YouTube channel bnan rahe hai to es post me apko me btane wala hun nya youtube channel bnane ke baad sabse pehle kya kam karna chahiye? Dosto kuchh ease kaam hote hai jo apko channel bnane ke baad sabse pehle karne chahiye. Matlb koi bhi video upload karne se pehle yah channel ka link kisi or ko bhejne se pehle yeh kaam jarur kar lene chahiye.
New youtube channel
Dosto sabse pehle ager apko nhi pta ap channel kaise create karenge, Youtube channel kaise bnaye to eske uper click karke ap pad sakte hai channel kaise bnayeyah fir YouTube pe video dekh sakte hai.
New channel bnane ke bad yeh kam sabse pehel kare.
1. Channel verification.
Dosto ager ap channel bna rahe hai to apko channel verify karna bhi bahoot jaruri hota hai. Channel verification se apke channel per custom thumbnail ki option opne hoti hai live streaming ki option enable hoti hai to esi or bhi chije apko milti hai to channel Verify jarur kare yeh bahoot jaruri hai. Ager apko nhi pta YouTube channel ko verify kaise kareto yaha clcik karke ap jan sakte hai yah YouTube pe video dekh sakte hai.
2. Channel description.
Dosto channel ko YouTube search me lane ke liye bahoot jaruri hai ki ap apne channel description ko achhe se likhe. Esse channel YouTube search me jata hai or jb koi apke channel about me jata hai to waha apke channel ke description me kya likha hai wo bhi bahoot depend karta hai to channel description achhe se add kare. Ager apko nhi pta channel description ko kaise likhe to ap yaha click karke pad sakte hai yaah fir YouTube pe video dekh sakte hai.
3. Channel Logo or Channel Art Setup.
Dosto Youtube channel ka logo or channel art add karna bahoot jaruri hai. Channel logo se apke channel ki pehchan hoti hai or jb koi apke channel per jata hai to usko apke channel ka channel art dikhai deta hai jisse channel professional lagta hai. To sabse pehle channel logo or channel art apne channel pe add kare. Ager apko nhi aata kaise channel logo or channel art add kare to yaha click karke ap pad sakte hai yaah YouTube pe video dekh sakte hai.
4. Social media section.
Saari chije ad karne ke bad ap apne social media accounts ko bhi apne youtube channel ke sath link kar sakte hai. Description ke niche apko yeh option milti hai. Kaise social media ko channel se link kareto yah click karke jaane.
5. Channel Layout.
Dosto channel layout yeh apke tab kaam aati hai jb apkoi video apne channel me upload kar lete ho. Uske baad apke channel me apko logo ko kaise videos dikhni hai to uske liye apko channel ki layout bnanni chahiye. Channel layout kaise set kareuske liye YouTube video dekhe.
Dosto pehle 3 kaam apko nya channel bnane ke baad sabse pehle karne hai wo apke liye bahoot jaruri hai koi bhi video upload karne se pehle. Baaki ke 2 apko video upload karne ke baad bhi karsakte hai. To apko yeh jankari kaisi lagi comment me jarur btaye.
Dosto ager apko bahoot time ho chuka hai YouTube pe or aapne bahoot saari videos dal rakhi hai lekin apki purani videos pe views bahoot kam aate hai yaah fir nhi aate videos dead padi hai to aaj me apko btane waala hun ap apni purani videos pe views kaise laye. Yaah me apko 5 best tips btane wala hum jisse ap apne channel pe purani videos pe views laa sakte hai.
5 best tips for getting views on old videos
How to get views on old videos?
Dosto purani videos pe views kaise laye eske liye apko bahoot saari chijo ka dhyan rakhna padega kuchh tips apko follow karni padegi to yaha me apko btane wala hun 5 best tips for getting views on old videos. Jo bhi tips me apko bta raha hun unko achhe se follow karo or ap apne purani videos pe achhe views la sakye hai.
1. YouTube Search.
YouTube search se ap apne channel pe acha traffic la sakte hai or apni purani videos pe ap achhe views la sakte hai. Ager apke channel pe search se traffic nhi aata to apko jarurt hai apne videos ke title ko change karne ki apko jarurt hai videos ke description or tags ke ander achhe keywords ko use karne ki. Aap google keyword planner yah fir youtube search me aane wale keywords ko apne videos ke title me use karo description me use karo or tags me bhi bilkul same keywords ko use karo. Esse apke channel ki ranking badegi videos ki ranking badegi aapke channel ki videos YouTube search me jaagi or apko youtube search se bhi achha traffic milega or ap esse apni purani videos pe ache views la sakte hai.
2. End screen.
YouTube ka feature hai End Screen esko jarur ap use kare or jo apki popular videos hai jinke upper apko regular achhe views milte hai un videos ke end screen me aapko un videos ko use karna hai jinke uper apko views nhi aate or purani videos hai or us video se related hai. End screen se apki purani videos ke upper achha traffic milega.
3. I cards.
YouTube ka i cards feature bhi bahoot acha feature hai purani videos pe views lane ke liye. Jo bhi video ap bna rahe hai usse related videos ko apni videos me promote kar dijiye video me related videos ke baare me baat kare or logo ko btaye ki video i card me hai jaaker check kare. Usse bhi apko bahoot achha traffic milega.
4. Create playlist.
Dosto ager ap apni purani videos pe regularly achhe views lana chahte hai to apko playlist create karni chahiye. Playlist bahoot kaam aati hai or playlist create karne ke baad playlist ko share bhi karte rahe. Apni video me logo ko btaye, description me apni playlist ke links share kare. Esse log apki playlist me jaker playlist ki sabhi videos ko dekhenge most probably ek se jaada hi videos dekhenge to apko acha traffic milega.
5. Share your videos.
Dosto ager apke pass YouTube story tab hai or community tab sabhi ke pass hai to apko waha pe apni videos ko share karna chahiye regular share karte rehna chaiye lekin ek achhe keywords ke saath me. Esa keyword jo catchy ho or logo ki nager me aaye jisse log automatically apke us video ko dekhe. Eske saath apni videos ko ap social media pe bhi share karte rahe social media se bhi apko acha traffic milega.
Dosto yeh thi kuch 5 best tips for getting views on old videos. Jo bhi tips apko maine btai hai unko ap use karo apko response jarur milega eske sath kuchh or chijo pe apko dhyan dena chahiye jaise ki keywords apko ache use karne hai title me, description me or tags section me. Thumbnail bhi apko acha or attractive bnana hai wo ek bahoot important part hai. Purani videos pe views kaise laye maine eske uper ek video bhi bnaya hai ap usko bhi dekh sakte hai.
Dosto ager ap YouTube se videos download karke apni videos me use karna chahte ho ager apko apni videos ke liye ek acha music chahiye free me to YouTube ka ek feature easa hai jisse ap apne channel me YouTube videos ko use kar sakte ho or us feature ka naam hai Creative Commons.
Creative commons
Creative commons kya hai?
Creative Commons YouTube ka ek easa feature hai jo apko allow karta hai YouTube videos ko reuse karne ke liye. YouTube me ap 2 types ke license me video upload kar sakte hai pehla standard license jisme video ko koi bhi dusra use nhi kar sakta. Dusra license hai Creative Commons esme koi bhi video ko use kar sakta hai. Es feature me ap kisi bhi video ko reuse kar sakte hai jo video creative commons me upload hoti hai.
How to check Creative commons videos on YouTube?
1. Jo bhi video apko youtube se download karni hai to us video ke description me check kare sabse niche kya uspe likha hai Creative Commons license video. Ager likha hai to ap us video ko reuse kar sakte hai.
Creative common license
2. Search karo YouTube pe or uske baad filter ke option pe click karo or waha apko option me milga Creative Commons uspe click karo. Uske baad jo bhi video apko YouTube search me dikhegi wo Creative Commons me upload hui hai or ap unko reuse kar sakte hai apni videos me.
Creative common filter
Creative commons ki videos ko use kaise kare.
Ager ap YouTube pe Creative Commons me upload videos ko apni video me use karna chahte hai to bahoot simple hai Creative Commons ki videos ko ap YouTube se download karo or unko jaise marji apni video me use kar lo apko koi bhi Copyright Strick or claim nhi milega.
Dosto ager apko yeh jankari achhi lagi to share kare or comments me btaye ap or kya janna chahte hai ke uske uper bhi article jaldi hi post karunga.